22 rajjab imame jafar Sadiq radiyallaho anho ki niyaz
Hijri san 122 rajjab ki22 tarikh ki raat yani 21 ka din guzarkar 22 ki raat b'waqte namaze tahajjud Allah paak be syedana imame JAFAR Sadiq radiyallaho anho ko MAQQME GOSIYATE KUBRA aata farmaya.
Subhe 22rajjab ko Aap ne allah k janib se ye azim ne'mat Milne PR b'tore shukr ada karne k lie niyaz banwayi Jo dudh or chawal milakar banayi gayi jise hum khir kehte hai
App khandane Rasul sallallaho alaihe o sallam ke chashmo chirag the aap k ghar me tuti chatayi or mitti k bartan hi the isi par Aap shakir o sabir the Aap mitti k piyale me niyaz rakhkar apne dost o ahbab ko bulakar farmaya k Aaj raat Allah paak ne mujhe maqame gousiyate kubra ata farmaya isi ka shukr ada karte huwe ye niyaz aap logo ko pesh karta hu aap k sahabzade imame MUSA KAZIM radiyallaho anho aur aap k digar musahebeen ne daryaft kiya (puchha)k is me hamare lie fayida hai.
Aap ne farmaya k Rabbe kaba ki qasam Allah ne Jo ne'mat mujhe Ata farmayi jis ka me shukr ada karta hu niyaz ki Shakal me isi tarah isi tarikh me Jo bhi shukr ada karega aur hamare wasile se Jo duwa mangega to Allah pak uski murad zarur puri farmaega aur duwa zarur qabul hogi Q ki Aallah paak apne shukr guzar bando ko mayus nahi farmata
SubhanAllah.
Imame JAFAR Sadiq radiyallaho anho k parpote Syedona imame HASAN askari radiyallaho anho se kuch dushmane ahle bait ne sawal kiya ke jab hamare ghar me pital tanbe k behtarin bartan mojud hai to mitti k Kudo ki kiya zarurat hai
Aap ne farmaya hamare NANA JAAN mohammadur rasulullah sallallaho alaihe o sallam ki sunnat hai mitti k baratan me khana
Aaj musalmano ne hamare Nana jaan ki sunnato ko tark kar diya hai hum ne is niyaz ko mitti k piyalo me is lie zaruri karar diya taki kam az kam saal me ek 1 marataba hi Nana jaan ki ummat mitti k kundo me niyaz khakar sunnate rasul sallallaho alaihe o sallam ada hojae.
Kunde ka fatiha 22rajjab ko hi kare
22rajjab na hi aap ke wisal ki tarikh hai na hai paidayishi tarikh
Ye to aapko maqame gosiyate kubra Milne par ada ki jati hai.
Kuch ulema hazrat amir mawiya (radiALLAHUanhu) ka hawala detay hai ki 22 ko unki sahadat hui thi is wajah say shiya log kush hokar kunday kartay hai jab ki ye sarasal galat baat hai.
Refrence: ye upar likhi baat in kitabo say sabit hai.
1:minhajussalehin+ musannif
saiyadana Imam Mohiyuddin ibne Abu Baker Baghdad.
2:kashaful Asrar
Syedana Imam abdullah bin Ali asfahani.
3: Madame As rare ahle bait
Syedana Imam Mohammad bi okn Ismail muttaqi makki.
4: Makhzane anware wilayat
syedana imam Burhnuddin asqalani.
Sidq Sadiq ka tasadduq sadiqul Islam kar,
Be gazab razi ho Kazim aur Raza k wastey.
Aameen
No comments:
Post a Comment