sunnat e rasoool

Tuesday, July 24, 2018

Hazrat ali alayhessalam ki wilayat

Hazrat Khwaja Moinuddeen Chisti Hasan Sanjari rehmatullah alaih se kisi ne puchha ke aap bhi Allah ke wali hain aur Moula Ali Alaihissalam bhi Allah ke wali hain aapki aur Maula Ali ki wilayat me kya farq hai..?
Hazrat Khwaja Moinuddin Chisti ne sawal karne wale se puchha tum  kya karte ho...! 
Woh bola "mai zameendar hun kaafi raqbe ka maalik bhi hun usi sawal karne wale ke sath dusra aadmi bhi tha us se puchha tum kya karte ho...!
Us ne kaha usi zameendar ki zameen par mazarah (Kisaan) hun hal chalata hun.

Khawaja Moinuddin chisti  ne kaha jo farq zameendar aur mazarah (Kisaan) ke mansab me hai wohi farq mere Aur Moula  Ali Ki wilayat me hai Moula Ali wilayat e zameen ke maalik hain aur hum un ke mazarah (Kisaan) hamara kaam zameen e wilayat me hal chalana hai wilayat ki fasal ke maalik Moula Ali hai
 jisko chahe khairat  ata kar de isi liye sab Auliya kahte hain ke hamein wilayat Moula Ali ki bargaah se mili aur isi liye Moula Ali ko  Saiyed ul Auliya kaha jata hai....
( تذ كره محبوب صفہ..221 )

No comments: