sunnat e rasoool

Tuesday, July 24, 2018

Hazrate Rabia Basri rahmatullāhi alaihi

Aap ki wilaadat 96 Hijri me Basra (Iraq) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Ismā’eel rahmatullāhi alaihi hai.
Aap apne waalidain ki chothi beti thi, Is liye aap ka naam ‘Rabia’ rakha gaya.
Aap ke waalid itne gareeb the ke aap ki paidaish ke waqt aap ko odhane ke liye kapda bhi nahi tha aur chirag jalaane ke liye tail bhi nahi tha. Aap ki walida ne apne shohar ko kaha ke ‘Aap padosi ke ghar se tel lekar aayen to ham chirag roshan kar saken.’ Aap ke waalid ghar ke bahar nikle to darwaaze par unho ne socha ke maine kabhi apne Rab ke siwa kisi dusre ke saamne haath failaya nahi hai. Ye sochkar aap wahi se khaali haath waapas laul aaye.
Us raat aap ke waalid ko khwaab me Huzoore akram Rahmatallil aalamin Sarware kaainat Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat hui. Aap ne farmaya ke ‘Tumhare yaha paida hone wali ye bachi ALLAH ki barguzida bandi hai aur uske zariye ALLAH ta’ala bahut se logo ko hidaayat ata farmaega aur roze mehshar wo mere 70000 ummatiyo ki shafa’at karegi.
Tum Basra ke Ameer Eisā-e -Zadan ke paas jaao aur mera ye paighaam likhkar use dena ke ‘Tum har raat 100 martaba aur Jumeraat ko 400 martaba mujh par Durood shareef padhte ho. Is Jumeraat ko kisi wajah se tum ye nahi kar paaye ho. Is liye jurmane me tumhe is aane wale ko 400 dinar ka hadiya dena hai.’
Jab Hazrate Ismā’eel jaage to aap ki aankh me khushi ke aansoo the. Subh ko aap ameere Basra ke paas gaye aur Huzoor sallallāhu alaihi wasallam ka khat use diya. Use dekhkar wo khush ho gaya ke mere aaqa mujhe yaad karte hain aur us ne aap ko 400 dinar diye aur saath me 1000 dinar gareebo me khairaat kiye.
Aur aap se kaha ke ‘Jab bhi koi bhi zaroorat ho to foran mere paas aa jaana.’
***********
Aap ke waalid ke inteqaal ke baad, Basra me qehat pada. Aap jab ek kaafile ke saath jaa raha thi tab Dakaito ke giroh ne aapko pakad liya aur aap ko gulam banake bech diya. Aap ka maalik aap se bahot zyada kaam karata tha.
Pura din bhari kaam karne ke baad bhi aap puri raat ibaadat e ilāhi me guzaarti thi.
Aur kai baar din ko roza bhi rakhti thi.
Ek baar der raat ko maalik jaaga to Rabia ibaadat me mashgool thi aur aap ke aas-paas noor chhaaya hua tha aur aap keh rahi thi ke ‘Aye mere Rab, Tu jaanta hai ke meri khwaahish hai ke main tere ahkaam par amal karti rahu aur dil se teri ibaadat karna chaahti hu. Aye meri aankho ke noor, agar main aazaad hoti to pura din aur puri raat teri ibaadat me guzarti. Magar main kya karu, tum ne mujhe insaan ka ghulaam bana diya hai.’
Ye sunkar maalik ko ehsaas hua ke Is ALLĀH ki wali ko ghulaam banakar rakhna ye be-adabi hai.
Subah ko usne Hazrate Rabia ko bataaya ke ‘Main aap ko aazaad karta hu aur agar aap chaahe to aap ki khidmat karna chaahta hu. Agar aap chaahe to is ghar main reh sakti hain aur agar aap ki marzi yaha se jaane ki ho to aap ja sakti hain.’
Aap ne farmaya ‘Mera iraada yaha se nikalkar tanhaai me ALLĀH ta’ala ki ibaadat karne ka hai.’
Aap ghar ko chhodkar sehra (desert) me ibaadat wa riyaazat me lag gai.
Aap apne saath sirf ek maskija aur ek chattai rakhti thi aur aaraam karte waqt aap sar ke neeche ek patthar ya eent rakha karti thi.
***********
Ek martaba aap ke yaha chand mehmaan aaye. Aap ki khaadima ne bataaya ke ‘Ghar me ek roti ke siwa kuchh bhi nahi hai.’ Aap ne farmaaya ke ‘Is roti ko le jaakar kisi miskeen ko de do.’ Khaadima ne aisa hi kiya.
Chand lamho ke baad kisi ne aap ke darwwaze par dastak di. Puchha ke ‘Kaun hai?’ to bataaya ke ‘Main falaan ka khaadim hu. Khaana lekar aaya hu.’ Darwaaza kholkar dekha to ‘5 rotiya thi.’ Aap ne farmaaya ‘Ise waapas le jaao. Ye hamare liye nahi hai.’
