sunnat e rasoool

Tuesday, July 24, 2018

MAQAAM E PEER KA WAQIYA

AALIMO SE YE GUTTHI SULAJH NAHI SAKTI
MAQAM E PEER KO DUNIYA SAMAJH NAHI SAKTI
Hazrath Baba Fareeduddin Ganj e Shakar R. A. ka mashoor waqiya hai, jab aap Hazrath Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki R. A. (Jo Khwaja Ghareeb Nawaz R. A. ke Khalifa o Janasheen hain) ki khidmat me mureed hone ki gharaz se haazir hue to unhe ye khiyal aaya ke in ka maqam kya hoga? Jaise hi Baba Fareed ko ye khiyal aya Hazrath Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki R. A. ne unke dil ki kaifiyat Raoshan Zameeri se jaan li aur faoran Baba Fareed ko mukhatib kar ke farmaya, "Fareed mera mureed bane ga ya mere Peer ka mureed bane ga" aap ki zabaan se in alfaz ka nikalna hi tha ke Baba Fareed ne dekha ke Khwaja Qutbuddin R. A. ki jaga wo khud nahi bal ke unke Peer o Murshid Sultan ul Hind Khwaja Ghareeb Nawaz R. A. baithe hue hain, Baba Fareed hairat zada aankhon se ye manzar dekh hi rahe the ke Khwaja Ghareeb Nawaz R. A. ne farmaya "Fareed mera mureed bane ga ya mere Peer ka mureed bane ga" tab Baba Fareed dekhte hain ke us jaga Khwaja Ghareeb Nawaz R. A. nahi balke un ke peer Khwaja Usman Harooni R. A. baithe hue hain, unho ne bhi yahi kaha aur yahi silsila jari raha, hote hote Baba Fareed ne tamam buzurgo ka deedar kiya yahan tak ke Imam Husain R. A., Maola e Kainaat R. A. aur aakhir me Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka deedar kiya, Baba Fareed ne faori pair pakad kar intehai adab ke sath arz kiya Sarkar Qutbuddin main aap hi ka mureed banunga, tab Baba Fareed ne deka ke ab hasb e mamool wahan Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki R. A. baithe hue hain. Hazrath Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki R. A. ne tab Baba Fareeduddin Ganj e Shakar R. A. ko apna mureed banaya jo baad me Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki R. A. ke Khalifa o Janasheen hue.
SubhanAllah.
Is waqiye se hame maqaam e Peer ki bulandi maloom hoti hai, haqeeqat me ek mureed ke liye uske Peer hi sab kuch hote hain, yahan tak ke tamam buzurgo ka majmua tanha ek Peer e Kaamil ki Zaat e Muqaddas hai. Har mureed ko chahiye ke wo sab se ziyada apne Peer ka adab kare aur apne Peer se be inteha sachi aqeedat o muhabbat rakhe, yahi tamam Aoliya Allah ka tareeqa hai.
KAON JAANE RUKH E ANWAR PE HAIN PARDE KITNE
EK CHEHRE ME NAZAR AATE HAIN MANZAR KITNE

No comments: