sunnat e rasoool

Tuesday, November 15, 2016

Taziye Sharif Ka Shara’i Hukm

Taziye Sharif Ka Shara’i Hukm
Saiyadana Huzoor Imam-E-Aali Maqam Shaheed-E-Aazam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Ziqr-E-Shahdat Ke Saamaan-E-Tash’heer Aur Tareeqa-E-Elaan Par Aik Tahqiqi Kitab (Jise Hum Ne Yaha’n Roman Urdu Me Pesh Kiya Hai)
Taziye Sharif Kee Shara’i Haisiyat
Taziye Sharif Kee Tarikhi Haisiyat Kya Hai ? Is Kee Koi Zaroorat Nahin Hain, Sau Saal Pehle Se Bana Ho Ya Hazaar Saal Se Pahle Se, Dekhna Yeh Hai Ki Is Kee Sharai Haisiyat Kya Hai ? To Is Silsile Me Hum Qur’an Sharif Kee Taraf Ruzo Karte Hain Ki Jo Chjizein Allah Waalon Se Nisbat Haasil Kar Leti Hain Un Ka Kya Buland Muqaam Ho Jaata Hai, Is Ko Samjhne Ke Liye Padhiye Irshad-E-Rabb-E-Qadir :
“BeShak Safa Aur Marwa Allah Kee Nishaaniyon Me Se Hain.”
[Basirat-ul-Iman, Safah-28, Para-02]
Is Aayat-E-Karima Me Allah Ta’ala Ne Safa Aur Marwa Do Pahadiyon Ko Apni Nishani Qaraar Diya Hai. Is Liye Ki Aik Waliyya Ke Qadamon Se Inhein Nisbat Ho Gayi Hai. Saalehin Se Jis Chiz Ko Nisbat Ho Jaayein Woh Azmat Waali Ho Jaati Hai Aur Allah Ta’ala Kee Nishaani Ho Jaati Hai, Azmat Aur Nisbat Waali Chiz Kee Taazim Wa Tauqeer Deen Me Shaamil Hai Aur Allah Ta’ala Kee Nishaniya’n Jo Allah Ta’ala Kee Yaad Dilaati Hain Allah Waalon Kee Yaad Dilaati Hain, Woh Har Aik Ka Mukaddar Nahin. Irshad-E-Rabb-E-Qadir Hai :
“Ye Baat Hai Aur Jo Taazim Kare Allah Ko Yaad Dilaane Waali Chizon Kee To Ye BeShak Dilon Ke Takwe Se Hai.”
[Basirat-ul-Iman, Safah-802]
Ab Is Aayat-E-Karima Kee Tafsir Bhi Mulahiza Farmaye. Sha’air-ul-Allah Yaani Allah Ta’ala Kee nishaniyon Kee Taazim. Jis Ka Dil Khauf-E-Elaahi Ka Gehwara Hoga Woh Us Se Mansoob Chizon Ka Adab Zaroor Karega. Adab Karna Shirq Nahin Balki Ain Tauhid Ke Aasaar Me Se Hai. Allah Ta’ala Ka Har Aashiq Har Us Chiz Kee Qadr Karta Hai Jo Allah Ta’ala Kee Taraf Mansoob Ho Jaati Hai. Ebaadat-E-Jaahiri To Jism Ka Taqawa Hai Aur Dil Me Buzurgon Aur Un Ke Tabarrukat Kee Taazim Hona Ye Dil Ka Taqwa Hai. Jis Pat’thar Ya Janwar Ko Azmat Waale Se Nisbat Ho Jaaye Woh Sha’air-ul-Allah Yaani Allah Ta’ala Kee Nishani Ban Jaat Hai. Qur’an-E-Karim Me Hadi Ke Jaanwar Ko Kabat-ul-Allah Kee Nisbat Se Aur Safa Aur Marwa Kee Pahadiyon Kokaabe Waali Hazrat-E-Haajara Kee Nisbat Se Sha’air-ul-Allah Farmaya. Hazarat-E-Awliya’-E-Kiram Ke Mazaar-E-Mukaddesa Bhi Sha’air-ul-Allah Yaani Allah Ta’ala Kee Nishaniyan Hain. [Tafsir Rooh-ul-Bayan Sharif] Aiur Jin Logon Ko Allah Ta’ala Ke Pyaaron Se Nisbat Ho Jaaye Woh Sab Sha’air-ul-Allah Hain. Jaise Hazarat-E-Sadat-E-Kiram.

[Tafsir-E-Qadiri Badeei May Fawa’id-E-Rashidiya, Safah-803]
Agar Ba-Nazar-E-Ghaayar Dekha Jaayein To Hajar-E-Aswad Ko Choomna Bhi Isi Nisbat Kee Ata Hai Ki Lahbaay-E-Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Is Pat’thar Ko Choom Kar Qayamat Tak Ke Liye Bosaagaah Ban Diya. Chunanche Saiyadana Hazrate Umar Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Jab Sang-E-Aswad Ke Qarib Chumne Ke Liye Aaye To Aap Ne Farmaya :
Hadith Sharif : Hazrate Aabis Ibn Rabia RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki Mein Ne Hazrat Umar Farook-E-Aazam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ko Dekha Ki Woh Hajar-E-Aswad Ko Choom Rahe Hain Aur Farma Rahe Hain Ki Aye Hajar-E-Aswad ! BeShak Too Aik Pat’thar, Na To Nafa Deta Hai Aur Na Nuksaan Aur Mein Tujhe Na Chumta Agar Mein Ne Rasool-E-Paak SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Choomte Na Dekha Hota.
[Bukhari Sharif]
Ye Baat Bhi Zer-E-Nazar Rahe Ki Hazar-E-Aswad To Chooma Hee Jaata Hai Kyon Ki Use Barah-E-Raast Nisbat-E-Rasool Haasil Hai Magar Nisbat Ka Ye Anadaz Bhi Khoob Aur Bahut Khoob Hai Ki Agar Waha’n Tak Aap Ka Moonh Na Jaaye To Lakadi Ya Khapachchi Hajar-E-Aswad Ko Laga Kar Us Lakadi Aur Khapachchi Ko Choom Lo Aur Agar Aap Kee Lakadi Aur Khapachchi Bhi Waha’n Tak Na Pahunche Ya Koi Lakadi Aur Khapachchi Bhi Haath Me Nahin Hai To Hajar-E-Aswad Kee Taraf Apana Moonh Kar Ke Apna Haath Choom Lo. Nisbati Hone Ke Liye Ye Zaroori Nahin Ki Jis Se Nisbat Dee Jaa Rahi Hai Us Se Baraah-E-Raast Bila-Waasta Mas Ho. Chunanche Hawaale Kee Duniya Ke Aaiye Aur Is Haqiqat Ko Padhiye.
{Hawala} Aur Haath Na Pahunche To Lakadi Se Sang-E-Aswad Mubark Ko Chhu Kar Use Choom Lo Yeh Bhi Na Ban Pade To Haathon Se Us Kee Taraf Isaara Kare Aur Aur Bosa De. Mohammad Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Moonh Rakhne Kee Jagah Par Nigaahe Padi Rahi Hain Yahi Kya Kam Hai.
[Fatawa Razwiya, Jild-04, Safah-701]
Nisbat Barah-E-Raast Ho Ya Dur Se, Tab Bhi Nisbat Nisbat Hee Hai Aur Nisbat Ka Bharpoor Faizaan Milega. Taziye Sharif Ko Bhi Huzoor Imam-E-Husain Ibn Ali RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Nisbat Haasil Hai Aur Ye To Bana Hee Un Ke Naam Par Hai Jab Kee Lakadi Wa Chhadi Sang-E-Aswad Ko Chhhoone Ya Choomne Ke Liye Na Bani Thi Use To Use To Waqti Taur Par Istimaal Kar Liya Gaya.
Taaziya Sharif Jo Aam Taur Par Banaya Jaata Hai Woh Na To Roza-E-Husaini Kee Shabeeh Hoti Hai Aur Na Kisi Doosare Buzurg Ke Aastane Kee, Balki Woh To Yoon Hee Jis Kee Samajh Me Jo Aaya Bana Liya. Kyon Ki Taaziye Sharif Ka Maqsad Tash’heer-E-Husaini Hai Ki Poori Duniya Me Shahadat-E-Husain Charcha Ho Aur Iman Waalon Me Isaar Wa Qurbani Aur Shahadat Ka Jazba Paida Ho. Ye Yazidiyon Ko Aik Aanlkh Bardaasht Nahin Hai.
Aap Is Andaaz-E-Tasheer Ko Apne Samaaz Me Dekhe Ki Kis Tarah Racha Basa Huwa Hai, Jis Ke Yaha’n Shaadi Byaah Ka Programe Hota Hai Woh Apna Makaan Apani Gali Apana Makaan Apani Gali Apana Mohalla Sajaata Hai, Gate Lagaata Hai Taa Ki Har Gujarne Waale Ko Pata Chale Ki Is Ke Chahite Ya Chahite Kee Shaadi Hai Aur Is Sajaawat Wa Roshani Aur Gate-Saaji Aur Mandap Ko Duniya Ka Koi Maulvi Na To Na-Jaaiz Kahta Hai Aur Na Mana Karta Hai Chun Ki Nikaah Ke Programs Me Se Aik Program Ye Bhi Hai Ki Nikaah Kee Tash’heer Kee Jaaye, Kulya Me Gud Na Phoda Jaaye Ki Kal Koi Sawaaliya Nishaan Na Qaayam Kar De, Maaloomaat Na Hone Kee Bina Par. Is Liye Pyaare Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Irshad Farmaaya Ki Nikaah Ka Elaan Daff Baja Kar Karo.
Jab Apne Noor-E-Nazar Ya Noor Basar Kee Tashaheer Ke Liye Ye Sab Kuchh Ho Sakta Hai To Nabi Ke Chahite Nawaason Kee Tash’heer Ke Liye Ye Tamam Kaam Kaise Na-Jaaiz Ho Sakte Hain. Tash’heer-E-Husaini Me To Qaum Ko Waqiya-E-Qarbala Isaar Wa Wafa Aur Yazeede Paleed Ke Joro Jafa Ke Saath Saath Millate Muslima Ko Aik Naya Hausala Aur Pukhta Azm Zauq-E-Jihaad Shauq-E-Shahadat Ka Sabak Bhi Milta Hai Aur Qudarati Taur Musalmanon Ke Behre Jazbaat Me Talaatum Barpa Hone Lagta Hai.
Duniya Bhar Kee Mehfil-E-Milad Sharif Jasah-E-Sirat-E-Nabi Wa Aaraas-E-Mubark Wa Ijtema’at Me Sajaawat Ka Kitna Jabardast Intejam Wa Ehtimam Hota Hai Aur Kahi Kahi To Aik-Aik K.M Ke Faasle Par Gate Banaaye Jaate Hain, Jabardast Sajaawat Aur Mandap Hota Hai Aur Stage Ko To Itana Sanwaara Aur Sajaaya Jaata Hai Ki Log Is Ko Dekhne Ke Liye Umad Padte Hain. Jalse Kee Tash’heer Wa Ahamiyat Ke Liye Poster Bhi Bahut Khubsoorat Pancharanga Aur Siege Bhi Toofaani Hota Hai Taa Ki Poster Ko Dekh Kar Hee Log Samajh Jaaye Ki Poster Ke Hisaab Ka Hee Jalsa Bhi Hoga. Jab Ki Jalse Kee Ittila To Aik Chhota Sa Aik Rang Ka Hanbill Bhi De Sakta Hai. Is Par Na To Fuzool Kharchi Ka Goga Hota Hai Aur Na Israaf Ka Waavela Aur Na Koi Ye Puchhta Hai Ki Is Kee Ibtida Kis Ne Kee Aur Ye Tamam Taamjhaam Qur’an-E-Karim Kee Kis Aayat-E-Karima Aur Keen Keen Ahadith-E-Karima Me Likhi Huwi Hain. Ye Tamam Aaraaish Wa Zebaaish Aur Sajaawat Wa Raunaq, Ye Jhaalar Wa Jhandiya’n Chunki Sab Apne Liye Hain, Is Mandap Me Aa Kar Maulvi Saahebaan Sajege To Sab Kuchh Durust Hai Is Me Kisi Sharai Qabaahat Ka Koi Tazkera Nahin “Jo Ho Raha Hai Hone Do” Jitni Bhi Tip Taap Hai, Hai To Sab Hamare Liye ?
Haay Afsos Khud Ko Musalman Kahne Waale Balki Islam Ka Thekedaar Kahlane Waale Khud Apni Tash’heer Ke Liye To Sab Kuchh Qubool Karte Hain Magar Wohi Saamaan-E-Tash’heer-E-Nabi-E-Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Is Mazloom Shahzaade Ke Liye Bardaasht Nahin Kar Paa Rahe Hain. Balki Jad Se Hee Huzoor Imam-E-Aali Makaam Shaheed-E-Aazam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Naam Wa Nishaan Khatm Karne Ke Mood Me Hain. Yeh Alag Baat Hai Ki Yazeediyon Ka Abba Yazeed Paleed Sab Kuchh Haath Paanw Maarne Ke Baad Bhi Na-Kaam Wa Na-Muraad Hee Duniya Se Gaya Aur Laanat Ka Tauq Is Par Izaafa
Hai Roosway-E-Zamaana Woh Yazeede Naabakaar Ab Tak
Makeene Qalb-E-Momin Hai Husain-E-Ba-Waqar Ab Tak
Husaini Ushshaaq Wa Khuddam Ne Us Waqt Bhi Yazeediyat Ko Dhool Chatayi Hai Aur Is Waqt Bhi Yazeediyon Ko Chhathi Ka Dooth Yaad Dila Denge Aur Yazeediyon Ko Koi Khwaab Sharminda-E-Tabir Na Ho Sakega. Taaziye Sharif Kee Taazim Karna Istedalaali Taur Par Qur’an-E-Karim Se Saabit Hai, Jo Chiz Allah Waalon Se Nisbat Haasil Kar Leti Hai Woh Kaabil-E-Tazim Ho Jaati Hai, Aur Us Kee Tazim Bhi Wohi Karta Hai Jis Ka Dil Khashiyat-E-Rabbani Ka Gehwaara Hai Nisbat Waali Chiz Ka Ehteraam Karna Har Tharre Aur Khurre Ka Kaam Nahin Hai. Yazeedi Ke Camp Kee Taraf Se Ye Bhi Kaha Jaata Hai Ki Taaziye Sharif Ke Saamne Faateha Nahin Deni Chaahiye Ki Log Pata Nahin Kya Samjhenge, Magar Ye Yazeedi Khatre Ka Ye Signal Kaha’n Kaha’n Dikhaayege. Taaziye Sharif Ke Saamne Agar Niyaaz Wa Faatiha Dena Is Liye Jaaiz Nahin Hai Ki Log Kya Samjhenge To Phir Mazaarat-E-Awliya’-E-Kiram Par Bhi Niyaz Wa Fateha Band Kar Dena Chaahiye Ki Pata Nahin Log Kya Samjhenge Ki Saahib-E-Qabr Kee Faatiha Ho Rahi Hai Ya Seedhe Qabr Kee Pooja Ho Rahi Hai. Aur Agar Ye Jazba-E-Manhoos Aur Jawaan Jaaye To Phir Yun Bhi Kahiyega Ki Gumbad-E-Khizara Kee Chhanw Tale Khade Ho Kar Haath Baandh Kar Salam Bhi Na Padha Jaaye Ki Pata Nahin Log Kya Samjhenge Ki Jaaliyon Aur Mitti Ke Dher Ko Salaam Kar Rahe Hain, Is Khatre Ko Aik Yazeedi Campe Ne To Mahsoos Bhi Kar Liy Hai Aur Is Par In Ka Sakht Pahtra Bhi Hai Ki Har Kisi Ko Rook Kar Haath Baandh Kar Salam Nahin Padhne Dete. Ye Kaala Aur Andha Kaanoon To Abhi Aap Ke Ghar Me Dam Tod Dega Aur Yazeedi Mission Ka Tadapta Laasha Beech Chauraahe Par Hoga.
Namz-E-Janaza, Ki Ghar Ke Murde Ko Nahla Dhoola Kar Safed Kapade Pahna Kar Maidaan Me Rakh Diya Aur Sab Se Sab Haath Baandh Kar Janaza Saamne Rakh Kar Khade Ho Gaye Aur Aahista Aahista Khopadi Bhi Hilaane Lage, Agar Koi Ye Samajhne Lage Ki Musalman Marte Hee Khuda Ho Jaata Hai Aur Saari Qaum Us Kee Pooja Paat Me Lag Jaati Hai To Kya Namaz-E-Janaza Is Liye Chood Dee Jaayegi Ki Log Kyaa Samjhenge ? Ushshaq-E-Husaini Ka Har Mauqe Par Aik Hee Jawaab Hoga. Ye Ouni Pouni Samajh Waale Jaaye Apni Aisi Taisi Me. Hum Qabr Kee Faatiha Nahin Padhte Hain, Hum Janaaze Kee Pooja Paat Nahin Karte Hai Balki Allah Ta’ala Kee Ibaadat Kar Ke Musalman Mayyat Ke Liye Maghfirat Kee Duaa Karte Hain. Isi Tarah Taaziye Ke Saamne Taaziye Kee Nahin Balki Nabi Ke Nawaason Kee Faatiha Karte Hain. Jinhone :
Khoon Se Apne Jala Ke Rahe Maula MeCharaag
Raasta Ummat Naana Ko Dikhaate Hain Husain
“Log Pata Nahin Kya Samjhenge” Nek Kaamon Ko Band Karaane Ke Liye Yeh Engregi Formula Ba-Raah-E-Saudiya Najdiya Bhaarat Ke Campon Me Aaya Hai. Yazeedi Camp Kee Taraf Se Taaziye Sharif Ke Dafan Karne Par Bhi Aawaara Labo Lahje Hooha Machaayi Jaati Hai Ki Farzi Qarbalaein Bana Rakhi Hai Aur Waha’n Taaziya Dafn Kiya Jaata Hai Aur Ye Aik Gaurakh Dhanda Hai Aur Islam Me Is Kee Koi Gunjaash Nahin Hai.
Yaha’n Bhi Agar Ye Kah Diya Jaata To Kuchh Baat Ban Jaati Ki Yahoodi Islam Me Is Kee Koi Gunjaaish Nahin Hai Kyoon Ki Mohammadi Islam Me Is Kee Gunjaaish Hee Nahin Balki Is Kee Ba-Kaayda Taalim Wa Tabligh Hai.
Qur’an-E-Karim Ke Auraak Agar Boseeda Ho Jaayein Ya Deeni Kutub Agar Khasta Ho Jaayein To Un Ke Liye Islami Kanoon Yeh Hai Ki Unhein Ya To Dafn Kar Diya Jaata Hai Ya Phir Unhien Is Taur Par Paani Me Thanda Kar Diya Jaaye Ki Woh Satah-E-Aab Par Aa Kar Tair Na Sake Jis Se Be-Adabi Ho. Kyon Ki Qur’an-E-Karim Ke In Kaaghazi Safahaat Ko Allah Ke Kalaam Se Nisbat Hai Lihaaza In Kee Be-Hurmati Na Hone Paaye, Aise Upaay Kiye Jaayein Ki In Kee Qadr Baaki Rahe, Lihaaza Inhein Dafn Karne Ya Paani Me Thanda Karne Ka Tarika Islam Ne Diya.
Ab Taaziye Sharif Ka 10 Muharram Sharif Ke Baad Kiya Kya Jaaye To Is Ke Do Hee Tariqe Hain, Aik To Ye Is Ko Imambaade Sharif Me Rakh Diya Jaaye Ya Phir Masjid Wa Madaaris Wagairah Me Ba-Hifaazat Machaan Par Rakh Diya Jaaye. Doosara Tariqa Ye Hai Ki Is Ko Dafn Kar Diya Jaaye Ya Paani Me Thanda Kar Diya Jaaye Taa Ki Taaziye Sharif Aur Is Ke Ajza Be-Hurmati Se Mahfooz Ho Jaayein. To Taaziye Sharif Ko Dafan Karna Ya Paani Me Thanda Karna Az’ro-E-Shariat Durust Hai. Ye Bhi Taazim Hee Ka Aik Unwaan Hai.
Guzishta Saal Bareli Ke Aik Gaanw Me Is Baat Par Le De Mach Gayi Yazeediyon Ka Kahna Tha Ki Jis Masjid Me Taaziya Rakha Huwa Hai Us Masjid Me Namaz Jaayaz Nahin Aur Padhi Jaayegi To Namaz Nahin Hogi. Yazeedi Maulvi Apne Chand Yazeediyon Ke Saath Is Mauqaf Par Date To Poora Gaanw Is Baat Par Jam Gaya Taaziya Sharif Masjid Hee Me Hasb-E-Saabiq Rakha Rahega. Aur Hasb-E-Saabiq Taaziye Ke Masjid Me Hote Huwe Namaz Bhi Hoti Rahegi. Jab Husainiyon Aur Yazeediyon Me Than Gayi Aur Naubat, Bajane Waali Hee Thi Ki Fareeqain Me Tay Huwa Ki Markaz-E-Ahl-E-Sunnat Jamea Qadiriya Naimiya Muradabad Sharif Se Mas’ala Maloom Kar Liya Jaaye, Qadiri Dar-ul-Ifta Jo Faisla Dega Woh Hum Sab Ko Manjoor Hoga. Lihaaza Phone Aaya, Phone Karne Waala Yazeedi Tha Jo Ki Us Ke Sawaal Ke Tewar Bata Rahe They. Mazkoora Mas’ala Mujh Se Ma’loom Kiya Gaya, Main Ne Phone Par Hee Mas’ala Bata Diya Ki Jis Masjid Me Taaziya Sharif Hoga Us Masjid Me Namaz Durust Hai Aur Woh Masjid Sunniyon Aur Husainiyon Kee Hee Hogi. Taaziye Kee Maujoodagi Is Baat Kee Alaamat Hogi Ki Is Masjid Ka Yazeedi Camps Se Koi Ta’lluq Nahin Hai, To Us Ne Intihaayi Maayoos Lahje Me Phone Par Kaha “Ab To Taaziya Masjid Me Hee Rahega”Aur Phone Rakh Diya.
Jab Masjidon Me Eid-E-Milad-un-Nabi Aur Urs-E-Mubaraka Ke Doosare Board Hifaazat Ke Liye Rakhe Jaa Sakte Hain To Phir Taaziya Sharif Kyon Nahin Rakha Ja Sakta. Yazeediyon Kee Qabron Ke Tughare Jab Masjidon Me Latkaaye Ja Sakte Hain To Nabi Ke Shahzadon Ke Saamaan-E-Tasheer (Taaziye) Ko Hifaazat Ke Liye Masjidon Me Kyon Nahin Rakha Jaa Sakta Aur Is Kee Maujoodagi Me Namaaz Na Hone Ka Kya Sawaal Paida Hota Hai.