Chand lamho ke baad kisi ne phir se darwwaze par dastak di. Puchha ke ‘Kaun hai?’ to bataaya ke ‘Main falaan ka khaadim hu. Khaana lekar aaya hu.’ Darwaaza kholkar dekha to ‘7 rotiya thi.’
Aap ne use bhi farmaaya ‘Ise waapas le jaao. Ye hamare liye nahi hai.’
Chand lamho ke baad kisi ne phir se darwwaze par dastak di. Puchha ke ‘Kaun hai?’ to bataaya ke ‘Main falaan ka khaadim hu. Khaana lekar aaya hu.’ Darwaaza kholkar dekha to ‘7 rotiya thi.’
Aap ne use bhi farmaaya ‘Ise waapas le jaao. Ye hamare liye nahi hai.’
Chand lamho ke baad kisi ne phir se darwwaze par dastak di. Puchha ke ‘Kaun hai?’ to bataaya ke ‘Main falaan ka khaadim hu. Khaana lekar aaya hu.’ Darwaaza kholkar dekha to ‘10 rotiya thi.’ Aap ne use le liya aur farmaaya ‘Ye hamare liye hai.’
Khaadima ne arz kiya ‘Pehle 2 baar aap ne khaana waapas kyun bhej diya?’ Aap ne farmaaya ‘ALLĀH ne farmaaya hai ke 1 neki ka 10 badla ata farmaega. Hum ne 1 roti sadqa ki thi to hume 10 milni chaahiye. Is liye maine intazaar kiya.’
***********
Aap Hazrat Hasan Basri rahmatullāhi alaihi ki mureed hain.
***********
Aap 4 Qalandar me se 1 hain.
***********
Aahista aahista aap mash'hoor hone lagi.
Aap ne apne waqt ke kai mash'hoor ulema se mubaahisa kiya.
Kai logo ne aap se nikaah karna chaaha Lekin aap ne ye kehkar inkaar kiya ke ‘Main puri zindagi sirf ALLĀH ta’ala ki ibaadat me guzaarna chaahti hu.’
***********
Aap hamesha ye dua karti thi ke ‘ Aye ALLĀH, Agar main dozakh ke khauf se teri ibaadat karti hu to mujhe dozakh ki aag me jalaana,
Aur agar main jannat ki khwaahish se teri ibaadat karti hu to mujhe jannat se door kar dena,
Lekin agar main sirf teri raza ke liye ibaadat karti hu to mujhe tere husn o jamaal ka deedaar ata farmaana.
***********
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) ALLĀH ta’ala se Mohabbat karni chaahiye kyun ki wo hamara Rab hai, us ke khauf ki wajah se nahi.
(2) Tauba ki taufiq ALLĀH ta’ala ka in’am hai kyun ki ALLĀH ta’ala jise pasand karta hai us maqbool bande ko hi ye taufiq ata farmata hai.
(3) Koi shakhs kaamil nahi ban sakta jab tak ke wo deen ko apni nafsaani (zaati) khwaahishaat par tarjeeh na de.
***********
Ek baar Hazrat Khwaja Hasan Basri rahmatullāhi alaihi ne aap ko jheel (taalaab) ke kinaare dekha. Aap ne apna ja-namaaz paani par bichhakar farmaaya ke ‘Rabia, chalo yaha 2 rak’at namaaz padh lete hain.’ Ye sunkar aap ne apna ja-namaaz hawa me rakha to wo thehar gaya. Phir aap ne kaha ke ‘Chalo, yaha namaaz padh lete hain.’
Phir aap ne farmaaya ‘Aap ne jo kiya wo ek machhli bhi kar sakti hai aur maine jo kiya wo ek makhi bhi kar sakti hai. Hum kyun apni karaamat dunya ko dikhaakar waqt barbaad karen, Asl me wo cheez zaahir karni chaahiye jo aap ke saathi nahi dikha sakte.’
***********
Aap ke wisaal se pehle aap ne Abda bint Abi Showal se farmaaya tha ke ‘Mere inteqaal ki khabar logo me na phailaana aur mujhe mere puraane kurte se hi kafn dena.’
Aap ne wisaal ke waqt waha maujood tamaam mash'hoor mashaaikh se farmaya ke ‘Aap sab baahar chale jaayen aur farishto ko andar aane den.’
Sab ne aisa hi kiya aur makaan ka darwaaza band karke baahar intazaar karne lage.
Kuchh der baad sab ne ghaib se ek aawaaz suni ‘Aye nafs e mutma'eenna, apne Rab ki taraf laut jaao, Tum us se raazi ho aur wo tum se raazi hai.’
***********
Aap ka wisaal 23 Rabi’ ul awwal 185 Hijri (11 April 801 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Basra (Iraq) me hai.
***********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Rabia Basri rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

No comments: