sunnat e rasoool

Tuesday, November 15, 2016

Taziye Sharif Ka Shara’i Hukm

Taziye Sharif Ka Shara’i Hukm
Saiyadana Huzoor Imam-E-Aali Maqam Shaheed-E-Aazam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Ziqr-E-Shahdat Ke Saamaan-E-Tash’heer Aur Tareeqa-E-Elaan Par Aik Tahqiqi Kitab (Jise Hum Ne Yaha’n Roman Urdu Me Pesh Kiya Hai)
Taziye Sharif Kee Shara’i Haisiyat
Taziye Sharif Kee Tarikhi Haisiyat Kya Hai ? Is Kee Koi Zaroorat Nahin Hain, Sau Saal Pehle Se Bana Ho Ya Hazaar Saal Se Pahle Se, Dekhna Yeh Hai Ki Is Kee Sharai Haisiyat Kya Hai ? To Is Silsile Me Hum Qur’an Sharif Kee Taraf Ruzo Karte Hain Ki Jo Chjizein Allah Waalon Se Nisbat Haasil Kar Leti Hain Un Ka Kya Buland Muqaam Ho Jaata Hai, Is Ko Samjhne Ke Liye Padhiye Irshad-E-Rabb-E-Qadir :
“BeShak Safa Aur Marwa Allah Kee Nishaaniyon Me Se Hain.”
[Basirat-ul-Iman, Safah-28, Para-02]
Is Aayat-E-Karima Me Allah Ta’ala Ne Safa Aur Marwa Do Pahadiyon Ko Apni Nishani Qaraar Diya Hai. Is Liye Ki Aik Waliyya Ke Qadamon Se Inhein Nisbat Ho Gayi Hai. Saalehin Se Jis Chiz Ko Nisbat Ho Jaayein Woh Azmat Waali Ho Jaati Hai Aur Allah Ta’ala Kee Nishaani Ho Jaati Hai, Azmat Aur Nisbat Waali Chiz Kee Taazim Wa Tauqeer Deen Me Shaamil Hai Aur Allah Ta’ala Kee Nishaniya’n Jo Allah Ta’ala Kee Yaad Dilaati Hain Allah Waalon Kee Yaad Dilaati Hain, Woh Har Aik Ka Mukaddar Nahin. Irshad-E-Rabb-E-Qadir Hai :
“Ye Baat Hai Aur Jo Taazim Kare Allah Ko Yaad Dilaane Waali Chizon Kee To Ye BeShak Dilon Ke Takwe Se Hai.”
[Basirat-ul-Iman, Safah-802]
Ab Is Aayat-E-Karima Kee Tafsir Bhi Mulahiza Farmaye. Sha’air-ul-Allah Yaani Allah Ta’ala Kee nishaniyon Kee Taazim. Jis Ka Dil Khauf-E-Elaahi Ka Gehwara Hoga Woh Us Se Mansoob Chizon Ka Adab Zaroor Karega. Adab Karna Shirq Nahin Balki Ain Tauhid Ke Aasaar Me Se Hai. Allah Ta’ala Ka Har Aashiq Har Us Chiz Kee Qadr Karta Hai Jo Allah Ta’ala Kee Taraf Mansoob Ho Jaati Hai. Ebaadat-E-Jaahiri To Jism Ka Taqawa Hai Aur Dil Me Buzurgon Aur Un Ke Tabarrukat Kee Taazim Hona Ye Dil Ka Taqwa Hai. Jis Pat’thar Ya Janwar Ko Azmat Waale Se Nisbat Ho Jaaye Woh Sha’air-ul-Allah Yaani Allah Ta’ala Kee Nishani Ban Jaat Hai. Qur’an-E-Karim Me Hadi Ke Jaanwar Ko Kabat-ul-Allah Kee Nisbat Se Aur Safa Aur Marwa Kee Pahadiyon Kokaabe Waali Hazrat-E-Haajara Kee Nisbat Se Sha’air-ul-Allah Farmaya. Hazarat-E-Awliya’-E-Kiram Ke Mazaar-E-Mukaddesa Bhi Sha’air-ul-Allah Yaani Allah Ta’ala Kee Nishaniyan Hain. [Tafsir Rooh-ul-Bayan Sharif] Aiur Jin Logon Ko Allah Ta’ala Ke Pyaaron Se Nisbat Ho Jaaye Woh Sab Sha’air-ul-Allah Hain. Jaise Hazarat-E-Sadat-E-Kiram.

[Tafsir-E-Qadiri Badeei May Fawa’id-E-Rashidiya, Safah-803]
Agar Ba-Nazar-E-Ghaayar Dekha Jaayein To Hajar-E-Aswad Ko Choomna Bhi Isi Nisbat Kee Ata Hai Ki Lahbaay-E-Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Is Pat’thar Ko Choom Kar Qayamat Tak Ke Liye Bosaagaah Ban Diya. Chunanche Saiyadana Hazrate Umar Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Jab Sang-E-Aswad Ke Qarib Chumne Ke Liye Aaye To Aap Ne Farmaya :
Hadith Sharif : Hazrate Aabis Ibn Rabia RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki Mein Ne Hazrat Umar Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Dekha Ki Woh Hajar-E-Aswad Ko Choom Rahe Hain Aur Farma Rahe Hain Ki Aye Hajar-E-Aswad ! BeShak Too Aik Pat’thar, Na To Nafa Deta Hai Aur Na Nuksaan Aur Mein Tujhe Na Chumta Agar Mein Ne Rasool-E-Paak SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Choomte Na Dekha Hota.
[Bukhari Sharif]
Ye Baat Bhi Zer-E-Nazar Rahe Ki Hazar-E-Aswad To Chooma Hee Jaata Hai Kyon Ki Use Barah-E-Raast Nisbat-E-Rasool Haasil Hai Magar Nisbat Ka Ye Anadaz Bhi Khoob Aur Bahut Khoob Hai Ki Agar Waha’n Tak Aap Ka Moonh Na Jaaye To Lakadi Ya Khapachchi Hajar-E-Aswad Ko Laga Kar Us Lakadi Aur Khapachchi Ko Choom Lo Aur Agar Aap Kee Lakadi Aur Khapachchi Bhi Waha’n Tak Na Pahunche Ya Koi Lakadi Aur Khapachchi Bhi Haath Me Nahin Hai To Hajar-E-Aswad Kee Taraf Apana Moonh Kar Ke Apna Haath Choom Lo. Nisbati Hone Ke Liye Ye Zaroori Nahin Ki Jis Se Nisbat Dee Jaa Rahi Hai Us Se Baraah-E-Raast Bila-Waasta Mas Ho. Chunanche Hawaale Kee Duniya Ke Aaiye Aur Is Haqiqat Ko Padhiye.
{Hawala} Aur Haath Na Pahunche To Lakadi Se Sang-E-Aswad Mubark Ko Chhu Kar Use Choom Lo Yeh Bhi Na Ban Pade To Haathon Se Us Kee Taraf Isaara Kare Aur Aur Bosa De. Mohammad Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Moonh Rakhne Kee Jagah Par Nigaahe Padi Rahi Hain Yahi Kya Kam Hai.
[Fatawa Razwiya, Jild-04, Safah-701]
Nisbat Barah-E-Raast Ho Ya Dur Se, Tab Bhi Nisbat Nisbat Hee Hai Aur Nisbat Ka Bharpoor Faizaan Milega. Taziye Sharif Ko Bhi Huzoor Imam-E-Husain Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Nisbat Haasil Hai Aur Ye To Bana Hee Un Ke Naam Par Hai Jab Kee Lakadi Wa Chhadi Sang-E-Aswad Ko Chhhoone Ya Choomne Ke Liye Na Bani Thi Use To Use To Waqti Taur Par Istimaal Kar Liya Gaya.
Taaziya Sharif Jo Aam Taur Par Banaya Jaata Hai Woh Na To Roza-E-Husaini Kee Shabeeh Hoti Hai Aur Na Kisi Doosare Buzurg Ke Aastane Kee, Balki Woh To Yoon Hee Jis Kee Samajh Me Jo Aaya Bana Liya. Kyon Ki Taaziye Sharif Ka Maqsad Tash’heer-E-Husaini Hai Ki Poori Duniya Me Shahadat-E-Husain Charcha Ho Aur Iman Waalon Me Isaar Wa Qurbani Aur Shahadat Ka Jazba Paida Ho. Ye Yazidiyon Ko Aik Aanlkh Bardaasht Nahin Hai.
Aap Is Andaaz-E-Tasheer Ko Apne Samaaz Me Dekhe Ki Kis Tarah Racha Basa Huwa Hai, Jis Ke Yaha’n Shaadi Byaah Ka Programe Hota Hai Woh Apna Makaan Apani Gali Apana Makaan Apani Gali Apana Mohalla Sajaata Hai, Gate Lagaata Hai Taa Ki Har Gujarne Waale Ko Pata Chale Ki Is Ke Chahite Ya Chahite Kee Shaadi Hai Aur Is Sajaawat Wa Roshani Aur Gate-Saaji Aur Mandap Ko Duniya Ka Koi Maulvi Na To Na-Jaaiz Kahta Hai Aur Na Mana Karta Hai Chun Ki Nikaah Ke Programs Me Se Aik Program Ye Bhi Hai Ki Nikaah Kee Tash’heer Kee Jaaye, Kulya Me Gud Na Phoda Jaaye Ki Kal Koi Sawaaliya Nishaan Na Qaayam Kar De, Maaloomaat Na Hone Kee Bina Par. Is Liye Pyaare Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshad Farmaaya Ki Nikaah Ka Elaan Daff Baja Kar Karo.
Jab Apne Noor-E-Nazar Ya Noor Basar Kee Tashaheer Ke Liye Ye Sab Kuchh Ho Sakta Hai To Nabi Ke Chahite Nawaason Kee Tash’heer Ke Liye Ye Tamam Kaam Kaise Na-Jaaiz Ho Sakte Hain. Tash’heer-E-Husaini Me To Qaum Ko Waqiya-E-Qarbala Isaar Wa Wafa Aur Yazeede Paleed Ke Joro Jafa Ke Saath Saath Millate Muslima Ko Aik Naya Hausala Aur Pukhta Azm Zauq-E-Jihaad Shauq-E-Shahadat Ka Sabak Bhi Milta Hai Aur Qudarati Taur Musalmanon Ke Behre Jazbaat Me Talaatum Barpa Hone Lagta Hai.
Duniya Bhar Kee Mehfil-E-Milad Sharif Jasah-E-Sirat-E-Nabi Wa Aaraas-E-Mubark Wa Ijtema’at Me Sajaawat Ka Kitna Jabardast Intejam Wa Ehtimam Hota Hai Aur Kahi Kahi To Aik-Aik K.M Ke Faasle Par Gate Banaaye Jaate Hain, Jabardast Sajaawat Aur Mandap Hota Hai Aur Stage Ko To Itana Sanwaara Aur Sajaaya Jaata Hai Ki Log Is Ko Dekhne Ke Liye Umad Padte Hain. Jalse Kee Tash’heer Wa Ahamiyat Ke Liye Poster Bhi Bahut Khubsoorat Pancharanga Aur Siege Bhi Toofaani Hota Hai Taa Ki Poster Ko Dekh Kar Hee Log Samajh Jaaye Ki Poster Ke Hisaab Ka Hee Jalsa Bhi Hoga. Jab Ki Jalse Kee Ittila To Aik Chhota Sa Aik Rang Ka Hanbill Bhi De Sakta Hai. Is Par Na To Fuzool Kharchi Ka Goga Hota Hai Aur Na Israaf Ka Waavela Aur Na Koi Ye Puchhta Hai Ki Is Kee Ibtida Kis Ne Kee Aur Ye Tamam Taamjhaam Qur’an-E-Karim Kee Kis Aayat-E-Karima Aur Keen Keen Ahadith-E-Karima Me Likhi Huwi Hain. Ye Tamam Aaraaish Wa Zebaaish Aur Sajaawat Wa Raunaq, Ye Jhaalar Wa Jhandiya’n Chunki Sab Apne Liye Hain, Is Mandap Me Aa Kar Maulvi Saahebaan Sajege To Sab Kuchh Durust Hai Is Me Kisi Sharai Qabaahat Ka Koi Tazkera Nahin “Jo Ho Raha Hai Hone Do” Jitni Bhi Tip Taap Hai, Hai To Sab Hamare Liye ?
Haay Afsos Khud Ko Musalman Kahne Waale Balki Islam Ka Thekedaar Kahlane Waale Khud Apni Tash’heer Ke Liye To Sab Kuchh Qubool Karte Hain Magar Wohi Saamaan-E-Tash’heer-E-Nabi-E-Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Is Mazloom Shahzaade Ke Liye Bardaasht Nahin Kar Paa Rahe Hain. Balki Jad Se Hee Huzoor Imam-E-Aali Makaam Shaheed-E-Aazam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Naam Wa Nishaan Khatm Karne Ke Mood Me Hain. Yeh Alag Baat Hai Ki Yazeediyon Ka Abba Yazeed Paleed Sab Kuchh Haath Paanw Maarne Ke Baad Bhi Na-Kaam Wa Na-Muraad Hee Duniya Se Gaya Aur Laanat Ka Tauq Is Par Izaafa
Hai Roosway-E-Zamaana Woh Yazeede Naabakaar Ab Tak
Makeene Qalb-E-Momin Hai Husain-E-Ba-Waqar Ab Tak
Husaini Ushshaaq Wa Khuddam Ne Us Waqt Bhi Yazeediyat Ko Dhool Chatayi Hai Aur Is Waqt Bhi Yazeediyon Ko Chhathi Ka Dooth Yaad Dila Denge Aur Yazeediyon Ko Koi Khwaab Sharminda-E-Tabir Na Ho Sakega. Taaziye Sharif Kee Taazim Karna Istedalaali Taur Par Qur’an-E-Karim Se Saabit Hai, Jo Chiz Allah Waalon Se Nisbat Haasil Kar Leti Hai Woh Kaabil-E-Tazim Ho Jaati Hai, Aur Us Kee Tazim Bhi Wohi Karta Hai Jis Ka Dil Khashiyat-E-Rabbani Ka Gehwaara Hai Nisbat Waali Chiz Ka Ehteraam Karna Har Tharre Aur Khurre Ka Kaam Nahin Hai. Yazeedi Ke Camp Kee Taraf Se Ye Bhi Kaha Jaata Hai Ki Taaziye Sharif Ke Saamne Faateha Nahin Deni Chaahiye Ki Log Pata Nahin Kya Samjhenge, Magar Ye Yazeedi Khatre Ka Ye Signal Kaha’n Kaha’n Dikhaayege. Taaziye Sharif Ke Saamne Agar Niyaaz Wa Faatiha Dena Is Liye Jaaiz Nahin Hai Ki Log Kya Samjhenge To Phir Mazaarat-E-Awliya’-E-Kiram Par Bhi Niyaz Wa Fateha Band Kar Dena Chaahiye Ki Pata Nahin Log Kya Samjhenge Ki Saahib-E-Qabr Kee Faatiha Ho Rahi Hai Ya Seedhe Qabr Kee Pooja Ho Rahi Hai. Aur Agar Ye Jazba-E-Manhoos Aur Jawaan Jaaye To Phir Yun Bhi Kahiyega Ki Gumbad-E-Khizara Kee Chhanw Tale Khade Ho Kar Haath Baandh Kar Salam Bhi Na Padha Jaaye Ki Pata Nahin Log Kya Samjhenge Ki Jaaliyon Aur Mitti Ke Dher Ko Salaam Kar Rahe Hain, Is Khatre Ko Aik Yazeedi Campe Ne To Mahsoos Bhi Kar Liy Hai Aur Is Par In Ka Sakht Pahtra Bhi Hai Ki Har Kisi Ko Rook Kar Haath Baandh Kar Salam Nahin Padhne Dete. Ye Kaala Aur Andha Kaanoon To Abhi Aap Ke Ghar Me Dam Tod Dega Aur Yazeedi Mission Ka Tadapta Laasha Beech Chauraahe Par Hoga.
Namz-E-Janaza, Ki Ghar Ke Murde Ko Nahla Dhoola Kar Safed Kapade Pahna Kar Maidaan Me Rakh Diya Aur Sab Se Sab Haath Baandh Kar Janaza Saamne Rakh Kar Khade Ho Gaye Aur Aahista Aahista Khopadi Bhi Hilaane Lage, Agar Koi Ye Samajhne Lage Ki Musalman Marte Hee Khuda Ho Jaata Hai Aur Saari Qaum Us Kee Pooja Paat Me Lag Jaati Hai To Kya Namaz-E-Janaza Is Liye Chood Dee Jaayegi Ki Log Kyaa Samjhenge ? Ushshaq-E-Husaini Ka Har Mauqe Par Aik Hee Jawaab Hoga. Ye Ouni Pouni Samajh Waale Jaaye Apni Aisi Taisi Me. Hum Qabr Kee Faatiha Nahin Padhte Hain, Hum Janaaze Kee Pooja Paat Nahin Karte Hai Balki Allah Ta’ala Kee Ibaadat Kar Ke Musalman Mayyat Ke Liye Maghfirat Kee Duaa Karte Hain. Isi Tarah Taaziye Ke Saamne Taaziye Kee Nahin Balki Nabi Ke Nawaason Kee Faatiha Karte Hain. Jinhone :
Khoon Se Apne Jala Ke Rahe Maula MeCharaag
Raasta Ummat Naana Ko Dikhaate Hain Husain
“Log Pata Nahin Kya Samjhenge” Nek Kaamon Ko Band Karaane Ke Liye Yeh Engregi Formula Ba-Raah-E-Saudiya Najdiya Bhaarat Ke Campon Me Aaya Hai. Yazeedi Camp Kee Taraf Se Taaziye Sharif Ke Dafan Karne Par Bhi Aawaara Labo Lahje Hooha Machaayi Jaati Hai Ki Farzi Qarbalaein Bana Rakhi Hai Aur Waha’n Taaziya Dafn Kiya Jaata Hai Aur Ye Aik Gaurakh Dhanda Hai Aur Islam Me Is Kee Koi Gunjaash Nahin Hai.
Yaha’n Bhi Agar Ye Kah Diya Jaata To Kuchh Baat Ban Jaati Ki Yahoodi Islam Me Is Kee Koi Gunjaaish Nahin Hai Kyoon Ki Mohammadi Islam Me Is Kee Gunjaaish Hee Nahin Balki Is Kee Ba-Kaayda Taalim Wa Tabligh Hai.
Qur’an-E-Karim Ke Auraak Agar Boseeda Ho Jaayein Ya Deeni Kutub Agar Khasta Ho Jaayein To Un Ke Liye Islami Kanoon Yeh Hai Ki Unhein Ya To Dafn Kar Diya Jaata Hai Ya Phir Unhien Is Taur Par Paani Me Thanda Kar Diya Jaaye Ki Woh Satah-E-Aab Par Aa Kar Tair Na Sake Jis Se Be-Adabi Ho. Kyon Ki Qur’an-E-Karim Ke In Kaaghazi Safahaat Ko Allah Ke Kalaam Se Nisbat Hai Lihaaza In Kee Be-Hurmati Na Hone Paaye, Aise Upaay Kiye Jaayein Ki In Kee Qadr Baaki Rahe, Lihaaza Inhein Dafn Karne Ya Paani Me Thanda Karne Ka Tarika Islam Ne Diya.
Ab Taaziye Sharif Ka 10 Muharram Sharif Ke Baad Kiya Kya Jaaye To Is Ke Do Hee Tariqe Hain, Aik To Ye Is Ko Imambaade Sharif Me Rakh Diya Jaaye Ya Phir Masjid Wa Madaaris Wagairah Me Ba-Hifaazat Machaan Par Rakh Diya Jaaye. Doosara Tariqa Ye Hai Ki Is Ko Dafn Kar Diya Jaaye Ya Paani Me Thanda Kar Diya Jaaye Taa Ki Taaziye Sharif Aur Is Ke Ajza Be-Hurmati Se Mahfooz Ho Jaayein. To Taaziye Sharif Ko Dafan Karna Ya Paani Me Thanda Karna Az’ro-E-Shariat Durust Hai. Ye Bhi Taazim Hee Ka Aik Unwaan Hai.
Guzishta Saal Bareli Ke Aik Gaanw Me Is Baat Par Le De Mach Gayi Yazeediyon Ka Kahna Tha Ki Jis Masjid Me Taaziya Rakha Huwa Hai Us Masjid Me Namaz Jaayaz Nahin Aur Padhi Jaayegi To Namaz Nahin Hogi. Yazeedi Maulvi Apne Chand Yazeediyon Ke Saath Is Mauqaf Par Date To Poora Gaanw Is Baat Par Jam Gaya Taaziya Sharif Masjid Hee Me Hasb-E-Saabiq Rakha Rahega. Aur Hasb-E-Saabiq Taaziye Ke Masjid Me Hote Huwe Namaz Bhi Hoti Rahegi. Jab Husainiyon Aur Yazeediyon Me Than Gayi Aur Naubat, Bajane Waali Hee Thi Ki Fareeqain Me Tay Huwa Ki Markaz-E-Ahl-E-Sunnat Jamea Qadiriya Naimiya Muradabad Sharif Se Mas’ala Maloom Kar Liya Jaaye, Qadiri Dar-ul-Ifta Jo Faisla Dega Woh Hum Sab Ko Manjoor Hoga. Lihaaza Phone Aaya, Phone Karne Waala Yazeedi Tha Jo Ki Us Ke Sawaal Ke Tewar Bata Rahe They. Mazkoora Mas’ala Mujh Se Ma’loom Kiya Gaya, Main Ne Phone Par Hee Mas’ala Bata Diya Ki Jis Masjid Me Taaziya Sharif Hoga Us Masjid Me Namaz Durust Hai Aur Woh Masjid Sunniyon Aur Husainiyon Kee Hee Hogi. Taaziye Kee Maujoodagi Is Baat Kee Alaamat Hogi Ki Is Masjid Ka Yazeedi Camps Se Koi Ta’lluq Nahin Hai, To Us Ne Intihaayi Maayoos Lahje Me Phone Par Kaha “Ab To Taaziya Masjid Me Hee Rahega”Aur Phone Rakh Diya.
Jab Masjidon Me Eid-E-Milad-un-Nabi Aur Urs-E-Mubaraka Ke Doosare Board Hifaazat Ke Liye Rakhe Jaa Sakte Hain To Phir Taaziya Sharif Kyon Nahin Rakha Ja Sakta. Yazeediyon Kee Qabron Ke Tughare Jab Masjidon Me Latkaaye Ja Sakte Hain To Nabi Ke Shahzadon Ke Saamaan-E-Tasheer (Taaziye) Ko Hifaazat Ke Liye Masjidon Me Kyon Nahin Rakha Jaa Sakta Aur Is Kee Maujoodagi Me Namaaz Na Hone Ka Kya Sawaal Paida Hota Hai.
Har Husaini Musalman Soche Ki Har Ghar Me Milaad Sharif Hota Hai, Har Mohalle Aur Har Shahar Me Deeni Jalse Hote Hain In Me Ghar Kee Daraya’n Aur Chaandaniya’n Bichhayi Jaati Hain. Ghar Kee Chaukiya’n Aur Takht Bichhaye Jaate Hain Ya Phir Kiraaye Ka Saamaan Mangaaya Jaata Hai Aur Ye Kiraaye Ka Saamaan Is Deeni Jalse Se Pahle Bhi Doosare Swaang, Sarkas, Randi Ke Naach, Katha Kirtan Me Istimaal Hota Hai Aur Aaj Ke Baad Bhi In Mazkoora Kaamon Me Istemaal Hoga Aur Yahi Haal Light Aur Sajaawat Ke Saamaan Ka Hai Ki Woh Bhi Kal Kaha’n Kaha’n Istemaal Huwa Hai Aur Phir Kal Ko Kaha’n Kaha’n Istemaal Hoga. Magar In Sab Ko Mahfil-E-Rasool, Bazm-E-Rasool, Mimbar-E-Rasool Ka Naam De Diya Gaya. Ab Maulana Sahab Baar-Baar Yahi Kahege Ki Bazm-E-Rasool Hai, Yah Mimbar-E-Rasool Hain, Koi Musalman Nange Sar Ya Koi Daadhi Munda Is Par Az Roe Shariat Nahin Baith Sakta Ki Ye Mimber-E-Rasool Hai. Chand Ghanton Ke Is Saamaan Ko Mehfil-E-Zikr-E-Rasool Me Lagaaya Gaya To Aadaab Kee Barsaad Dekhi Jaa Rahi Hai. In Dari, Chaadaron, Jhaalaron, Jhandiyon, Chonkiyon Aur Takhton Ko Zikr-E-Rasool Se Thodi Der Ke Liye Nisbat Ho Gayi Hai, Ho Sakta Hai Ki Ye Saara Ka Saara Saamaan Yaha’n Se Ukhad Kar Kisi Swaang Ya Kirtan Ya Naach Gaane Kee Sabha Me Chala Jaaye Magar Waqti Nisbat Ne Is Saamaan Ko Azmatein Dee Ke Ab Koi Is Mehfil Me Bidi Cigarette Bhi Nahin Pee Sakta Ki Bazm-E-Rasool Hai. Mohalle Ka Kutta Jo Din Bhar Yahi Ghoomta Hai Ab Agar Aa Jaaye To Badi Teji Kee Saaath Is Ko Bhagaaaya Jaayega Ki Ye Bazm-E-Rasool Hai Kutta Kaise Aa Gaya ? Ye Waqti Nisbat Kee Jalwaagari Hai Ki Ghar Kee Chaadaron Aur Chaar Diwaari Kee Taazim Kee Jaa Rahi Hai. Kiraaye Par Aaye Huwe Decoration Ke Saamaan Kee Taazim Kee Jaa Rahi Hai Jo Chand Minute Baad Taay Taay Fish Ho Jaayega, Magar Taaziya Sharif To Banaaya Hee Gaya Hai Prachar-E-Husaini Ke Liye, Is Ka To Maqsad Hee Tash’heer-E-Husaini Hai, Woh To Na Pahle Hee Gandi Jagahon Par Istemaal Huwa Hai Aur Na Baad Me Hee Kisi Gandi Jagah Istemaal Hoga. To Is Husaini Nisbat Rakhne Waale Taaziye Sharif Kee Taazim Bila Suba Rooh-E-Iman Hai Balki Ishq-E-Husaini Kee Pahchan Hai Aur Azeem Nisbat-E-Husaini Rakhne Waale Taaziye Sharif Kee Wohi Taazim Karega Jis Ka Dil Jalwagah-E-Khashiyyat-E-Rab Hoga, Jo Dil Ka Muttaqi Hoga. Aur Jis Ka Dil Bala-E-Yazeediyat Me Giriftar Hoga Us Kee Apni Yazeedi Taknik Hogi, Yazeedi Soch Hogi, Woh Isi Par Nanga Naach Karega.
Taaziya Sharif Imaan Waalon Kee Nazar Me Bahut Hee Mohtaram Wa Moazzam Hai. Imaan Waalon Me Bhi Do Jama’atein Hain, Aik Awaam, Doosare Khawaas. Taaziya Sharif Par Do Jama’aton Me Mohtaram Wa Moazzam Hai Aur Donon Jama’aton Ne Taaziye Sharif Ka Intezam Wa Ehtemaam Bhi Kiya Hai Aur Ikaraam Wa Ehtaraam Bhi. Taaziya Sharif Aaj Kee Koi Naee Baat Nahin Hai Sadiyon Saal Pooraani Baat Hai 1170 C.E Me Taqriban Saadhe Aath Sou Saal Pehle Kee Taaziye Sharif Kee Riwayat Milti Hai.
25 Moharram Sharif Ko Saiyadana Huzoor Baba Fareed-ud-Deen Ganze Shakar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Urs-E-Mubarak Ke Mauqe Par Huzoor Baba Sahab Ka Chilla Khaana Khulta Hai Jis Me Saiyadna Sultan-ul-Hind Garib Nawaz Huzoor Khwaza Moin-ud-Deen Ajmeri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Chaandi Ka Taaziya Sharif Rakha Huwa Hai. Jaaerin Is Kee Ziyaarat Se Faizyaab Hote Hai.
[Deen Mohammadi Aur Taziya Daari]
Hindustan Ka Musalman Do Buzurgon Ka Marhoon-E-Minnat Hai :
(01) Saiyadana Huzoor Madar-ul-Aalamin Sultan-ul-Awliya’ Saiyad Badee’ud-Deen Zinda Shah Madar
(02) Saiyadana Huzoor Sultan-ul-Hind Garib Nawaz Khwaja Saiyad Moin-ud-Deen Hasan Ajmeri RadiyAllahu Ta’ala Anhuma.
Aur In Donon Khaanqaahon Me Nasalan Baada Nasalin Qaranan Baada Qaranin Taaziya Sharif Banta Chala Aa Raha Hai Aur Is Kee Taazim Wa Tauqeer Ziyaarat Wa Sa’adat Ka Prachar To Sadiyon Se Hota Hai.
Goya Ki Bharat Waasiyon Ko Jaha’n Se Islam Mila Hai Waha’n Se Taaziya Sharif Bhi Mila Hai Lihaaza Husaini Mastaane Apne In Jaleel-ul-Qadr Buzurgon Kee Khaanqaahon Se Nashr Hone Waale Paigam Ko Qubool Kare Aur Tash’heer-E-Husaini Ke Liye Taaziya Sharif Banaaein Aur Bara-E-Elaan Dhol Taasha Bhi Bajaaye, Sarbat Kee Sabeele Bhi Lagaaye Aur Niyaaz Wa Faateha Bhi Dilaaye Aur Mahfil-E-Ziqr-E-Shahadat Sajaaein Aur Rooh-E-Husain Ko Khush Karne Ka Jashn Manaayein Yazeediyon Ko Khoob Jalaayein Itana Jalaayein Ki Woh Kabaab Ho Jaaein. Yazeedi Campe Purfareb Tariqe Se Ye Zehan Sadaata Hai Ki Woh To Bhookhe Pyaase Shaheed Huwe Aur Hum Khichada Aur Sharbat Khaa Pee Kar Mauj Masti Maare.
Is Yazeedi Istedalaal Kee Tarz Par To Yah Bhi Kaha Jaa Sakta Hai Ki Pyaare Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam To Faqr Wa Faaqe Kee Zindagi Basar Farmayein Aur Chataayi Par Jalwa Gustar Ho’n Aur Ye Yazeediyat Ke Thekedaar Murg Pulaaw Chicken Tandoori, Udad Kee Fareri Daal, Thandi Kheer, Kakadi Aur Sarada Auyr Soda Water, Pepsi Wagairah Udaaye Aur Baad Marne Ke Bhi Is Kee Farmaaish Kare, Unhien Sharm Aani Chaahiye.
Kya Ye Yazeediyat Ke Thekedaar Log Chicken Aur Chicken Pulaaw Ko Mana Karege, Aue Pyaare Rasool SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Oont Aur Daraaz Gosh Kee Sawaari Farmaayi Hai, Ye Yazeediyat Ke Thekedaar Na Gadhe Par Sawaar Nazar Aate Hai Na Aur Na Ye Yazeedi Oont Par Sawaar Dikhaayi Padte Hain. Ye BeKaar Farsuda Formule Waale Caaron Me Birajmaan Aate Hai, Aaj Agar Koi Kahe Ki Haay Rasool-E-Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam To Itni Mamooli Sawaari Par Jalwa Gustar They Aur Aaj Ke Yazeedi Thekedaar Plane Aur Helicopter Me Ood Rahe Hain, Trainon Me Caron Me Bhaage Jaa Rahe Hai, To Kya Jawaab Denge Ye Bogas Naare Lagaane Waale Ki Qarbala Me Imam-E-Husain Un Ke Rufaqa Bhukhe Pyaase Rahe Aur Hum Khichada Aur Sharbat Khaaein Peeyein.
Khichada Aur Sharbat Is Muqaddas Nazariye Ke Saath Banaaya Aur Khaaya Piya Jaata Hai Jis Ko Islam Me Isal-E-Sawab Kaha Jaata Hai Aur Isaal-E-Sawaab Baharhaal Qur’an-E-Karim Aur Ahadith-E-Karima Kee Muqaddas Taalim Hai. Tafsilaat Ke Liye Dekhiye Faqir-E-Qadiri Kee Qutub :
(01) Suboot Isal-E-Sawab (02) Islam Me Isal-E-Sawab
Aik Chaalaak Yazeedi Ne Taaziye Sharif Ka Rishta Taimoor Lang Badshah Se Jod Kar Taaziye Sharif Se Apani Bhadaas Nikaali Hai Aur Yaha’n Tak Likh Maara Hai Ki Ye Yazeed Ke Mahal Me Qatl-E-Husaini Ka Jash Manaaya Gaya Tha Aur Waha’n Dhol Taashe Baje They Lihaaza Yeh Aashiqa-E-Husaini Yazeede Paleed Kee Sunnat Par Amal Karte Hain. Aur Is Etemaad Se Likha Hai Jaise Ye Bhi Bajm-E-Yazeede Paleed Me Ba-Haisiyat Worker Maujood Tha Aur Langaada Isi Ke Gale Me Latka Huwa Tha.
Kitna Sangin Ilzam Hai Aashiqan-E-Husaini Par Aur Ushshaq-E-Husaini Ko Rah-E-Husaini Se Fisalaane Ka Kya Hee Shaatiraana Andaaz Hai. Agar Yazeed Ke Yaha’n Ye Sab Kuchh Huwa Bhi Tha Khoob Shaadiyaane Baje They Aur Ye Aaj Ke Yazeedi Chashmadeed Gawaah Bhi Hain To Woh Paleed Jaane Ya Us Ke Himaayati.
Hum To Mah-E-Muharram Ka Chaand Nazar Aate Hee Dhol Is Liye Bajaate Hain Ki Poori Duniya Ko Qarbala Ke Julm Kee Daastaan Maloom Ho Jaaye Ki Duniya Me Yahood Wa Nasaara Bhi Rahte Hain Ibn Saba Ke Chamche Bhi Rahte Hain. Kalma-E-Tayyiban Padhne Waale Bhi Aise Hote Hain Ki Jis Ka Kalama Padhte Hain Us Kee Aal Ko Tah-E-Tegh Bhi Karte Hain.
Woh Kalama Goh They Jo Aal-E-Nabi Ko Qatl Kiya
Woh Kalama Go’i Haqiqi Bhi Thi, Sawaal Yah Hai ?
Namaz Me Noomaaish Ke Taur Par Jin Par Durood Sharif Padhte Hain Maidan-E-Qarbala Me Unhin Par Tegh-E-Sitam Bhi Chalaate Hain Aur Bhookh Wa Pyaas Me Tadapa Tadapa Ke Qatl Karne Kee Shaqaawat-E-Do Jaha’n Haasil Karte Hain.
Woh Kounsa Saahib-E-Iman Hai Jo Yazeedi Niyat Se Dhol Bajaata Hai Ki Bahut Achchha Huwa Ki Nabi Ke Laalon Ka Qatle Aam Ho Gaya, Bahut Achchha Huwa Ki Nasl-E-Rasool Tabah Wa Barbaad Ho Gayi, Fatami Shahzade Ko Be-Basi Aur Be-Kasi Aur Dasht-E-Gurbat Nasib Huwa. Sachchaai Ye Hai Ki Husaini Jiyaalon Ka Dhol Ba-Aawaj-E-Buland Elaan Karta Hai Ki Yazeedi Huqoomat Dhol Ka Pol Thi, Yazeedi Mission Dhol Ka Khol Hai.
Elaan Ke Dhol Bajaana Az Roe Shareeat Jaaiz Hai
Saiyadana Sultan-ul-Hind Garib Nawaz Ajmeri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Aastana-E-Aaliya Par Yakum Rajab Ko Urs Ka Elaan Ba-Zariye Dhol Taasha Hota Hai Aur Dhol Taasha Hee Bajaaya Jaata Hai. Tamam Duniya Ka Musalman Is Elaan Ki Lagbhag Aath Sou Saal Se Sun Raha Hai Dekh Raha Hai. Saiyadana Huzoor Makhdoom Ala-ud-Deen Sabir-E-Pak Kaliyari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Yaha’n Bhi Elaan-E-Urs Sharif Dhol Taashe Ke Saath Hee Hota Hai Jo Aaj Bhi Jaari Hai. Aaiye Hawaale Ke Liye Aur Dekhe Ki Elaan Ke Liye Dhol Bajaana Az Roe Shareeat Kaisa Hai.
Hawala : Naubat Bajaana Agar Tafaakhur Ke Liye Ho To Na-Jaaiz Hai Aur Logon Ki Is Se Mutaanabbe Karna Maqsood Ho Nafkhaate Saur Yaad Dilaane Ke Liye Ho To Teen Waqton Me Naubat Bajaane Kee Ijaazat Hai, Baad-E-Asar, Baad-E-Isha Aur Baad Nisf Shab, Ki In Owqaat Me Naubat Ko Nafkh-E-Sor Se Mushaabahat Hai. Ye Niyyat Bahut Achchhi Hai. Agar Naubat Bajaane Waale Ko Bhi Is Ka Dhyaan Ho Aur Kaash Sun’ne Waale Ko Bhi Naubat Kee Aawaaz Sun Kar Nafkaht-E-Sour Yaad Aayein, Magar Is Zamaane Me Aise Log Kaha’n, Yaha’n Naubat Se Maksood Dhoomdhaam Aur Shaadi Byaah Kee Raunak Wa Zeenat Hai.
[Bahar-E-Shariat, Jild-16, Safah-110-111]
Hawaala : Eid Ke Din Aur Shaadiyon Me Daff Bajaana Jaaiz Hai Jab Ke Saade Daf Ho Is Se Jhaajh Na Ho Aur Qawaaid-E-Mausiqi Par Na Bajaaye Yaaein Yaani Dhab Dhab Kee Be-Soori Aawaaz Se Nikaah Ka Elaan Maqsood Ho. Logon Ko Bedaar Karne Aur Khabardaar Karne Ke Iraade Se Bigul Bajaana Jaaiz Hai Jaise Hamam Me Bigul Is Liye Bajaate Hain Ki Logon Ko Ittila’ Ho Jaaye Ki Hamaam Khul Gaya. Ramzan Sharif Me Sehri Khaane Ke Waqt Baaz Shahron Me Naqqaare Bajte Hain Jis Se Ye Maqsood Hota Hai Ki Log Sehri Ke Liye Bedaar Ho Jaayein Aur Unhien Maloom Ho Jaaye Ki Abhi Sehri Ka Waqt Baaqi Hai, Ye Jaaiz Hai Ki Ye Soorat Lehw-O-La’ab Me Daakhil Nahin.
[Bahar-E-Shariat, Jild-16, Safah-111, + Kanoon-E-Shariat, Jild-02, Safah-221]
Yah Fiqah Kee Kitabein Hain In Me Mut’addad Qayood Ke Ba-Wajood Baray-E-Elaan Wa Ittila Naubat Bajaane, Daff Bajaane, Bigul Bajaane, Naqqaara Bajaane Ko Jaaiz Hee Bataaya Hai.
Elan-E-Husaini Me Dhol Ke Istemal Ko Na-Jaaiz Kahne Waale Kaha’n Kaha’n Dhol Bajaane Aur Bajawaane Kee Fiqr Me Hai Is Ko Padhiye.
Azaan Jo Nazam Se Pehle Hoti Hai Is Ke Maayne Elaan Wa Ittela’ Ke Hain Aur Azaan Wa Iqaamat Ke Darmiyaan Jo Tasweeb Hoti Hai Jis Ko Urf-E-Aam Me Salaat Bhi Kahte Hain Is Tasweeb Ke Kya Maana Hain ? Padhiye :
Hawaala : Tasweeb Ke Maana Hai Aik Ittela Ke Baad Doosari Ittela’ Dena. Matlab Ye Ki Aazaan Jo Ba-Zaate Khud Jama’at Kee Ittela’ Hai Is Ke Baad Namaziyon Ko Jama’at Kee Tayyari Kee Ittela Dee Jaa Sakti Hai. Ye Soorat-E-Haal Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala Alayhim Aj’maeen Ke Muqaddas Waqt Me Nahin Thi Magar Kyun Ki Umooman Logon Me Susti Paida Ho Gayi Hai. Is Liye Ye Soorat Jaaiz Qaraar Dee Gayi Hai. Is Ka Haasil Yahi Hai Ki Jama’at Ke Tayyar Hone Ki Ittela’ Munaasib Tareeqe Par De Dee Jaaye.
[Noor-ul-Isabah, Safah-45]
Is Hawaale Ka Maqsad Yahi Hai Ki Azaan Aur Taqbeer Ke Darmiyan Aik Aur Elaan Kar Diya Jaaye Aur Namaziyon Ko Ittela’ De Dee Jaaye Aur Namaziyon Ko Ittela’ De Dee Jaaye, Is Elaan Wa Ittela’ Ko Tasweeb Kahte Hain Aur Jama’at Tayyar Hone Kee Ye Ittela’ Munaasib Tareeqe Se Musalmaon Ko De Dee Jaaye, Woh Munaasib Tareeqe Kya Kya Ho Sakte Hain Is Ko Bhi Gaur Se Padhiye.
Hawaala : Asl Is Baab Me Yeh Hai Ki Azan Aur Namaz Ke Darmiyan Logon Ko Namaz Ke Liye Bulaane Aur Jama Karna (Kisi Mut’aaraf Jariye Se) Masha’ikh Wa A’imma Ne Ba-Zaroorat Balki (01) Mustahasan Qaraar Diya Hai Jis Ko Istelaah Me Tasweeb Kahte Hain Kyun Ki Musalmanon Me Roz Afazoo’n Ghafalat Is Kee Mutaqaazi Hai Ki Baar-Baar Tambeeh Kee Jaayein Aur Is Tambeeh Ke Liye Masaaikh Rahmahum-ul-Allahu Ne Koi Khaas Tareeqa Muqarrar Nahin Farmaya Balki (02) Har Zamaane Aur Har Jagah Ke Urf Par Chhoda Hai Ki Jo Chiz Logon Me Mut’aaraf Ho Jaaye Wohi Har Jagah Aml Me La’i Laaye Aur Ba-Ainehi Aisa Hai Jaise Ramzan-E-Mubarak Me Ibteda Aur Inteha-E-Sahar Ke Liye Har Shahar Wa Kasbe Me Apne Urf Ke Muwaafiq Mukhtalif Sooratein Ikhteyaar Kee Jaati Hai. Kahi Ghanta Bajaate Hain Kahin, Kahin Naqqaara Tabal, Kahin Gola Wa Top Chhodi Jaati Hai Aur Umooman Fuqaha Ne Is Ko Jaaiz Wa Mustahasan Qaraar Diya Hai. Ila Aakhirihi.
[Fatawa-E-Darul Uloom Dewbadn, Jild Awwal Wa Doyam Safah-70]
Tasweeb (Salaat) Ka Tafseeli Mas’ala “Nawafil-E-Intekhab Urf Azaan Wa Aqaamat Ke Darmiyan Tasweeb” Aur “Madari Sharif” Ke Bab-ut-Tasweeb Me Mulaahiza Farmaye. Magar Yaha Ye Jaante Chaliye Ki Mazkoora Ibaarat Me Jama’at Kee Tayyari Kee Ittela Aur Elaan Ke Liye Masjid Me Ghanta Bhi Bajaaya Ja Sakta Hai Aur Naqqaara Wa Tabal Bhi, Ab Is Silsile Me Kisi Bhi Herpher Ko Hum Bardaasht Nahin Kar Sakte, Hum To Dhol Taashe Ke Zariye Pyaare Nabi Ke Pyaare Nawaase Kee Qurbaniyon Aur Un Ke isaar, Deen Nawaazi Ka Elaan Karte Hain, Jo Bila Shuba Jaaiz Hee Nahin Balki Mustahab Aur Kaar-E-Khair Baais-E-Ajar Wa Sawaab Hai. Ab Khud Pyaare Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Farman-E-Aalishan Bhi Mulaahiza Kar Liya Jaaye To Aap Ko Haqiqi Irfaan Milega Ki Elaan Ke Liye Daff Bajaana Hukm-E-Rasool Hai.
Hadith Sharif : Saiyadatuna Ummul Momineen Hazrat Aaysha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki Pyaare Rasool-ul-Allah Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Elaan Karo Tum Is Nikaah Ka Aur Kiya Karo Tum Nikaah Masjdon Me Aur Bajaaon Is Mauqe Par Dafaon Ko.
[Tirmidhi Sharif]
Hadith Sharif : Saiyadana Hazrat Mohammad Bin Haatib RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki Farmaya Pyaare Rasool-ul-Allah Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ki Farq Nikaah-E-Halaal Aur Nikaah-E-Haraam Ke Darmiyan Daf Bajaane Aur Aawaaz Hai Nikaah Me.
[Nisaai Sharif]
In Donon Ahadith-E-Karima Kee Roshani Me Baat Bilkul Saaf Ho Gayi Ki Elaan Ke Liye Daf Ka Bajaana Hukm-E-Rasool Hai. Daf, Tabla Ye Tamam Ke Tamam Elaan Me Durust Hain. Gulaman-E-Husaini In Ke Zariye Elaan Wa Tash’heer-E-Ziqr-E-Shahadat-E-Husaini Karte Hain, Mahoul Ko Garmaate Hain Jo Bila Shubaah Sawaab Ka Kaam Hai. Mah-E-Muharram-ul-Haram Ke Pahle Ashre Me Dhol Taasha Bajaane Ka Rishta Yazeede Paleed Se Jodana Ye Yazeediyon Kee Sochi Samjhi Scheme Ka Aik Taarik Hissa Hai Aur Mah-E-Muharram-ul-Harma Ke Pahle Ashre Me Dhol Taasha Bajaana Bara-E-Elaan-E-Ziqr-E-Shahadt-E-Husaini Husainiyon Kee Sochi Samjhi Aqidaton Se Aaraasta Deen Wa Sunniyat Ko Doodhiya Chaandani Me Naahyi Scheme Ka Roshan Hissa Hai.
Musalman Gharon Me Ho Aur Jaha’n Ashra-E-Muharram Me Dhol Taashe Kee Aawaaz Aayi Aashiqan-E-Husaini Betaabaana Ishq-O-Aqidat Ka Nazraana Liye Taaziya Dekhne Ko Gharon Se Baahar Aa Jaate Hain Aur Taaziye Sharif Kee Ziyarat Karte Hain Aur Aansunon Ka Khiraz-E-Aqidam Pesh Karte Hain. Chunanche Aashiq-E-Panjatan Saiyadana Huzoor Haafiz Haazi Waaris Ali Shah Dewa Sharif RadiyAllahu Ta’ala Anhu Wa Digar Aqaabirin-E-Millat Ka Yehi Andaz-E-Aashiqana Un Kee Sirat Wa Hayaat Par Mushtamil Kitabon Me Maujood Hai.
Yazeedi Tash’heer-E-Husaini Ko Roke Aur Jitna Zor Hai Sab Laga De Woh Nakaam Wa Na-Muraad Hee Rahege. Guzishta Sou Saal Ka Tajurba Shaahid Hai Ki Yazeedi Soormaaon Ne Ghode Khol Liye Magar Apne Yazeedi Mission Me Qaamyaab Na Ho Sake Ki Gulaman-E-Husiani Fidayan-E-Aal-E-Rasool Apne Husaini Mission Me Lage Huwe Hain Aur Ishq-E-Husaini Ke Chiraag Roshan Kiye Huwe Hain.
Timtimaata Hai Kahin Koi Diya Tera Yazeed
Aur Har Ek Qalb Me Hai Shamm-E-Husaini Roshan
Saiyadana Hazrat Shah Saiyad Abd-ur-Razzaque Baansawi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya :
“Taaziye Ko Koi Ye Na Samjhe Ki Mahaz Kaaghaz Aur Panni Ka Bana Huwa Hai Balki Arwah-E-Muqaddasa Shuhda-E-Qarbala Kee Tawajjo Khaas Hoti Hai.”
[Karamat-E-Razzaquiya, Deen-E-Muhammadi Wa taaziyadaari]
Hazrat Allama Maulana Slamat Ali Dehlwi Tilmiz-E-Rasheed Saiyadana Hazrat Shah Abd-ul-Azeez Muhaddith Dehlwi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya :
“Khuda Ka Shukr Hai Ki Taaziyaadari Aasaar-E-Islam Me Hai Aur Aik Aalam Bahut See Wajhon Se Behraawar Hota Hai Aur Is Se Deeni Faayde Haasil Hote Hain.”
[Tabrirat-ul-Iman, Deen-E-Muhammadi Wa Taziyadari]
Aarif-E-Yagana Saiyadana Hazrat Maulana Shah Niyaaz Ahmad Barelwi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Jo Jaleel-ul-Qadr Buzurgan-E-Deen Me Se Hain Aap Kee Sirat-E-Tayyaba Taaziye Sharif Se Muta’lliq Kya Dars Deti Hai Ise Padhiye Aur Wajd Kijiye :
“Shab-E-Aashoora Me Do Baje Taaziyon Kee Ziyarat Ko Tashrif Le Jaate Aur Paanch Saat Taaziyon Kee Zyarat Kar Ke Waapas Aate, Akhir Umr Me Jab Chalne Kee Taaqat Na Rahi To Hazrat Mustgharaq Baythey They Ki Soorat-E-Noorani Hazrat Fatimah Zahra Saiyada RadiyAllahu Ta’ala Anha Kee Tashrif Aawari Huwi Aur Farmaya Ki Miya Aaj Hamare Bachchon Kee Zyarat Ko Na Uthoge. Hazrat Shah Niyaaz Par Riqqat Taari Ho Gayi. Khudaam Ko Hukm Huwa Ke Hum Ko Le Chalo. Arz Kiya : Huzoor Chaarpaai Par Le Chalein ? Farmaya : Nahin, Paidal Le Chalon. Chunanche Khudaama Ne Donon Jaanib Se Bagalon Me Kandha Diya Aur Hazarat Ne Paanch Taaziyon Kee Zyaarat Kee Aur Akheer Umr Tak Aap Ka Yahi Haal Raha. Aik Martaba Soorat Ke Rahne Waale Aik Aalim-E-Deen Hazrat Shah Niyaaz Barelwi Ke Hamraah Huwe, Hamesha Kee Tarah Hazarat Kee Ye Aadat Thi Ki Taaziye Ke Takht Ko Haath Laga Kar Apne Moonh Aur Qalb Par Phairte They Magar Is Martaba Hazrat Ne Taaziye Ke Takht Ko Bosa Diya. Is Par Maulvi Sahab Ke Dil Par Khayaal Guzara Kee Hazrat Ne Ye Kya Ghazab Kiya, Hazrat Ne Un Ke Khataraat-E-Qalbi Par Aagaah Ho Kar Un Se Taaziya Dekhne Ko Kaha, Maulvi Sahab Ne Dekha Ki Taaziye Kee Donon Jaanib Hazrat Imam-E-Hasan Aur Hazrat Imam-E-Husain Ala Nabiyyena Wa Alaihissalato Was-SalamTashrif Rakhte Hain, Aik Libaas Sabz Aur Doosare Ka Surkh Hai. Maulvi Sahab Ko Taab-E-Mushaahada Na Huwa, Geer Pade Aur Un Par Be-Had Riqqat Taari Ho Gayi, Yaha’n Tak Ki Lautne Lage. Hazrat Waha’n Se Doosare Taaziye Kee Taraf Tashrif Le Gaye.”
[Karamat-E-Nizamiya, Mukhzan-ul-Khaza’in, Safah-336, Deen-E-Muhammadi Aur Taziyadari]
In Jaisi Bahut See Shahadatein Hazarat-E-Ulama-E-Kiram Wa Awliya’-E-Ezaam Kee Maujood Hain Jinhone Khwaab Me Nahin Balki Baidaari Me, Behosi Me Nahin Balki Hosh Wa Hawaas Kee Durustagi Me Dil Kee Aankhon Ke Saath-Saath Maathe Kee Aankhon Se Taaziye Sharif Ko Hazaraat-E-Hasnain Kareemain Ko Kandha Dete Mulahiza Farmaya Hai.
Abhi Yazeediyon Ke Tarqash Me Aik Teer Aur Bhi Baaqi Hai. Woh Ye Ki In Qashf Wa Karaamaat Se Islam Ka Koi Mas’ala Saabit Nahin Kiya Jaa Sakta. To In Tamama Yazeediyon Ko Faqir-E-Qadiri Ka Sujhaaw Hai Ki Bila Shuba Qashf Wa Karaamaat Se Deen Ke Kisi Mas’ale Ka Suboot Nahin Ho Sakta Magar Deen Ke Kisi Mas’ale Kee Ta’eed Wa Tasdiq Jaroor Ho Sakti Hai Aur Is Kee Kisi Ko Majaale Inkaar Na Hogi. Chunanche Qur’an-E-Karim Aur Fuqaha Se Istedalaal Karte Huwe Jab Taaziye Ka Jawaaz Wa Istehbaab Saabit Kar Diya To Is Kee Majeed Tasdeeq Wa Ta’eed Qashf Wa Karaamaat Se Bhi Kar Dee Aur In Khaasaan-E-Khuda Ke Maamoolaat Bhi Khuda Raseeda Hote Hain. Kyon Ki Inhin Maamoolaat Se Inhein Khuda Rasi Milti Hai. Is Haqiqat Ko Bhi Qur’an-E-Karim Kee Roshani Me Mulaahiza Farmaayein. Irshad-E-Rabb-E-Qadir Hai :
“Aur Pairwi Kar Too Raaste Kee Us Ke Jo Pahunch Gaya Mujh Tak.”
[Basirat-ul-Iman, Safah-994]
Qur’an-E-Karim Ke Is Saraahat Ke Baad Kisi Ko Poon Pon Ka Mouqa Nahin Hai, Khaasan-E-Khuda Kee Pairwi Un Kee Itteba Un Ke Nuqoosh-E-Qadam Ko Choomna Allah Ta’ala Tak Pahunchane Ka Khaas Jariya Hai.
Khaasaan-E-Khuda Ne Taaziye Se Kisi Qadar Waanbastagi Ka Muzaahara Farmaya Hai Is Ka Andaaza Is Se Lagaaya Ja Sakta Hai :
“Shaykh-E-Aazam Hazrat Allama Shah Shaiyad Mohammad Izhaar Ashraf Sahab Ashradi Jilaani Sajjadaanashi Kachhouchha Sharif Ne Ashrafi House Muradabad Sharif Me Aik Waaqiya Bayan Farmaya Ki Wali-E-Kamil Hazrat Saiyad Shah Shahbaz Bhagalpoori RadiyAllahu Ta’ala Anhu Taaziye Sharif Ke Khilaaf They Aur Bhagalpoor Me Taaziyedaari Dhoom-Dhaam Se Hoti Thi, Bhaagalpoor Ke Aksar Saakinaan Aap Ke Mureed They. Daswi’n Muharram Thi Aik Mureed Ne Arz Kiya Ki Huzoor Taaziyedaari Aap Ke Mureedeen Hee Karte Hain Aur Aap Us Ke Khilaaaf Hai Is Ko Hukm De Kar Band Kara Deejiye. Aap Ko Jalaal Aa Gaya Aur Apana Lath Le Kar Chal Deeye Ki Aaj Saare Taaziye Ko Tod Daalunga, Magar Jab Taaziye Ke Qareeb Pahunche To Aap Kee Aankhon Ka Saagar Chhalakne Laga Aur Aap Haath Baandh Kar Khade Ho Gaye Aur Aap Ne Bhi Taaziye Ko Kaandha Diya. Jab Taaziye Ka Juloosh Guzar Gaya To Usi Mureed Ne Arz Kiya Ki Aap To Taaziyon Ko Todne Gaye They Magar Aap Paikar-E-Adab Ban Kar Taaziyon Kee Ziyaarat Me Masroof Ho Gaye. To Saiyadana Hazrat Shahbaz Ne Farmaya Ki Main To Apne Programe Hee Se Gaya Tha, Magar Mein Kya Karoo’n Ki Mein Ne Dekha Ki Saiyadana Saiyad-ush-Shuhada Imam-E-Aali Maqaam Shaheed-E-Aazam Huzoor Imam-E-Husain Alayhissalam Juloos-E-Taaziya Ke Saath Khud Chal Rahe Hain. Jab Daada Jaan Kaandha De Rahe They To Pote Ne Bhi Kaandha Diya Aur Mein Ne Faisala Kar Liya Hai Ki Kabhi Taaziyon Kee Mukhaalifat Nahin Karunga.”
[Need-E-Ahl-E-Sunnat Weekly, 21 February 2003]
Bayan-E-Waqie Ke Waqt Faqir-E-Qadiri Ke Alaawa Azizi Sher Beshaae Ahl-E-Sunnat Allama Hafiz Qaari Al-Haj Mufti Saiyad Mohammad Intesaab Husain Qadiri Ashrafi Madari Naazim-E-Aala Markaz-E-Ahl-E-Sunnat Jamea Qadiriya Muradabad Sharif, Mohseen-E-Ahl-E-Sunnat Janab Al-Haaj Haafiz Mohammad Muslim Ashrafi Exporter Wa Deegar Musalamanan-E-Ahl-E-Sunnat Maujood They.
Is Roohaani Silisle Kee Aik Kadi Aur Bhi Mulaahiza Farma Lijiye Ki Khaasaan-E-Khuda Ne Taaziye Sharif Se Kis Qadar Sheftagi Ka Muzzahara Farmaaya Hai Ki Buzurgan-E-Deen Ne Badi Paabandi Ke Saath Taaziyon Kee Zyaarat Ka Ehtamaam Farmaya Hai, Chunanchi :
“Saiyad Taaj-ush-Shurafa Huzoor Qibla-E-Aalam Allama Saiyad Mohammd Abd-ul-Rasheed Miya Nabira-E-Saiyadana Huzoor Allahu Miya Ne Farmaya Ki Saiyadana Taaj-ul-Urafa Gauth-E-Zama’n Allama Shah Saiyad Mohammad Abd-ul-Baseer Miya Urf Allahu Miya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Pilibhit Sharif Shab-E-Shahadat (Daswi’n Raat) Ko Baad-E-Namaz-E-Isha Gushl Farmate Aur Naye Kapade Zeb-E-Tan Farmaate Aur Khushboo Istemaal Farmaate Aur Apne Shahzada-E-Waala Shaan Aur Khulafa-E-Kiram Aur Mureedeen Ko Saath Lete Phir Pilibhit Sharif Ke Taaziyon Kee Zyaarat Karte Aur Har Taaziye Ke Paas Faatiha Sharif Padhte, Der Raat Ko Waapas Tashrif Laate, Thoda Aaraam Farmaate Phir Namaz-E-Tahajjud Ada Farmate.”
Saiyadana Sarkar Allahu Miya’n, Saahib-E-Tasnif Jabardast Aalim-E-Deen Aur Aarif-E-Haque Hain, Bahut See Darsi Kitabon Par Aap Ke Qalami Hawaashi Hain. Aap Ko Az AamadNaama Ta Bukhaari Sharif Poora Dars-E-Nizaami May Hawaashi Hifz Tha.
“Saiyadana Taaj-ush-Shurafa Huzoor Qibla Aalam MaddZillaHul Noorani Pilibhit Sharif Me Ba-Zariye Car Mohalla Sher Mohammad Se Guzar Rahe They To Aap Ne Mujh Faqir-E-Qadiri Se Mukhaatib Ho Kar Farmaya Ki Is Masjid Ko Pahchaante Ho ? Mein Ne Arz Kiya Ki Yahi Pahchaanta Hoo’n Ki Ye Masjid Hai. Aap Ne Farmaya Ki Is Masjid Me Das Moharram Sharif Ko Baad Namaz-E-Zuhar Saiyadana Taaj-ul-Awliya’ Huzoor Qutb-E-Zama’n Hazrat Allama Al-Haaj Shaah Saiyad Mohammad Abd-ul-Qadir Miya’n Shehzad-E-Saiyadana Huzoor Allahu Miya RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Is Masjid Kee Faseel Par Raunaq Afroz Hote Aur Hamein Bhi Apne Saath Lete Aur Digar Khulafa Wa Mureedeen Bhi Humraah Hote Aur Aap Faseel Par Baythey Rahte, Isi Masjid Ke Aage Se Taaziyon Ka Juloos Guzarta Tha, Jab Juloos Aata To Aap Khade Ho Jaate Aur Taaziyon Kee Zyarat Farmaate Aur Aankhein Baargah-E-Husaini Me Khiraz-E-Aqidat Pesh Karti. Jab Tak Poora Juloos-E-Taaziya Sharif Na Guzar Jaata Aap Khade Khade Zyaarat Farmaate.”
Saiyadana Taaj-ul-Awliya’ Paikar-E-Elm Wa Irfan Tehy, Aap Ke Saathiyon Me Se Aik Saathi Saiyadana Makhdoom-ul-Ummat Huzoor Muhaddith-E-Aazam-E-Hind Kachhouchhawi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Zaat-E-Giraami Bhi Thi. Huzoor Taaj-ul-Awliya’ Ko Dars-E-Nizami Kee Aksar Wa Beshtar Kitabein Hifz Thi.
Duniya-ERoohaniyat Kee Abqari Shakhsiyat Aalam Panah Saiyadana Huzoor Hafiz Haaji Waaris Ali Shah Dewa Sharif RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Irshad Wa Amal Bhi Mulaahiza Farmayein.
“Khabardaar ! Taaziye Ko Koi Ye Na Samjhe Ki Khaali Kaagaz, Panni Aur Baans Kee Khapachchiyon Ka Dhaancha Hai, Malhooz Rahe Ki Arwah-E-Qudsiya Saiyad-ush-Shuhada Ala Nabiyyina Wa Alayhissalato Was-SalamAur Jumla Shuhda-E-Qarbala Is Taraf Mutawajjeh Hoti Hain. Waris-E-Pak Aalam Panaah Maah-E-Muharram Me Taaziyekhaanon Me Jaate They, Jab Taaziyadar Taaziyon Ko Le Kar Chale Jaate They To Huzoor Waris-E-Paak Hujare Ke Andar Tashrif Le Jaate They, Taaziye Ko Dekhte Waqt Chehra-E-Anwar Kee Ajeeb Haalat Mushaahde Me Aati Thi Aur Der Tak Huzoore Anwar Aalam-E-Sukoot Me Rehte They. Ashara-E-Muharram Aur Chehloom Ke Roz Aastana-E-Aali Par Sabeel Rakhi Jaati Thi, Gharra-E-Muharram Aur Ashara-E-Muharram Tak Aap Aap Marsiye Bhi Sunte They Aur Ahl-E-Bait-E-Kiram Kee Muhabbat Aur Shuja’at Wa Bahaaduri Ke tazkare Sama’at Farmate They.”
[Mishkat-E-haqaniya, Safah-110]
Agar Isi Tarah Waaqiat Tahrir Kiye Jaaein To Safhaat Ke Hisaab Se Tarikh Kee Sab Se Badi Kitab Tayyar Ho Jaaye Magar Qaarein Kee Mazeed Tasalli Wa Tashaffi Ke Liye Aik Riwayat Aur Nakl Kar Dee Jaaye Taaki Bahut Se Sawaalaat Ka Jawaab Ho Jaaye.
“Elm Wa Aagaahi Ke AaftabSaiyadana Huzoor Sadarool Afaazil Imam Saiyad Mohammad Naeem-ud-Deen Muradabadi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Taaziya Banaane Me Paabandi Se Chanda Diya Karte They Aur Aap Hee Ke Mureedeen Wa Motaqedeen Wa Mutawasselin Ahl-E-Muhalla Aap Ke Maali Ta’aawun Se Taaziya Sharif Banaate They. Guzishta Saal Aik Taqreeb Ke Mauqe Par Mujh Faqir-E-Qadiri Ne Baqiyyat-us-Salf Hazrat Maulana Saiyad Mohammad Izhar-ud-Deen Sahab Naeemi Urf Hanafi Miya Sajjada Nashin Aastaana-E-Aaliya Naeemiya Wa Mutaawalli Jaamea Naeemiya Wa Khalf-E-Asghar Huzoor Sadarool Afakzil Se Daryaft Kiya Ki Kya Huzoor Sadarool Afaazil Taaziya Banane Me Chanda De Kar Taaziya Saazi Me Shariq Hote They ? To Aap Ne Farmaya Ki Mere Waalid-E-Maajid (Huzoor Sadarool Afaazil) Hamesha Taaziya Banaane Me Chanda Dete They Aur Aap Ne Apani Poori Zindagi Me Kabhi Taaziye Kee Mukhalifat Na Kee.”
[Needa-E-Ahl-E-Sunnat, Weekly, 21 February 2003]
Taaziya Banaane Waalon Kee Raahon Me Aira Gaira Nahin Balki Elm Ka Aaftaab Irfaan Ka Maahtaab Kirnein Aur Shuaaein Bikherta Hai Aur Apne Naqd Amal Se Taaziye Ke Jawaaz Wa Istehbaab Par Muhar-E-Tasdeeq Sabt Kar Raha Hai, Ab Is Taaziye Sharif Ke Haque Hone Me Kya Kasar Baaqi Hai ?
Faqir-E-Qadiri Ne Jaha Tak Mahsoos Kiya Hai Taaziye Sharif Kee Mukhalifat Me Yahood Wa Nasaara Kee Saajish Kaarfarma Hai. Kyon Ki Yahood Wa Nasaaara Kisi Bhi Aise Kaam Ko qubool Wa Pasand Nahin Karte Jis Se Islami Shaan Wa Shauqat Ka Muzaahara Ho Aur Musalmanon Ke Deeni Jazbaat Me Ubhaar Aaye. Jazba-E-Jihaad Me Jawaaani Aur Bedaari Paida Ho. Nabi Aur Aal-E-Nabi Aur As’hab-E-Nabi Ka Waqaar Dilon Me Mazboot Ho. Woh Is Ke Khilaaf Plannig Karte Hee Rahte Hain Aur Apne In Manhoos Mansoobon Ke Liye Ulamae So Ko Aala-E-Kaar Banaate Hain Aur Ye Formule “Saabit Nahin Hai, Shirq Wa Bid’at Hai, Fisq Wa Fajoor Hai.” Ke Zariye Musalmanon Ko Achchhe Kaamon Se Rokte Hain Aur Ye Bhi Bhool Jaate Hain Ki Hamaare Aslaaf-E-Kebaar Ka Kya Kirdaar Hai Aur Unhone Kis Sirat-E-Mustakim Par Chal Kar Manzil-E-Maqsood Ko Paaya Hai.
Makanpoor Sharif, Ajmer Sharif, Kaliyar Sharif, Dehli Sharif, Kachhauchha Sharif, Maarehra Sharif, Dewa Sharif, Pilibhit Sharif Aur Muradabad Sharif Tamam Hee Khanqahon Me Taaziyedaari Poori Aqidat Wa Niyaazmandi Ke Saath Jaari Wa Saari Hai.
Baaz Khanqahe Aisi Bhi Hai Jinhein Yazeedi ‘Loo’ Lag Gayi Hai Aur Woh Taaziyedaari Kee Sa’adat Se Mahroom Hain Aur Kuchh Khanqqahe Hain Jo Taaziye Sharif Kee Mukhalifat Me Sargarme Aml Hain Aur Taaziye Ke Khilaaf Alam-E-Baghaawat Buland Kiye Huwe Hain. Abhi Chand Saal Qabl Faqir-E-Qadiri Ke Halqa-E-Iraadat Wa Beat Se Aik Istifta Aaya. Faqir-E-Qadiri Ne Ujalat Me Aik Jawaab Likha Jo Needa-E-Ahl-E-Sunnat Weekly Me Chhap Chuka Hai. Jis Ko Poore Mulk Me Photo State Kara Kar Laakhon Kee Ta’daad Me Taqseem Kiya Gaya Hai Woh Istifta Aur Fatwa Bhi Nazar-E-Qarein Hai :
“Kya Farmate Hain Ulama-E-Deen Wa Muftiyan-E-Shar-E-Mateen Is Baare Me Ki
(01)Saiyadana Huzoor Aali Maqaam Shaheed-E-Aazam Hazrat Imam-E-Husain Alaihissalam Ke Jashn-E-Shahadat Ke Elaan Wa Tash’heer Ke Liye Taaziya Banana Dhol Bajaana Kaisa Hai ?
(02) Taaziye Sharif Ke Saamne Huzoor Imam-E-Aali Maqam Shaheed-E-Aazam Wa Deegar Hazaraat-E-Ambiya-E-Kirma Wa Awliya’-E-Ezaam Wa Kool Momineen Wa Momenaat Ka Isal-E-Sawab Wa Faateha Karna Kaisa Hai ? Baaz Log Is Ko Mana Karte Hain Aur Kahte Hain Ki Aisa Karne Se Pata Nahin Log Kya Sajhenge ?
(03) Taaziye Ka Ehtaraam Karna Kaisa Hai ?
(04) Taaziyon Ko Dafn Karna Kaisa Hai ?
(05) Yazeede Paleed Ko Kaisa Samajhna Chaahiye ? Is Silsile Me Huzoor Imam-E-Aazam Aboo Hanifa RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Kya Maslak Hai ?
Mufassal Jawaab Inaayat Farmaayein Karam Hoga.
Ghulaaman-E-Qadiri, Matayaal Raaj Mahal Jila Saahibganj Jhaarkhand
Al-Jawaab : (01) Aam Taur Par Musalman Apne Jalson, Conference, Shaadi Byaah Ke Mauqe Par Jhandon, Jhaalaron Ka Aik Ehtamaam Karte Hain Aur Mukhtalif Qism Kee Sajaawat Karte Hain Aur Is Ka Maqsad Sirf Tashaheer Hee Hota Hai Taaki Aane Jaane Waale Samajh Jaayein Ki Aaj Koi Taqreeb Hai. Jsi Meyaar Kee Sjaawat Hogi Usi Meyaar Kee Shohrat Bhi Hogi. Ye Sajaawat Dar-Asal Propagande Kee Hee Aik Shaql Hai Aaj Is Tash’heer Par Laakhon Rupiya Kharch Kiya Jaata Hai, Jalsa Gaahon Ko Sajaaya Jaata Hai, Door-Door Tak Gate Lagaaye Jaate Hain. Jab Hum Apne Jalson Kee Shohrat Wa Pulblicity Ke Liye Ye Tareeqa Istemaal Kar Skate Hain To Shehzadgan-E-Mustafa SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Liye In Tareeqon Ka Istemaal Kaise Mana Ho Sakta Hai. Taaziya Saiyadana Hzoor Imam-E-Aali Maqaam Shaheed-E-Aazam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Jashn-E-Shahadat Kee Tash’heer Ka Zarrin Aur Mahboob Tareen Tareeqa Hai Aur Aslaaf-E-Kebaar Se Chala Aa Raha Hai. Aam Taur Par Buzurgan-E-Deen Ne Is Ko Qubool Wa Pasand Farmaya Hai Aur Taaziyon Kee Zyaarat Poore Ehtamaam Wa Ehteraam Ke Saath Farmaayi. Maazi Qareeb Me Saiyadana Huzoor Haaji Waris Ali Shah Dewa Sharif, Saiyadana Huzoor Allahu Miya Pilibhit Sharif, Saiyadana Huzoor Aala Hazrat Ashrafi Miya RadiyAllahu Ta’ala Anhum Ka Taaziyon Kee Zyarat Karna Adab Wa Ehteraam Ke Saath Mankool Hai. Akaabir-E-Marehra Sharif Bhi Taaziyon Kee Ziyarat Ko Jaaya Karte They. Saiyadana Huzoor Qibla-E-Aalam Shyakh-ul-Arabe Wa’i Ajam Murshid-E-Mohtaram Shabeeh-E-Saiyadana Huzoor Gauth-E-Aazam Hazrat Allama Al-Haaj Shah Saiyad Mohammad Abd-ur-Rasheed Miya Qibla Maddajillahun Noorani Sajjada Nashini Pilibhit Sharif Ne Irshad Faarmaya Ki Saiyadi Murshadi Taaj-ul-Awliya’ Qutb-E-Zama’n Hazrat Allam Al-Haaj Shaah Saiyad Mohammad Abd-ul-Qadir Miya Pilibhiti RadiyAllahu Ta’ala Anhu Taaziyon Kee Zyaarat Ko Tashrif Le Jaaya Karte They Aur Aaj Bhi Tamam Khanqahon Me Taaziyon Ka Ehtraam Hota Hai. Siwaaye Un Khaanqaahon Ke Jinhein Yazeediyat Kee “Loo” Lag Gayi Hai.
Taaziye Ka Rishta Ameer Taimoor Lang Se Jodana Ye Bhi Nari Jahaalat Hai Kyon Ki Hindustan Me Umooman Jo Taaziye Banaaye Jaate Hain Woh Saiyadana Huzoor Imam-E-Aali Maqaam Hazrat Imam-E-Husain Ke Roza-E-Paak Kee Shabeeh Nahin Hote.
Duniya Me Shohrat Ke Liye Tarah-Tarah Kee Tarqeebe Istemaal Kee Jaati Hai, Kuchh Log To Apne Jalson Wa Ijtema’at Kee Publicity Ke Liye Dilip Kumaar Ke Naam Tak Ka Istemaal Karte Hain Aur Wohi Log Jashn-E-Shahadat Ke Elaan Ke Liye Dhol Bajaane Ko Na-Jaaiz Kahte Hain. Elaan Ke Liye Dhol Taasha Wagairah Bajaana Bhi Bilashuba Jaaiz Hai. Is Ko Mana Karna, Haraam Bataana Deen Me Khuli Mudaakhalat Hai Aur Yazeedi Jazbe Ka Saamaan-E-Taskeen Hai. Aur Husainiyat Ko Mitaane Kee Aik Sochi Samjhi Scheme Hai. Ahl-E-Sunnat Ke Nazdiq Maatam Na-Jaaiz Wa Haraam Hai. Seena Kobi Ya Dhol Taashe Se Maatam Aur Elaan Me Zameen Wa Aasmaan Ka Farq Hai. Muharram Sharif Ka Jo Dhol Bajaaya Jaata Hai Woh Imam-E-Husain Kee Shahadat Kee Khushi Me Nahin Balki Elan-E-Husainiuyat Hai. Ye Dhol Taasha Na To Maatam Hai Aur Na Shadiyaane Ke Taur Par Bajata Hai Balki Ye To Sirf Elan-E-Jashn-E-Shahadat-E-Husain Hai.
(02) Taaziye Ke Saamne Arwah-E-Momineen Ko Islal-E-Sawaab Karna Durust Hai, Is Me Kisi Qism Kee Qabaahat Nahin Hai. Jaha Tak Is Yazeedi Falsafe Kee Baat Hai Ki Log Kya Samjhenge To Phir Mazaaraat Wa Quboor Par Bhi Faatiha Padhana Chhod De Ki Log Pata Nahin Kya Samjhenge Ki Musalman Marte Hee Khuda Ho Jaata Hai Aur Log Use Safed Kapada Pahna Kar Us Ke Saamne Haath Baandh Kar Khade Ho Jaate Hain. “Log Pata Nahin Kya Samjhenge” Agar Is Yazeedi Falsafein Ko Maan Liya Jaaye To Deen Se Amaan Uth Jaayega. Aamaal Ka Daaromadaar Niyyaton Par Hota Hai, Hamaari Niyyat Sirf Shohda-E-Qarbala Aur Kool Momineen Wa Momenaat Ko Isal-E-Sawaab Kee Hai Aur Is Me Sa’aadat Hee Sa’aadat Hai Kabaahat Ka Kya Sawaal ?
(03) Jis Chiz Ko Allah Waalon Se Nisbat Ho Jaati Hai Wa Muazzam Wa Mahboob Ho Hee Jaati Hai. Taaziye Ko Huzoor Imam-E-Aali Maqam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Nisbat Ho Gayi Hai Ki Ye Un Ka Saamaan-E-Tash’heer Hai To Is Kee Tash’heer Kaerna Imaan Waalon Ke Liye Zaroori Ho Jaata Hai. Jo Darya’n, Chaadarein Mahfil-E-Milad Sharif Me Bichhayi Jaati Hain Un Ka Bhi Adab Kiya Jaata Hai Aur Jo Safein Masjid Me Bichhayi Jaati Hain Un Kee Bhi Taazim Kee Jaati Hai. Lihaaza Taaziye Ko Huzoor Imam-E-Aali Maqam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Nisbat Ho Gayi Hai Is Liye Use Choomna, Aankhon Se Lagaana Ahl-E-Iman Ka Tareeqa Hai, Buzurgan-E-Deen Ne Taaziyon Kee Taazim Kee Hai Aap Bhi Karein Aur Yazeedi Maslak Ko Qubool Na Karein.
(04) Taaziyon Ko Dafn Karna Ye Bhi Taazim Kee Aik Shaql Hai, Jaise Qur’an-E-Karim Ke Auraaq Jab Boshida Ho Jaate Hain To Un Ko Gadhda Khod Kar Ya Phir Pooraani Qabr Me Dafn Kar Diya Jaata Hai Taaki In Auraaq Kee Be-Hurmati Na Ho. Taaziye Ko Chunki Saiyadana Huzoor Imam-E-Aali Maqam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Nisbat Ho Gayi Hai Lihaaza Is Ko Agar Yoon Hee Chhod Dege To Is Kee Be-Hurmati Ho Sakti Hai. Is Liye Is Ko Gadhda Khod Kar Dafn Kar Dete Hain Taaki Nabizaadon Se Nisbat Rakhne Waale In Kaaghaz Aur Khapachchiyon Kee Be-Hurmati Na Ho. Un Maqaamaat Ka Naam Jaha Taaziye Dafn Hote Hai Urf Me Qarbala Kaha Jaata Hai Is Me Bhi Koi Sharai Qabaahat Wa Mumaaneat Nahin Hai.
(05) Yazeede Paleed Pakka Be-Imaan Khabis Aur Shaitaan Tha. Yazeede Palid Ke Silsile Me Hazrat Imam-E-Aazam Aboo Hanifa RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Koi Tahreer Faqir-E-Qadiri Kee Nazar Se Nahin Guzari Aur Deegar A’imma-E-Kiram RadiyAllahu Ta’ala Anhum Ne Is Kee Takfeer Farmaayi Hai.
Husaini Musalmanon Ko Chaahiye Ki Khoob Jam Kar Dat Kar Taaziya Banaaye Aur Shahadat-E-Husaini Kee Charcha Kare Aur Jagah-Jagah Majaalish-E-Ziqr-E-Shahadat Aur Langar Wa Sabeelon Ka Ihtimaam Karein Aur Dhake Chhupe Tamaam Yazeediyon Ko Un Kee Auqaat Bata De. Saiyadana Huzoor Imam-E-Aali Maqam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Apni Kaamil Waabastagi Aur Waaraftagi Ka Suboot De Aur Jo Bhi Taaziye Kee Mukhaalifat Karta Nazar Aayein Samajh Le Ki Ye Yazeedi Mission Ka Dildaadah Hai.
Mufti Saiyad Mohammad Intekhab Husain Qadiri Naeemi Ashrafi Madari Afa Anaahul Baseer
Faqir-E-Qadiri Ne Kitab “Taziya Sharif Ka Sharai Hukm” Saamaan-E-Tash’heer-E-Husaini Aur Dhol Taasha Bara-E-Elan-E-Ziqr-E-Shahdat-E-Husaini Aur Niyaz Wa Fatiha Kee Ittela’ Ke Ta’alluq Se Likhi Hai. Agar Taaziyadaari Ke Ta’alliuq Se Koi Na-Jaaiz Kaam Kiya Jaaye Jis Par Qur’an-E-Karim, Ahadith-E-Karima, Fiqah-E-Hanafi Ka Sarai Hukm Maujood Ho Us Se Se Mera Daaman Bari Hai Aur Ho Sakta Hai Ki Baaz buzurgan-E-Deen Ne Kisi Muqaam Par Taaziyadari Ke Naam Par Khuraafaat Dekhe Ho Aur Un Khuraafaat Hee Ko Taaziyedaari Khayaal Farma Kar Taaziyedaari Ko Mana Farmaya Ho To Woh Maajoor Hain. Un Par Koi Yazeediyat Ka Hukm Na Lagega. Jaisa Ki Baaz Jagah Taaziyon Me Dul-Dul, Bul-Bul, Ghoda, Kabootar Wagairah Jaandaar Kee Tasweere Ya Murtiya’n Banaayi Ya Lagaayi Jaati Hain, Ya Gujarat Me Log Baagh Yaani Sher Banaate Hain Aur Aadami Behrupiyepan Ka Muzaahera Karta Hai Aur Gharon Me Chhalaag Maar Kar Ghus Jaata Hai Is Qism Kee Na-Jaaiz Harqaat Ka Na To Islam Se Koi Ta’alluq Hai Aur Na Hee Huzoor Imam-E-Aali Maqam Se Koi Rishta Aur Na Hee Kisi Husaini Buzurg Ne Is Kee Ta’eed Wa Himaayat Farmaayi Hai Aur Na Hee Faqir-E-Qadiri Is Qism Kee Taaziyedaari Ko Sahi Kahta Hai. Lekin Naak Par Agar Makkhi Bayth Jaaye To Makkhi Ko Udaana Chaahiye To Makkhi Ki Udaaya Jaayega Na Ki Naak Hee Ko Saaf Kara Diya Jaaye Fazail-E-Husainin Qur’a-E-Karim Wa Ahadith-E-Karima Kee Raushani Me, Waaqia-E-Qarbala Ahadith-E-Karima Kee Raushani Me, Razzail-E-Yazeedi Ahadith-E-Karima Kee Raushani Me, Yazeediyon Ke Aitaraazaat Ka Tehqeeqi Jawaab.
Duaa Ka Talabgar…… .. .

Hazrate Abu Bakr (RaziAllahu Anhu)

☆ Hazrate Abu Bakr (RaziAllahu Anhu) ….
Sahaba-e-Kiram Hazrat Abu Bakr Siddeeq (RaziAllahu Anhu) Ki Zindagi Aur Martaba
# Laqab: Siddeeqe Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq.
# Wiladat:
– Aap Ki Wiladat Mubarak 573 C.A. Me Makka Me Hui. Aap Ke Waalid Ka Naam Usman Abu Quhafa Ibn Amir Aur Waalida Ka Naam Salma Bint Sakhar (Ummul Khair) Hai.
– Aap Quraish Ke Banu Taym Kabeele Se Ta’aaluq Rakhte Hain. Aap Ka Asl Naam Abdullah Hai.
# Deen Ki Daawat :
Aap Ki Daawat Aur Mashware Se Bahut Saare Log Islam Me Dakhil Hue, Jin Me Hazrat Usman-Ibn-Affan, Zubair-Ibn-Awwam, Talha-Ibn-Ubaidullah, Abdur-Rehman-Bin-Awf, Sa’ad-Ibn-Abi-Waqqas, Abu-Ubaidah-Ibn-Jarrah, Abdullah-Bin-Abdul-Asad (Abu Salama), Khalid-Ibn-Sa’id Aur Abu-Huzifah-Ibn-Mughirah (Razi’Allahu Anhuma) Mashhoor Hain.
– Aap Ne 8 Gulamo Ko Aazad Karaya Jo Musalman Ho Gaye They. Jin Me Mardo Me Hazrate Bilal-Habashi-Ibn-Ribah, Abu-Fakih, Ammar-Ibn-Yasir Aur Abu-Fuhaira Aur Aurto Me Lubainah, Nahdiah, Umm Ubais, Harisah Bint Muammil Shamil Hain. Is Ke Liye Aap Ne 40,000 Dinar Kharch Kiye.
– Aap Ke Waalid Ne Kaha ‘Tum Budhe Aur Kamzor Gulamo Ko Aazad Karate Ho Jis Se Hame Koi Faida Nahi Hoga.’
– Aap Ne Farmaya ‘Main Tou Allah Ki Raza Ke Liye Musalmano Ko Aazad Karata Hu.’
# Siddeeqe Akbar Ka Laqab :
12 Nabawi (621 C.A.) Me Me’araj Ke Baad Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ashaba Ko Me’araj Ki Baaten Bayan Kar Rahe They.
– Hazrate Abu Baqr (Razi’Allahu Anhu) Thoda Der Se Aaye.
– Aap Aakar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Qareeb Jaakar Bethe.
– Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Phir Se Shuru Se Pura Bayan Shuru Kiya.
– Aur Hazrate Abu Baqr (Razi’Allahu Anhu) Har Baat Par Farmate ‘Sadaqata Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam).’
*Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Khush Hokar Aap Ko ‘Siddeeqe Akbar’ Ka Laqab Ata Farmaya Yaa’ni Tamam Siddeeq Me Sab Se Bada.
# Aap Ke Baare Me Huzoor Ka Farman :
– Aap Ke Baare Me Pyare Aaqa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain Ke,
(1) Abu Bakr ‘Afzalul Bashar Ba’adal Ambiya’ Hain Ya’ni ‘Ambiya Ke Baad Tamaam Insan Me Sab Se Afzal.’
(2) Agar Abu Bakr Ka Emaan Meri Tamam Ummat Ke Emaan Ke Saath Wazan Me Kiya Jaaye Tou Abu Bakr Ka Emaan Gaalib Aaye.
(3) Hazrate Abu Bakr Ka Ye Martaba Sirf Uski Ibadaat Ki Wajah Se Nahi Hai, Balke Allah Ta’ala Ne Uske Dil Me Jo Khas Rakha Hai Uski Wajah Se Hai.
(4) Abu Bakr Ke Mujh Par Bahut Ehsaan Hain. Uss Ne Islam Ke Liye Apni Jaan Aur Maal Bhi Qurban Kiye Hain Aur Apni Beti Mere Nikah Me Di Hai Aur Abu Bakr Ne Hazrat Bilal Habsi Ko Aazad Karaya Hai.’
# Aap Ashra-e-Mubashara Me Se Hain. :
(1) Ek Baar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aap Se Farmaya ‘Abu Baqr, Jannat Me Dakhil Hone Walo Me Tum Sab Se Pehle Rahoge.’
(2) Ek Baar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya ‘Jab Allah Ta’ala Kisi Mo’min Ke Liye Bhalai Ka Irada Karta Hai To Uss Me Koi Khaslat Paida Farmata Hai Jis Ke Sabab Wo Jannati Ban Jaata Hai Aur Aisi 360 Khaslate Hain.’ Hazrate Abu Baqr Ne Puchha ‘Ya Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam), Kya Mujh Me Aisi Koi Khaslat Hai?’ Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – ‘Abu Baqr, Tumhe Mubarak Ho Ke Tum Me Wo Tamam Khaslat Maujood Hai.’
# Ameerul Hujjaj :
9 Hijri Me Jab Hajj Farz Hua To Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aap Ko Ameerul Hujjaj Banakar Ashaba Ko Aap Ke Saath Hajj Ke Liye Bheja.
# Aap Ki Mohabbat Nabi-e-Paak Ke Liye :
10 Hijri Me Hajjatul Wida Ke Mauqe Par Bhi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Saath Rahe. Jab Ye Aayat Naazil Hui ‘Aaj Ke Din Ham Ne Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya Aur Tumhare Liye Deene Islam Pasand Kiya.’ Tou Ashaba Khush Hue Ke Allah Ta’ala Ne Deene Islam Ko Mukammal Kar Diya. Magar Aap Gamzada Ho Gaye. Jab Puchha Gaya Tou Farmaya Ke ‘Ye Sahi Hai Ke Deene Islam Ko Allah Ta’ala Ne Mukammal Kar Diya Hai. Magar Deen Mukammal Hone Ke Baad Mumkin Hai Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ham Se Anqareeb Parda(Rukhsat/Wafat) Farmayenge. Main Ye Sochkar Gamzada Hu.’
*Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Wafat Ke Baad Sab Ashaba Gamzada They Aur Hazrate Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ne Tou Farma Diya Tha Ke – ‘Agar Kisi Ne Mere Saamne Ye Kaha Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Inteqal Ho Gaya Hai Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hamare Darmiyan Me Nahi Hain Tou Mai Talwar Se Uski Gardan Kalam Kar Dunga.’
– Aise Maahol Me Sab Khamosh They Tab Hazrate Abu Baqr Uthkar Aage Aaye Aur Khutba Padhney Ke Baad Ashaba Se Farmaya: ‘Agar Koi Muhmmad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Parastish Karta Ho Tou Wo Jaan Jaaye Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Inteqal Kar Gaye Hain
Aur Jo Rabbe Muhammad (Yaani Allah) Ki Ibadat Karta Ho Tou Wo Jaan Le Ke Allah Zinda Hai Aur Kabhi Marne Wala Nahi.’
# Aap Islam Ke Pahle Khaifa Rahe :
– Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Parda Farmane Ke Baad Hazrate Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ke Mashware Par Aap Ko Khalifa Banaya Gaya.
– Aap 13 Rabi-Ul-Awwal 11 Hijri (8 June 632 C.A.) Ko Sab Se Pehle Khalifa Hue.
– Aap Ka Daure Khilafat 2 Saal 4 Maah Ka Raha.
# Quraan-e-Kareem Ki Hifazat :
11 Hijri (632 C.A.) Me Jange Yamama Me Taqreeban 70 Ashaba Shaheed Hue Jo Haafize Qur’an They. Hazrate Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ne Aap Se Farmaya ‘Iss Tarah Haafize Qur’an Kum Hote Rahe To Qur’an Ki Hifazat Karna Mushkil Hoga. Behtar Hai Ke Ham Qur’an Ko Jama Karke Kitaab Bana Len.’
– Iss Tarah Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) Ke Mashware Se Qur’an Majeed Ko Jama Karke Kitaab Banane Ka Kaam Shuru Kiya Gaya, Jo Hazrate Usman Ghani Ke Zamane Me Mukammal Hua.
# Aapka Pariwar : Aap Ki 4 Biwiya, 3 Bete Aur 3 Betiya Hain.
(1) Qutaylah Bint Abd-Al-Uzza Se 1 Beta –Abdullah Aur 1 Beti – Asma
(2) Umme Rumman Se 1 Bata – Abdur Rehman Aur 1 Beti – Aaisha
(3) Asma Bint Umays Se 1 Beta – Muhammad
(4) Habibah Bint Kharijah Se 1 Beti – Umme Kulsum
» Sirf Aap Hi Aise Sahabi Hain Jinke Waliden Aur Aulaad Bhi Ashaba Hain.
# Aap Nabi-e-Paak Ke Sabse Qareebi Dost Hai:
– Aap ‘Gare Yaare Nabi’ Hain Yaani Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Sab Se Qareebi Dost.
– Aap Ko Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Har Khaas Mauqe Par Aur Mehfil Me Saath Aur Qareeb Rakha.
– Hijrat Me Bhi Pyare Aaqa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Sirf Aap Ko Saath Liya.
# Wisaal:
Aap Ka Wisaal 22 Jamaadil Aakhir 13 Hijri 23 August 634 C.A. Ko 63 Baras Ki Umr Me Madina Me Hua. Aap Ki Namaze Janaza Hazrat Umar Farooq (RaziAllah Anhu) Ne Padhai. Aap Ko Roza-e-Rasool Me Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Bagal Me Dafn Kiya Gaya Hai.
Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke
# Allah Hum Tamam Ko Hidayat Ata Farmaye ,..
# Hume Sirate Mustakim Par Chalaye ,…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Friday, November 11, 2016

Huzoor (S.A.W) k Pasandida Khaaney:

Huzoor (S.A.W) k Pasandida Khaaney:
1.Kaddu

2.Sirka

3.Zaitoon Ka Tail

4.Khajoor

5.Hareera

6.Shehad

7.Loki

8.Gosht

9.Kharboza

10.Injeer

11.Namak

Thursday, November 10, 2016

Jumah k Din ki Sunnatain

 Jumah k Din ki Sunnatain

Hafta me aik din Juma ka din hai, jo Tamam dino ka sardar hai, is din ki baaz Makhsoos sunnatain hai Agar hum in sunnaton per har hafta amal karle to Mahine me kitni sunnatain ada hongi? Juma to har aadmi se guzarta hai aur har aadmi Juma k din se guzarta hai Lekin jis ka juma Sunnaton k ehtemam k sath guzar jaye wo qabile sad tahseen hai.

1.Juma k din gusul karna sunnat hai Huzoor s.a.w ne Irshad farmaya ye wo din hai jis ko Allah Tala ne Eid ka din banaya ps tum is din Gusul karlo.(ibn majah).

2.Juma k din khushbo lagana bhi masnoon hai Huzoor s.a.w ne Irshad farmaya jis k paas Khushbo ho us k liye koi harj nahi k wo khushbo lagaye.(ibn majah)

3.Juma k din miswak karna bhi sunnat hai, Jis ko Allah ne tumhare liye Eid ka din banaya hai ps tum Gusul karo aur tum ko chahiye k tum miswak bhi karo.( tabarani)

4.Juma k din ki Fajr ki Farz Namaz ki 2 rakaton me Surah:alif lam mim sajda, aur surah:daher, padhna bhi masnoon hai.

5.Juma k din Darood sharif ka Kasrat se Padhnabhi masnoon hai, Huzoor s.a.w ne farmaya, Tum log Juma k din mujh per darood ki kasrat kiya karo kyun k Tumhara darood mujh per paish hota hai aur paish hota rahega.(abudawud).

6.Juma k din Namaz ko jane se pehle nakhun katna aur mooch tarashna bhi masnoon hai, Hazrat Abu huraira r.a se riwayat hai k Rasoolullahs.a.w apne nakhun Tarashte the aur Lub (mooch) tarashte the Juma k din Namaz ko jane se Pehle(tabarani).

7.Juma ki Namaz k liye roz marra k kapdo k alawa doosre kapde pahenna bhi masnoon hai.

Hazrat Ayesha r.a se riwayat hai k Rrasoolullahs.a.w ka khas joda tha jo Aap s.a.w Juma k din pehna karte the aur Jub Aap Namaz se farig hoker Tashreef late the to hum us ko theh kar k rakh dete the Aur phir wo Agle Juma hi ko Nikalta tha.(tabarani). 8.Juma k din Namaz k liye Awal waqt jana bhi masnoon hai.

Aamale Juma: Yani Juma k wo Aamal jin ki Hadise paak me khas Fazilat aai hai Aur in per Amal Karne se har har Qadam per Aik saal nafl Namaz aur aur aik Saal nafl Roza ka Sawab Milta hai.
(Riwayat kiya Is ko Imam Tirmizi, Imam Abudawood, Imam Nasai, Imam Ibn-e Maja, Rahmatullahi alaih Ne).

1.Gusul Karna.
2.Masjid Jaldi Jana.
3.Paidal Jana.
4.Imam k Qareeb Baithne ki Koshish karna.
5.Koi Lagu Kaam na karna.
6.Khudba Gour se Sunna.

In k Alawa aur bhi Chnd Aamal hai jin ka Juma k Roze Khaas Ehtemam Karna Chahiye.
1.Surah Kahef ki Tilawat.
2.Durood Shareef ki Kasrat Kamaskam 300 baar.
3.Salatu Tasbeeh Padhna.
4.Dono khutbon k drmiyan jb Imam Member perbaithe to dil hi dil me Dua karna.
5.Guroob-e-Aftab se Qabl dua ka Ehtemam karna k us Waqt dua Qabool Hoti hai.

JUMMA KI SUNNATE

 JUMMA KI SUNNATE

Shuru Allah k Naam se: Aye wo Logon jo Iman Laye hon! Juma k din Namaz ki Azan di Jaye to tum Allah k Zikr ki Taraf Doud pado Aur Kharid o Faroqt Chordo, ye Tumhare haq me Bahot hi Bahter hai Agar tum Jaante ho. Phir jub Namaz ho chuke to zameen me Phail jao aur Allah ka Fazl talash Karo Aur ba kasrat Allah kazikr kiya karo ta k tum Falah palo.(Surah:Al-Jumu’ah: Surah No:62: Aayat No: 9-10)

O ye who believe! When the call is proclaimed to prayer on Friday (the Day of Assembly), hasten earnestly to the Remembrance of Allah, and leave off business (and traffic): that is best for youif ye but knew. And when the Prayer is finished, then may ye disperse through the land, and seek of the Bounty of Allah: and celebrate the Praises of Allah often (and without stint): that ye may prosper. (The Holly Quran - Chapter 62, Al-Jumu’ah - Verse 9-10)

 Aamale Juma

Yani Juma k wo Aamal jin ki Hadise Paak me Kaas Fazilat Aai hai Aur in per Amal Karne se Har Har Qadam per Aik saal Nafl Namaz Aur Aur aik Saal Nafl Roza ka Sawab Milta hai.
(Riwayat kiya Is ko ImamTirmizi,
Imam Abudawood, Imam Nasai,
Imam Ibn-e Maja, Rahmatullahi Aali Ne).

Mulla Ali Qari Rahmatullahi aali ne Murqata Sharhe Mishkat me Baaz Aa’yimma Hadees se Naqal kiya hai k Aahadees Saheeh me Itni zyada Fazilat kisi aur Amal ki Nahi Aai hai wo 6 Amal ye Hai.
1. Gusul Karna.
2. Masjid Jaldi Jana.
3. Paidal Jana.
4. Imam k Qareeb Baithne ki Koshish karna.
5. Koi Lagu Kaam na karna.
6. Khudba Gour se Sunna.

In k Alawa aur bhi Chnd Aamal hai jin ka Juma k Roze Khaas Ihtemam Karna Chahiye.
1. Surah Kahf ki Tilawat.
2. Darood Shareef ki Kasrat Kumaskum 300 baar.
3. Salatu Tasbeeh Padhna.
4. Dono khutbon k drmiyan jb Imam Member per baithe to dil hi dil me Dua karna.
5. Guroob-e-Aftab se Qabl dua ka Ihtemam karna k us Waqt dua Qabool Hoti hai.

“Juma ki Namaz Chornay per Waeed” Hadees: Log Juma (ki Namaz) chornay se baaz aa jain nahi to ALLAH un k dillon par Mohhar laga day ga, phir wo ghafilon mai se ho jain gay.
(Muslim, Hadees: 2002, Kitab uL Juma, Ravi: Abbo Horaira R.A)

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

★ Sab Dino Se Behtar Juma Ka Din Hai.[Sahi Muslim :: Hadees No :: 854]

★ Susti Ki Waja Se 3 Jumay Chorne Wale k Dil Per ALLAH Mohar Laga Deta Hai.. [Abo Daood :: Hadees No :: 1067 AND IbneHabban :: Hadees No :: 553]

★ Juma K Din Gusul Karne Ka Hukum Hai.[Bukhari :: Hadees No :: 894 AND Sahi Muslim :: Hadees No :: 844]

★ Juma K Din Tail (Oil), Khusbu Aur Miswaak Karay.[Sahi Bukhari :: Hadees No 880 And 883].

✿ Hazrath Abu Hurairah Radi allahu anhu se Riwayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya,"Jab Jumaa ka Din aata hai to Farishte Masjid k Darwaze par Aane walon ka Naam likhte hain Sabse Pehle Aane wala Oont (camel) ki Qurbani dene wale ki tarah likha jata hai, Us k baad Aane wala Gaay (cow) ki Qurbani dene wale ki tarahPhir Mainde (sheep) ki Qurbani ka Sawab milta hai , Us k baad Murgi (chicken) ka, Us k baad Ande (egg) ka Lekin jab Imam (Khutba dene k liye) Bahar aa jata hai to ye Farishte apne Daftar Band kar dete hain Aur Khutba sunne main Mashgool ho jate hain."
[Sahih Bukhari :: Vol 2 :: Hadees 929]

Sone se Pehle aur Baad ki Sunnatain

 Sone se Pehle aur Baad ki Sunnatain

Baad Isha Jald sone ki fikr karna duniya ki batena karna.
1.Sone se pehle ye dua Padhle (Allahumma bismika amutu wa ahya) Aye Allah mai Aap hi knaam k sath marta hu aur jita hun.(bukhari).

2.Ba’wazu soyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya jub tu tere bister per aaye to wazu karlen.

3.sone se pehle bister jhad le, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya,jub tum me se koi apne bister ki taraf aaye to apne bister ko jhad le.
(bukhari,muslim).

4.Sone se pehle 3 salai surma lagana.

5.kalima Tayyaba padhna.

6.Tasbeeh Fatima padhna(33 martaba Subhanallah, 33 martaba Alhumdulillah, 34 martaba Allahuakbar padhe.(bukhari,muslim).

7.Teeno Qul padhna surah:Ikhlas, surah:falaq, surah:nas, aur dono hateliyon ko jama Karen phir in me phook maren phir apne Jis per Apne dono hath 3 martaba phair le.(bukhari).

8.Surah:Mulk aur Alif lam meem Sajda padh karsona.

9.sidhi karwat per soyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya
(ثُمَّ اضطَجَعَ عَلٰیشِقِّکَ الاَیمَنِ)
phir sidhi karwat per lait jaye.(bukhair,muslim).

10.sidhi rokhsar k niche apna sidha hath rakh len, Huzoor s.a.w jub aaram Farmate to apna sidha hath sidhe rokhsar k niche rakh lete the.(abudawud).

11.Jub Aap sallaallahu alaihi wasallam sona chahte apna daya hath dayen rokhsar k niche rakhte aur ye teen martaba Padhte.(Allahumma qini Azabaka yaoma Tab’asu Iba’dk) aye Allah mujhe bachana (us din) apne azab se, jis din tu uthaye ga apne bandon ko.(Abudawud).

12.Surah:Baqarah ki Aakhri (2) do Aayaten padhen, Huzoor s.a.w ne Irshad Farmaya, Jo koi in 2 aayaton ko jis Raat me Padhta hai ye 2aayaten us k liye kafi ho jati hai.(bukhari,muslim).

13.soker uthe to 3 baar Alhumdulillah kahen.

14.Kalima Shareef padhe.

15.soker uthne ki ye dua padhe (Alhmadulillahilladzi Ahyana Ba'Dama AmatanaWailaihinnusur)shukr ha allah ka jis ne hame zinda kiya baad mout dene k aur usi ki taraf uthna hai.(bukhari).

16.Jagne per sub se pehle dua padhna ya koi zikr zaban per jari karna.

17.Juta pehenne me sidhe pair se ibteda karna.

18.Hath dho ker pani me dalna. Ye wo sunnatain hai jin k ehtemam me na zyada waqt kharch hota hai aur na hi zyada mehnat lagti hai, lekin in Sunnaton ka Ehtemam karne se bahot se faide hai.

In duaon k Padhne aur Sunnaton k ehtemam seAadmi Allah Tala ki Hifazat me hota hai, Shaitan is se door hojata hai aur Aadmi har qism k Shar aur Aafaton se Mahfooz hojata hai,sote waqt in sunnaton per amal karne se rozana in sari sunnaton per amal ka sawab bhimilta hai, jo Aakhirat k liye Zakhira hai duniya ka Aaram bhi aur Aakhirat ki Rahat ka Saman bhi.

Majlis se Uthte waqt ki Sunnatain


 Majlis se Uthte waqt ki Sunnatain

Hum Mukhtalif Qism ki Majlison me uthte baith te hai, kabhi khane pine k liye ghar walo ya dosto k sath Baith te hai aur is douran in se Guftagu bhi karte hai.
Taleem-o-Ta’allum k douran apne hum dars sathiyo k sath baith te hai, Safar k douran Rafqaye safar k sath baith te hai, go ya bisoon martaba Hum mokhtalif Majliso me Uth te baith te hai, Agar Majlis me Baith te huwe ye Sunnatain bhi malhooz rahe to Kis Qadar Faida hoga?

1.Majlis ki aik sunnat ye bhi hai k Aane wale k liye Baith ne ki Gunjayesh paida Karen.Hazrat Abdulla bin umar R.A se riwayat hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya koi Aadmi Aisa na Karen k kisi dusre ko us ki jage seUtha ker Khud us jage baith jaye bal k logon ko Chahiye k wo aane walo k liye Kushadgi aur Gunjayesh paida kare aur un ko jage de de.(bukhar,Muslim).

2. Ye sunnat bhi majlis ki Malhooz rahe k Agar kisi majlis me do Aadmi milker Baithe ho to un k beech me un ki Ijazat k bagair na Baithen.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya 2 Aadmiyon k beech me un ki ijazat k bagair na baithe.

3. Jub Majlis se uthen to Mandarja zail dua padhen jis ko Kaffarah majlis kaha jata hai.(Subhaanak Allahumma Wa BiHamdika, Ash’hadu an Laa ilaaha illa Antha Astaghfiruka Wa Atoobu Ilaik).

4. Hazrat Ayesha R.A kehti hai k Rasoolallah sallaallahu alaihi wasallam jub kisi majlis me Baith te ya Namaz padhte (to us se uth te huwe ya namaz se Farig hone k baad) chnd Kalimat Padha karte the, (aik martaba) mai ne Aap sallaallahu alaihi wasallam se Pucha(k in kalimat ko padhne se kya faida hota hai?) to Aap sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya: “Agar in kalimat se pehle Majlis me Naik Baten huwi ho gi to ye Kalimat (un naik bato) pr Qayamat tk k liye Maher hojayenge (yani in kalimat ko padhne se wo naik baten qayamat tak Mahfooz Rahegi k in ka Sawab zaye nahi hoga), Agar un se pehle Majlis me Buri baten huwi hogi (to ye kalimat) un buri baton ki Muaafi aur Bakhsihs ka Zariya ban jayenge aur wo kalimat ye hai, (Subhaanak Allahumma Wa BiHamdika, Ash’hadu an Laa ilaaha illa Antha Astaghfiruka Wa Atoobu Ilaik) Paak hai tuaye Allah aur teri Tareef k sath Teri paki bayan ki jati hai, Tere sath koi mabood nahi, Mai Tujh se bakhshish chahta hun aur Tere Samne toba karta hun”.(Nasai)

Tilawat-e-Quran ki Sunnatain

 Tilawat-e-Quran ki Sunnatain

Shuru Allah k Naam se: Aur Jub Quran Padha jaya Karen to us ki Taraf Kaan laga diya karo Aur khamoosh raha Karo Ummid hai k tum per Rahmat ho.
(Surah:Al-Araf, Surah No:7, Aayat No:204)

1.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya
(اِقرَءَالقُرآنَ فِی کُلّ ِشَھرٍ)
iqra’al quran fi kulli shahr (Muslim) Har mahine me Aik Quran Padha karo Zaher hai k Quran Majid me 30 pare hain, Agar 30 din me 30 pare mukamml karna ho toRozana aik pare ki Tilawat karni chahiye.

Agar koi Rozana Quran Majid ki Tilawat Karna chahe to us ka Aasan Nuskha ye hai k Farz Namaz k liye Jamat se 10,15 mnt Pehle Masjid pahonch jayen Sunnat kfouri baad Tilawat Karen, is tarah ba’aasani Aik parah Tajweed-o-Tarteel k sath padha ja sakta hai.

2.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad Farmaya, Quran ko Taher Taher krsaaf saaf Padho aur us k Ehkam me gourkaro.(Mishkat) Aur Quran ko Taher Taher kr (saaf) Padha ker.
(Surah:Muzammil, Surah No:73, Aayat No:4)

Ye Babarkat kitab hai jise hum ne Aap ki taraf is Liye Nazil Farmaya hai k Log is ki Aayaton Per Gouro Fikr Karen aur Aqalmand isse Nasihat Hasil Karen.
(Surah:Sad, Surah No:38, Aayat No:29)

-----------------------{ Tilawat-e-Quran k 2 Ahem Aadab }-----------------------
1. Padhne wala dil me ye Khayal karen k Allah Tala Ne Hukum diya hai k Sunao Kaisa Padhte ho?
2. Sunne wala dil me ye khayal kare k Ahkamul Hakimeen Aur Mohsine Aa'zam ka Kalam Pak Padha ja raha hai is liye Nihayat Azmat Mohabbat aur Gour k sath Sunna Chahiye.

Kapde Pahnne ki Sunnatain

 Kapde Pahnne ki Sunnatain

Har aadmi kapde pahnta hai Agar yahi kapde Nabi sallaallahu alaihi wasallam k Tariqe per pahne jayen to sirf kapde pahnte huwe Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki kai Sunnaton per Aml hojayega, Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki Muhabbat ka taqaza yahi haik Aap k har aml se mohabbat paida hojaye aur hamari Zindagi Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki Zindagi k Tabe hojaye.
Hum Rozana hi kapde pahnte aur utarte hai, yahi kapde utarna aur Pahenna Nabi sallaallahu alaihi wasallam k Tariqe k mutabiq ho jaye to hamari Zindagi Sunnaton se Mamoor ho jaye gi.
Hum Gusul karte hai to kapde utarte hai, sone ka Irada karte hai to kurta wagaira utarte hai Phir bedar hote hai to kapde badal lete hai, aise moqo per Nabi sallaallahu alaihi wasallam ki in Sunnaton ko yaad rakh ker aml karliya jaye to Kya Farq padh jaye ga?

1.Kapde pahnne aur utarne ki Pahli Sunnat ye hai k kapde pahnte huwe Aur utarte huwe Bismillah kaha jaye.

2.kapde pahente huwe chahe hum kurta pahnen ya Chadar odhen ya aur koi kapda pehne ya amama Bandhe to ye dua padhe, jo Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Padha karte the. “Allahummainnee as aluka min khairihi wa khairi maa huwa lahu wa a u'oozubika min sharrihi wa sharri maa huwa lahu”.( Abudawood, Tirmizi)

3.kapde Pahnte huwe sidhe janib se shuru Kare agar ham kurta, Qamees, wagaira pahenrahe hai to sidhe hath se shuru Karen, isi tarah pajama pahne to sidhe pair se shuru kare, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Ne irshad Farmaya,
(اِذَ لَبِستُم فَابدُوابِاَیمَانِکُم)
Iza labistum Fab’du biaimanikum (tirmizi) Jub tum Pahno to sidhi janib se shuru karo.

4.Kurta pahenna masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam sub kapdon me kurte ko zyada psnd farmate the.(shamail tirmizi).

5.Sufaid kapda pahenna bhi masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya, Sufaid kapda pahna karo is liye k wo zyada paak saaf Rahta hai.( shamail tirmizi).

Kisi k Ghar me Jate waqt ki Sunnatain

 Kisi k Ghar me Jate waqt ki Sunnatain

Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta hai.
(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)

1. Kisi k ghar me Dakhil hon to ghar walon se Pehle Ijazat lena Masnoon Hai.

2. Aur ijazat se Pehle Ghar walon ko Salam krna bhi Masnoon hai.

3. Ghar wala ye Daryaft kare k aap koun ho to Jawab me bajaye “Mai Mai” kehne k Apna Naam Wazeh tour per Batladena Masnoon hai.

4. Darwaze k dayen ya bayen janib Khade hoker Salam karna Aur ijazat Talab karna Chahiye.

Mehman Nawazi ki Sunnatain

 Mehman Nawazi ki Sunnatain

Hamare gharo me Rishtedar ya Dost-o-Ahbab bahaisiyat Mehman aate hi rehte hai, in Mehmano k sath Husne-Salook ko Mehman Nawazi Kehte hai, Mehmanon k sath husne salook krte huwe in Sunnatonko Malhooz rakha jaye.

1. Mehmano ko khush amdeed kaha jaye aur un k haq me dua di jaye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam k paas QabilaAbdul Qais ka wafd aaya to Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne un ka Isteqbal Farmaya aur un k Haq me Duayen di, (فَرَحَّبَ بِنَاالنَّبِیُّ وَدَعَالَنَا)
Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Hame khush amdeed kaha aur Hamare liye duadi.(musnad ahmad)

2. Mehmano ki khatir tawazeh krni chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Qabila abdul qais ki Aamd k moqe per Ansar se Khitab krte huwe farmaya,
(یَا مَعشَرَ الاَنصَارِ اَکرِمُوا اِخوَنَکُم)
aye Ansar! Tum apne bhaiyyo ki khatir tawazeh karo.(musnad ahmad)

3. Mehmano k liye aaram dah bister Farahm kiya jaye, behtareen Khana khilaya jaye aur deen ki baton ki taleem bhi di jaye, agr wo us k talbgar hon, yahi waje hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Qabila abdul qais se pucha k Ansar ne tumhari khatir tawazeh kaise ki? To unho ne kaha Ansar ne hamare liye Aaram dah bister farahm kia bahtareen khana khilaya aur raat me aursubah ko ye log hame hamare Rub ki kitab aur Nabi k tariqe ki taleem dete rahe.

4. Mehmano ki mehman Nawazi khud apne hath se krna Masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Mehman Nawazi banfs nafees (apne hato se) khud kiya krte the.

5. Hazrat abu huraira R.A se riwayat hai Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya “sunnat ye hai k Aadmi mehman ko Darwaze tk roqhsat krne jayen’.(ibne majah)

Cheenk Laine ki Sunnatain


Cheenk Laine ki Sunnatain

1. Jub cheenk le to Alhamdulillah (الحمد للہ) Kahe.

2. us k Jawab me Sunne wala Yarhamukallah (یَرحَمُکَ اللہ) kahe.

3. Phir Cheenk ne wala yahdikumullahu wa yuslihu balakum (یَھدِیکُمُ اللہُ وَیُصلِحُ بَالَکُم) kahe.(shamail tirmizi).

4. Doosre mzhab k log agr Cheenken to yahdikumullahu wa yuslihu balakum (یَھدِیکُمُ اللہُ وَیُصلِحُ بَالَکُم) kehna masnoon hai, Yarhamukallah (یَرحَمُکَ اللہ) na kahen.

5. Pst Aawaz se Cheenkne ki koshish Karen Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Cheenk bahot pst aawaz se lete aur isi ko Psnd farmate the.(shamail tirmizi).

6. Cheenk lete wqt apne muh per Hath rkhna chahiye ya kpda muh per Rakh lena chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka yahi Aml raha hai.(shamail tirmizi).
-------------------------- ------- Gour Farmayye -------------------------- ------- Mamuli si Cheenk ki Waje se aik Musalman 5,6 Sunnaton per Amal Paira hota hai kitna Pyara Hai ye deen jis me Cheenk ko bhi Ba’ise Ajr bana diya gaya.

Timardari (Iyadat) ki Sunnatain

 Timardari (Iyadat) ki Sunnatain

1.Iyadat ki aik sunnat ye hai k bimar ko Tasalli di jaye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya jub tum Bimar k paas jao to us se kaho k abhi tumhari umr bahot hai ye baat Allah k kisi faisle ko rud nahi karsake gi, Lekin is se us ka dil khush ho jayega.(Tirmizi).

2.Iyadat ki aik sunnat ye bhi hai k bimar khaq me Allah tala se Dua Karen.

3.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam jub kisi bimar ki iyadat karte to ye dua Farmate, Aye logon k rub! Bimar ki skhti ko is se door karde, ise aisi Shifa de jo kisi bimari ko na chhode tu shifa dene wala hai, tere siwa koi aur Shifa nahi de skta.(muslim)

3.Iyadat ki aik sunnat ye bhi hai k Timardar bimar ke Paas km baithe, Hazrat Ibne Abbas R.A ne farmaya, Bimark paas Shor-o-Gul na krna aur kum baithna Sunnat hai.(Mishkat)

4.Jub kisi Mareez ki Iyadat kare to us se Yun kahen: (la ba'sa tahoorun inshallah) Kuch harj nahi Inshaallah ye bimari tum ko Gunahon se Paak karegi.

5.Aur sath martaba us k Shifayab hone ki yun dua Karen:(as alul laahal azeema rabbal arshil azeemi ay yashfi yak) mai Allah se sawal karta hun jo bada hai aur bade arsh ka rub hai k tujhe shifa dewe. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya hai k 7 martaba is k Padhne se Mareez ko shifa hogi Han agar us ki Mouthi aagai ho to doosri baat hai.(mishkat)

Aik Doosre se Mulaqat ki Sunnatain

 Aik Doosre se Mulaqat ki Sunnatain

1. Aik Muslman jb Doosre Musalman se Mulaqat kare to Sub se Pehle Salam Karen. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam se pucha gaya k kounsa islam behter hai? Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya tum Khana khilao aur salam karo jis ko Pehchante ho us kobhi aur jis ko Nahi Pehchante us ko bhi.(Bukhari,Muslim).

2. Aik doosre se Muskurate huwe Khushdili se mulaqat krna bhi sunnat hai,Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, Tum kisi bhi Bhale kaam ko Haqeer mat samjho hatta k tum apne Bhai se khushdili se muskurate huwe milo, ye bhi koi choti Naiki nahi hai.(Muslim).

3. Aik doosre se Mulaqat k waqt Musafh krna bhi masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, Jub bhi do Musalman aik Doosre se mulaqat krte hai aur Musafah karte hai to un k Juda hone se Pehle un dono ki Magfirat krdi jati hai.(Abudawood)

4. Jub aik doosre se Mulaqat Karen to acchi guftagu Karen, Kisi se acchi Guftagu krna bhi to Naiki ka kaam hai Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne Irshad farmaya, (Alkalimatu’Tayyibatu Sadaqh) Acchi baat kehna bhi Sadqa hai.(Bukhari,Muslim).

Guftagu ki Sunnatain

 Guftagu ki Sunnatain

1. Jub guftagu Karen to Alfaz saf saf Ada Karen samne wale ko mutmain karden, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ki Guftagu hamari tarah laga taar jldi jldi Nahi hoti thi bl k saf saf har Mazmoon Doosre se Mumtaz hota tha paas Baithnewale Acchi tarah Zahe Nasheen Karlete the.(shamail tirmizi).

2. Aksar aouqat Khamoosh Rehna aur Zarurat per Guftagu krna Masnoon hai, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam AksarKhamoosh Rehte the Bagair zarurat Guftagu na farmate the.( shamail tirmizi).

3. Kisi waje se kisi janib ishara krna ho toPoore hath se Ishara Krna chahiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam Poore Hath se Ishara farmate the.( shamail tirmizi).

4. Guftagu me muskuraht ho, Hazrat Abdullah bin Hairs R.A farmate hai k Huzoor sallaallahu alaihi wasallam se zyada tabassum Krne wala main e Nahi daikha.(shamail tirmizi).

5. Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ka Hansna Tabassum se zyada nahi hota tha.

6. Tehzeeb se giri huwi baton ko Isharatnkehden. Yaad Rakhe:Jub Kabhi bolna Waqt per bolna, Muddaton Sonchna Mukhtasar Bolna.

Wazu ki Sunnatain

 Wazu ki Sunnatain

Jub zarurat se farig hon to wazu karna chahiye aur jub wazu Karen to in sunnaton ka lihaz rakhen, hamara wazu hamare Rasool sallaallahu alaihi wasallam ki pyari sunnaton k sath ada hojaye. Kis qadar khush nasibi ki baat hai.

1. wazu se pehle (bismillahir rahmanir rahim) padhiye.(bukhair,muslim)

2. wazu k shuru me dono hath gatton tk teen martaba dholijiye.(bukhari,muslim)

3.Chahra dhone se pehle kulli kijiye aur naak saaf kijiye.(bukhari,muslim)

4. bayen hath se naak saaf kijiye.(bukhari,muslim)

5. kulli krne aur naak saaf krne me mubaliga kijiye, han!agar roze daar hai to mubalga na kijiye, aik hath se kulli krna aur aik hath se naak saf kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne aik hath se kulli ki aur aik hi hath se Naaksaf kiya.(bukhair,muslim)

6. wazu me kulli krte waqt miswak kijiye.Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ne farmaya:Agar meri ummat per ye baat shaq (mushkil) na guzarti to mai unhe har wazu k sath miswak ka hukum deta.(ahmed,nasai).

7. Agar dadhi ghani ho to Chahra dhote huwe dadhi ka khilal bhi kijiye Huzoor sallaallahu alaihi wasallam wazu me apni dadhi ka khilal kiya karte the.(tirmizi).

8. Poore sir ka masah kijiye jaisa k mash karne ka masnoon tariqa hai.

9. hato aur pairon ki ungliyon ka khilal kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne irshad farmaya, wazu achhi tarah karo aur ungliyon k darmiyan khilal karo.(abudaood,tirmizi,nas ai)

10. haton aur pairon ko dhote huwe sidhijanib se shuru Karen, is tarah k pehle sidha hath phir baya hath pehle sidha pair phir baya pair dhoyen, Huzoor sallaallahu alaihi wasallam ko joote pehenne aur pakizgi hasil krne wagaira me sidhi janib se shuru krna psnd tha.(bukhair,muslim).

11. Har azu ko aik martaba se zyada yanido do martaba ya teen teen martaba dhoyye, jaisa k hadees me hai k Aap sallaallahu alaihi wasallam ne do do martaba bhi aaza-e-wazu ko dhoya aur teen teen martaba bhi, albatta 3 martaba se zyada na dhoye.

12. pani k istemal me aai’tedal se kaam lijiye, pani ka istemal had se zyada bhi na ho ko israf hojaye aur na bilkul kmk aaza bhi sahi tour per na dhule,
Huzoorsallaallahu alaihi wasallam pani k Istemal mi Aitedal (miyanarvi) se kaam lete the.

13. Apne ghr me wazu kar k masjid jayye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne Irshad farmaya, Jo Shaksh apne ghr me wazu krta hai phir allah k ghron me se kisi ghr ki taraf chl kar jata hai ta k Allah Tala k Farayez me se koi fariza ada kare to us k qadmon me se har aik qadam aik gunah ko mitata hai aur dusrahar qadam aik darja ko bulnd karta hai.
14. wazu se farig ho kar Allah Tala k Mabood hone ki aur Muhammad Arabi sallaallahu alaihi wasallam k Rasool hone ki Gawahi dijiye aur yun kahiye.("Ash hadu An laa iIlaaha illallaahu Wahdahuu Laa Sharikalahuu Wa Ashhadu Anna Muhammadan Abduhu WaRasooluhu" jo koi wazu k baad ye kalimaye shahadt padhta hai Jannat k Aaton Darwaze us k liye khul jate hai jis darwaze se chahe dakhil hojaye.(muslim)

15. wazu k baad 2 rakhat Namaz ada kijiye, Huzoor sallaallahu alaihi wasallamne irshad farmaya, Jis ne Mere wazu ki tarah wazu kiya phir 2 Rakat Namaz ada ki Aur un 2 rakat k ada karte hue koi Dunyawi Khayal dil me na Laye, us k pichle gunah muaaf Kar diye jayenge.(bukhari,muslim)

16. Har azu ko acchi tarah dhoyyen k har aik ka haq ada hojaye.(bukhari).

Har Insan K Sath 24 ghanto mai 20 farishtey rehtay hai

 Har Insan K Sath 24 ghanto mai 20 farishtey rehtay hai
Tafseer Ibne Jareer Mai Warid Hoa hai,kah hazrath Usman (R.a) Hazrath Muhammad(S.A.W.W) k pas Aaye R Ap s.a.w.w sey Daryaft kia Kah Bataye Banday K sath Kitne Parishtay Hotay hain.
Ap S.A.W.W nai farmay",aik tho daye Janib Nekiya ka likne wala jo Baye janib walay pr Ameer hai jub tho koyi neki Karta hai wo Aik ki Bajaye 10 Lekhta hai jub tho koyi burayi kare tho baye wala daye walay se os k likhne ki ijazath talab karta hai,wo kahta hai zara tehr jao Shayid Tuba Astaghfar Kary,
3 Martaba wo Ijazat mangta hai tb bhi Agar osne tuba na ki to ye neki ka farishta os se kehta hai,
lekh lay Allah Hamay S Sey chataye,
ye tho barha bura Sathi hai S ko Allah ka Lehaz ni,ye os sey ni Sharmata,
Allah ka Farman hai Insan jo Bath Zuban Pey lata hai os Pe Aik Negahban Mutaghayan r Muhaya hai or 2 Farishtay teray Agay Pichay hain,
faman-e-Allah hai Or Aik farishta teray Matay k bal Tamay Howe hai,
Jub tu Allah k lie tawazugh karta hai wo tujhe Buland darja ata karta hai r jub tho Allah k Samne Sarkashi R takabur karta hai wo tujhe pasth r ajiz kr daita he,
r do Farishte teray hounto pr hain,
jo Darood Tu mujh pe parhta hai os ki wo hifazat karte hai,
aik farishte teray moun pr karha he k koyi sanp wagera jesi chez teray halq mai na chali jaye or 2 parishtay teray Aankho Pr Hai,
ye 10 farishtay hr bani Aadam k sath hai,phr din k alag hai,
or rath k alag hai,youn hr shakhs k sath 20 farishtay man janib Allah moakal hain-"

( Tafseer Ibne kaseer jild 3)

Tuesday, November 8, 2016

KARBALA me 72 shahid

KARBALA me 72 shahid
1 Hazrat Imam Hussain RadiAllaho anho
2 Hazrat Abbas Bin Ali
3 Hazrat Ali Akber Bin Hussain
4 Hazrat Ali Asghar Bin Hussain
5 Hazrat Abdullah Bin Ali
6 Hazrat Jafer Bin Ali
7 Hazrat Usman Bin Ali
8 Hazrat Abu Baker Bin Ali
9 Hazrat Abu Baker Bin Hasan Bin Ali,
10 Hazrat Qasim Bin Hasan Bin Ali
11 Hazrat Abdullah Bin Hassan
12 Hazrat Aun bin Abdullah Bin Jafer
13 Hazrat Mohammad Bin Abdullah bin Jafer
14 Hazrat Abdullah Bin Muslim Bin Aqeel
15 Hazrat Mohammad BIN Muslim
16 Hazrat Mohammad Bin Saeed bin Aqeel
17 Hazrat Abdul Rehman Bin Aqeel
18 Hazrat Jafer Bin Aqeel
19 Hazrat Uns Bin Hars Asadi
20 Hazrat HabibBin Mazahir Asadi
21 Hazrat Muslim Bin Ausaja Asadi
22 Hazrat Qais Bin Masher Asadi
23 Hazrat Abu Samama Umru Bin Abdullah
24 Hazrat Boreer Hamdani
25 Hazrat Hanala Bin Asad
26 Hazrat Abis Shakri
27 Hazrat Abdul Rehman Rahbi
28 Hazrat Saif Bin Hars
29 Hazrat Amer Bin Abdullah Hamdani
30 Hazrat Junada Bin Hars
31 Hazrat Majma BinAbdullah
32 Hazrat Nafey Bin Halal
33 Hazrat Hajjaj Bin Masrooq (Moazzin of Kafla-e- Kerbala)
34 Hazrat Umer Bin Qarza
35 Hazrat Abdul Rehman BinAbd-e-Rub
36 Hazrat Junada Bin Kab
37 Hazrat Amer Bin Janada
38 Hazrat Naeem Bin Ajlan
39 Hazrat Saad Bin Hars
40 Hazrat Zuhair Bin Qain
41 Hazrat Salman BinMazarib
42 Hazrat SaeedBin Umer
43 Hazrat Abdullah BinBasheer
44 Hazrat Yazid Bin Zaid Kandi
45 Hazrat Harb Bin Umr-ul-Qais
46 Hazrat Zaheer Bin Amer
47 Hazrat Basheer Bin Amer
48 Hazrat Abdullah ArwahGahffari
49 Hazrat Jhon Ghulam Abu Zar Ghaffari
50 Hazrat Abdullah Bin Ameer
51 Hazrat Abdul Aala Bin Yazeed
52 Hazrat Saleem Bin Ameer
53 Hazrat Qasim Bin Habib
54 Hazrat Zaid Bin Saleem
55 Hazrat Noman Bin Umer
56 Hazrat Yazeed BinSabeet
57 Hazrat Amir Bin Muslim
58 Hazrat Saif Bin Malik
59 Hazrat Jabir Bin Hajjaji
60 Hazrat Masood BinHajjaji
61 Hazrat Abdul Rehman Bin Masood
62 Hazrat Baker Bin Haee
63 Hazrat Ammar Bin HassanTai
64 Hazrat Zurghama Bin Malik
65 Hazrat Kanana Bin Ateeq
66 Hazrat Aqaba Bin Sult
67 Hazrat Hur Bin Yazeed Tameemi
68 Hazrat Aqaba Bin Sult
69 Hazrat Habala Bin Ali Sheebani
70 Hazrat Qanab Bin Umer
71 Hazrat Abdullah Bin yaqter
72 Hazrat Ghulam-e-Turki Ghulam

BAIT (mureed hona) KYA HE

BAIT (mureed hona) KYA HE
Allah ta’ala ke marifat hasil karne or us se dosti karne ke liye bait tariqat lazim he kyuki jub tak koi mureed kamil us raah par nahi chalayga insaan nahi chal sakta umuman raste ka ustaad rahnuma wahi banta he jise raste ki oonch neech ka pata hota he
bait Allah azzawajal ki marifat hasil karne pukhta wada he jo talib kisi Allah wale ki mojudgi me Allah azzawajal se karta he bait ke liya ahle tasawwuf me iradat ka lafz istimal hota hejiska matlab irada karna he
irada chuke har amal ka pesh khema hota he isliya irada hoga to talib manzile maqsud ki taraf chalega
irada se muraad sirf tamana ya arzoo rkhna nahi balki muraaad ko pane ke liya amal pera hojana he taki Allah azzawajal tak pahunchne ki muraad puri hosake
jo aisa irada karta he wo (mureed ) kahlata he or mureed jis nisbat ki bina par Allah taa’la ko pane ka irada karta he wo bait kah lati he

bait be’a se bana he jiska arbi me mana bikna he or humare haan bhii yahi mana mutarif he
goya ki jo sharf e bait se sarfaraz hua usne apne aap ko murshid ke haan farokht kar diya
koi cheez kisi ko pesh ki jati he or uske badle me dusri cheez li jati he to use len den ko be’a ke naam se pukar te he
banda apne galat khayal se taib ( toba karna ) hota he apne tamaam aa’aza ko ba kushi ba raza Allah taa’la ke hawale kar deta he or Allah taa’la ki ita’at par kamar basta (kamar badhna) hojata he to uske badle me Allah azzawajal khush nudi or raza mandi hasil karta he
sawal jawab
(1) sawal: baaz log kahte he ke peer o murshid ki kya zarurat he? kya hidayat ke liya paigambar kafi nahi he ?
jawab: arz he ke jis tarah khuda tak phucne ke liya paigambar ki zarurat he ase hi rasool (sallallaho alaihe wasallam ) tak pahucne ke liya peer o murshed ki zarurat he humara nafs kutte ki manind he use azaad na rahne diya jay balki uske gale me zanjeer daal kar kisi ke hawale kar de zanjeer me kadiya hoti he aakhri kadi patte me pahli kadi malik ke haath me hoti he shijra e mashaikh us zanjeer ki kadiya he jiski pahli kadi huzur sallallaho alaihe wasallam ke dast mubarak me he or aakhri kadi humare nafs ke gale me he
(2) sawal: kuch log kahte he ke ki mureed hone ka maqsad kya hi or peer ke haath me kyu date hi
jawab : mureed hone ka maqsad Allah taa’la se ahad karna ke Molla me tera farmabardaar rahunga mager chuke Allah taa’la tak humari rasaai nahi isliya kisi nek bande ke haath par ye ahad karte he jaise jub Allah taa’la ko sajda karna hoto kabaa tullah ko samne le kar sajda kar late he ka’aba qibla e namaz he peer o murshid qibla e ahad o pemaan he jis tarah badshah ke wazeer se halfe wafadari late he saamne wazeer hota he aise hi saamne shaikh (murshid) hota he mager halfe or ahad Allah taa’la se hota he or chuke ahad ke waqt haath bhi milate he isliya bait karte waqt musrhed ke haath me haath date he
neez mureed ka haath pakadna esa he jase bijli ka karant ke ager hazaro aadmi ek dusre ka haath pakde hon or ek aadmi tak karant aa jay to sab me pahuch jata he ase hi noor e nabuwat ka karant sahaba kiraam (alhemurridwaan) ne hasil kiya ab qayamat tak ye karant mashaikh kiraam me rahega or unke muridin apne apne mashaik ke haath se haath mas( milake) kar ke wo barqi (bijli) roo apne wajood me late rahege
Bait ke Muttalik Farmane Khudawandi Azzawajal
Qurane paak me Allah ta’ala ka farmane aalishan hai.
“yab ta ghuna ila rabbi himul wasilta ayyhum aqrabu wa yar juna rahmatuhu yakhafuna azabah “
Tarjuma : apne Rab ki taraf wasila talash karte hai ke unme konsa Allah se jyada kareeb tha us se tawssul kare or rehmat e ilaahi ki ummid rakhte hai or uske azaab se darte hai.
is aayat ki tafsir mein tafsire mualimu’tanzil o tafsere khazin me he
“ma’na yanzuruna ayyuhum aqrabu illallahi fayatawassluna bi “
yani Ayat ke mana ye he ke wo khayal karte he konsa Allah ke jayda kareeb he ke use apna waseela banay
beshak auliya e kiram duniya o akhirat kabr o hashr me apne mutawasilen ke shafe o madad gaar he , chunache imaam Arif billah sayyedi Abdul wahab sherani rahamatuulah ahaleh “oubude Mohammediya” me farmate he ” jo koi kisi nabi ya rasool ya wali ka mutawasil hoga jarur he ke wo nabi wa rasool o wali uski mushkilo ke waqt tashreef laayge or uski dastgiri farmayge ”
yahi buzurg farmate he ” tamaam aaima e mujtahidin parokaro ki shafat karte he or duniya o qabr or hashr har jagah sakhtiyo ke waqt unki nighedasth farmate he jub tak pulsirat se paar na ho jaaay ( mizanus shariy at ul kubra)
neez farmate he ” beshak sub peshwao auliya o ulma apne apne parokaro ki shafat karte he or jo unke parokaro ki rooh nikali he jub munkar nakeer usse sawaal karte he jub uska hasr hota he jub uska naam e amaal khulta he jub usse hisaab liya jata he jub uske amal tul te he jub wo poolsirat par chalta he har waqt har hal me uski nigahbani karte he aslan kisi jagah usse gafil nahi hote (bahawala fatawa e afriqa s. 135. 136 )
(ya ayyuhal lazena amanuttaqulaaha wab tagoo ilaihil wasilata wa jahidu fi sabilihi la allakum tuf lihoon) ( para 4 surah maydha ayat no. 35)
tarjuma : e imaan walo ‘ Allah se daro or uski taraf wasela dhudho or uski raah me jihaad karo is umeed par ke falah paao “( kanzul imaan )
is ayat ki tafseer me hazrat shah waliullah mohaddis e dahalwi rahatullah ahale farmate he ke yaha wasila se muraad na to imaan he kyuki imaandaro se to pahle hi khitaab ho raha he or na hi amaal e sawah ,namaz, roza,jakat,wagerah badni ibadat he kyuki yeh taqwa me shamil he isi
tarah jihhaad bhi murad nahi wo bhi tqwa me shami hain pas waseele se muraad iradat he bait or murshide tariqat he
quran pak me ek bait ka zikr he , chunache Allah ta,laa farmata he
‘innallazeena yubayiunakum annama yubayiunallah yadullaha fauqa aidihim’ (para 26 surahtul fatah ayat no. 10)
tarjama : wo jo tumari bait karte he wo to Allah hi se bait karte he unke haatho par Allah ka haath he (kanzul imaan)
hazrat wasti rahmullah ahale farmate he ke bait dar haqiqat Allah ke saath maqsud he or darmiyan me wasta e huzur sallallaho ahle wasallam faqat husul e barqat he yani jis shakh ne nabi Akram sallallaho ahle wasallam se bait ki usne dar haqiqat Allah se bait ki kyuki haqiqatan ye bait bait e ilahi he is liya ke huzur sallallaho ahle wasallam ka dast e mubarak darmiyan me ek wasta he or wo ba manzilah Allah ta’laa ke haath mubarak ke liya he
baaz mufasrin e kiram ne ayat e mubarka “watabaah sabeli mananaba ilihe ” ki sharah me likha he ke uska ibtiba karo jisne mari taraf razu kiya ho or maqame qareeb me pahucha hua ho is se muraad bait he rab e kareem azzawajal jiski hidayat chahta he use koi sachha rahnuma miljata he or murshid ke liya wali hona jaruri he beshak sachhe murshid auliya Allah hi ho sakte he
maloom hua ke shariyat e mustafa sallallaho ahleh wasallam par kamil amal pera murshide sadiq ke haath par bait karna bil wasta rasool Allah sallallaho ahleh wasallam ke dast e aqdas par bait ke mutradif he or rasoolAllah sallallaho ahleh wasallam ke saath bait karna bait e ala yadullah he jesa ke khud quran e pak me wajah taur par irshad he
BAIT KE MA’ANA AUR TA’REEF
IMAAM E AHLE SUNNAT AALA HAZRAT SHAH AHMED RAZA KHAN ALAIHIRRAHMA
bait ke mutalliq irshaa farmate hain ki, Bait ke ma’ana hain ‘bik jana ‘.
Log bait bataure rasm karte hain bait ke ma’ana nahin jante . bait use kehte hain ke hazrat yahya muneeri rehmatullah alaih ke ek mureed dariya mein doob rahe the hazrat Khizr alaihissalaam zahir huwe aur farmaya apna haath mujhe do ki tujhe nikaal lu . unke mureed ne arz ki ye hath hazrat yahya muneeri rehmatullah alaih ke hath mein de chuka hun ab dusre ko na dunga yaka yak hazrat khizr alaihissalam gayab ho gaye aur hazrat yahya muneeri rehmatullah alaih zahir huwe aur un mureed ko nikaal liya [FATAWA AFRICA pg 151]

HAKEEM UL UMMAT HAZRAT QIBLA MUFTI AHMED YAAR KHAN NA’EEMI REHMATULLAH ALAIH
Aap bait ke mutalliq irshaad farmate hain ki, Haqeeqat bait ki yeh hai ki ALLAH AZZAWAJAL ke naib ke hath par ALLAH AZAWAJAL se iqraar karna ke hum wafadaar bande rahenge aur is ALLAH ke bande yani apne shaikh ko is par zamin banana [SHANE HABEEB UR REHMAN]

HAZRAT SHAH ABDUL AZEEZ DEHLWI KA FARMAAN
Aap bait ke bare mein irshaad farmate hain ki mureed apna aqeedat ka haath murshid ke hath ke sath mun’aqid karta hai aur ye in’eqaad murshud ke waste se iske murshid ke sath hota hai aur Alaa hazal qayaas yake baad deegare yeh in’eqaad hazrat ALI KARRAMALLAHU WAJHAHUL KAREEM ke sath ho jata hai aur ba wasta hazrat ALI radiyAllahu anhu ke is bait ka in’eqaad hazrat NABI E KAREEM sallAllahu alaihi wa sallam ke sath ho jata hai [FATAWA AZEEZI pg no; 83]

BAIT KE BARE MEIN HUZOOR GAUSE AAZAM RADIYALLAHU ANHU KA FARMAAN
qutbe rabbani, gause samdani, shehbaze la makaani, qandeele noorani, sayyedena Gause aazam shaikh abdul qadir jeelaniradiyAllahu anhu irshad farmaate hain ki, shuru se ALLAH TA’ALA ne roohani tarbiyat ka silsila isi tarah jaari farmaya hai ek faiz deta hai aur dusra faiz haasil karta hai jaise Ambiya e kiram alaihissalaatu wassalaam aur unke jaanasheen phir unke tarbiyat yaafta wa Ala haazal qayaas ye silsila qayamat tak jari rahega.ba irshade ilahiya na mumkin hai ke KHUDA TA’ALA kisi shakhs ko tarbiyat ke bagair maqaamate aaliya tak taraqqi de aur na hi us par koi daleel qaaim ho sakti hai kyunki aksar yahi hua hai ke siwa e shaikh ke koi shakhs manazile sulook tey nahin kar sakta.phir farmayashaikh ki khidmato zaroorat us waqt tak alahida nahin hona chahiye jab tak wasool ilAllah yani manzile maqsood tak na pahunch jaye.[GUNAYYATUTTALIBEEN pg; 614]
bait ki jarurat
buzurgo ne farmya he ki Allah ta’ala tak pahuchne ka sab se jayda or sab se asaan or sab se jayda nazdek rasta ye he or khuda ta’ala ka qanoon bhi is tarah par jari he ki jis tarah insaan jahir ki khubiyo ko apni hamjinso ke saath mil kar hasil karta he or ustaad ki shargidi hasil kiye bageir koi fun asani or sahi tareqe se nahi sikh sakta ! is tarah insaan batini kamalo ko bhi tariqat ke peer ki bait ke bageir hasil nahi kar sakta ( illah MasahaAllah ) jayse duniya me musafir e Aakhrat ke liya rahbare tariqat ki hazat he ! isliya murshide kamil ki bait ke bagair chara nahi
ilm batini dar asal ek poshida amr he or poshida amr sach or jhooth sahi or galat me tameez karna bahut mushkil he ! jaha kahi bade fayde ki umeed hoti he wahi bade bhari nuksaan ka bi darr he ! jaha khazana hota he waha daku or chor ka bhi darr hota he or nafs us khazane ka daku or shaitaan uska chor he ! umuman na wakif log peer or mursheed ke intikaab me galtiya karte or bila tahqeeq har kis o naqis ka apna rahbar wa hadi bana late he or khilaaf e sharaf darweshiyo ya duniya parst peero ke daam e fareeb me aa kar apni qimati jindagi barbaad kar late he! isi liya kisi ke haath me haath dane se pahle achhi tarah jaach karli jae