Har Husaini Musalman Soche Ki Har Ghar Me Milaad Sharif Hota Hai, Har Mohalle Aur Har Shahar Me Deeni Jalse Hote Hain In Me Ghar Kee Daraya’n Aur Chaandaniya’n Bichhayi Jaati Hain. Ghar Kee Chaukiya’n Aur Takht Bichhaye Jaate Hain Ya Phir Kiraaye Ka Saamaan Mangaaya Jaata Hai Aur Ye Kiraaye Ka Saamaan Is Deeni Jalse Se Pahle Bhi Doosare Swaang, Sarkas, Randi Ke Naach, Katha Kirtan Me Istimaal Hota Hai Aur Aaj Ke Baad Bhi In Mazkoora Kaamon Me Istemaal Hoga Aur Yahi Haal Light Aur Sajaawat Ke Saamaan Ka Hai Ki Woh Bhi Kal Kaha’n Kaha’n Istemaal Huwa Hai Aur Phir Kal Ko Kaha’n Kaha’n Istemaal Hoga. Magar In Sab Ko Mahfil-E-Rasool, Bazm-E-Rasool, Mimbar-E-Rasool Ka Naam De Diya Gaya. Ab Maulana Sahab Baar-Baar Yahi Kahege Ki Bazm-E-Rasool Hai, Yah Mimbar-E-Rasool Hain, Koi Musalman Nange Sar Ya Koi Daadhi Munda Is Par Az Roe Shariat Nahin Baith Sakta Ki Ye Mimber-E-Rasool Hai. Chand Ghanton Ke Is Saamaan Ko Mehfil-E-Zikr-E-Rasool Me Lagaaya Gaya To Aadaab Kee Barsaad Dekhi Jaa Rahi Hai. In Dari, Chaadaron, Jhaalaron, Jhandiyon, Chonkiyon Aur Takhton Ko Zikr-E-Rasool Se Thodi Der Ke Liye Nisbat Ho Gayi Hai, Ho Sakta Hai Ki Ye Saara Ka Saara Saamaan Yaha’n Se Ukhad Kar Kisi Swaang Ya Kirtan Ya Naach Gaane Kee Sabha Me Chala Jaaye Magar Waqti Nisbat Ne Is Saamaan Ko Azmatein Dee Ke Ab Koi Is Mehfil Me Bidi Cigarette Bhi Nahin Pee Sakta Ki Bazm-E-Rasool Hai. Mohalle Ka Kutta Jo Din Bhar Yahi Ghoomta Hai Ab Agar Aa Jaaye To Badi Teji Kee Saaath Is Ko Bhagaaaya Jaayega Ki Ye Bazm-E-Rasool Hai Kutta Kaise Aa Gaya ? Ye Waqti Nisbat Kee Jalwaagari Hai Ki Ghar Kee Chaadaron Aur Chaar Diwaari Kee Taazim Kee Jaa Rahi Hai. Kiraaye Par Aaye Huwe Decoration Ke Saamaan Kee Taazim Kee Jaa Rahi Hai Jo Chand Minute Baad Taay Taay Fish Ho Jaayega, Magar Taaziya Sharif To Banaaya Hee Gaya Hai Prachar-E-Husaini Ke Liye, Is Ka To Maqsad Hee Tash’heer-E-Husaini Hai, Woh To Na Pahle Hee Gandi Jagahon Par Istemaal Huwa Hai Aur Na Baad Me Hee Kisi Gandi Jagah Istemaal Hoga. To Is Husaini Nisbat Rakhne Waale Taaziye Sharif Kee Taazim Bila Suba Rooh-E-Iman Hai Balki Ishq-E-Husaini Kee Pahchan Hai Aur Azeem Nisbat-E-Husaini Rakhne Waale Taaziye Sharif Kee Wohi Taazim Karega Jis Ka Dil Jalwagah-E-Khashiyyat-E-Rab Hoga, Jo Dil Ka Muttaqi Hoga. Aur Jis Ka Dil Bala-E-Yazeediyat Me Giriftar Hoga Us Kee Apni Yazeedi Taknik Hogi, Yazeedi Soch Hogi, Woh Isi Par Nanga Naach Karega.
Taaziya Sharif Imaan Waalon Kee Nazar Me Bahut Hee Mohtaram Wa Moazzam Hai. Imaan Waalon Me Bhi Do Jama’atein Hain, Aik Awaam, Doosare Khawaas. Taaziya Sharif Par Do Jama’aton Me Mohtaram Wa Moazzam Hai Aur Donon Jama’aton Ne Taaziye Sharif Ka Intezam Wa Ehtemaam Bhi Kiya Hai Aur Ikaraam Wa Ehtaraam Bhi. Taaziya Sharif Aaj Kee Koi Naee Baat Nahin Hai Sadiyon Saal Pooraani Baat Hai 1170 C.E Me Taqriban Saadhe Aath Sou Saal Pehle Kee Taaziye Sharif Kee Riwayat Milti Hai.
25 Moharram Sharif Ko Saiyadana Huzoor Baba Fareed-ud-Deen Ganze Shakar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Urs-E-Mubarak Ke Mauqe Par Huzoor Baba Sahab Ka Chilla Khaana Khulta Hai Jis Me Saiyadna Sultan-ul-Hind Garib Nawaz Huzoor Khwaza Moin-ud-Deen Ajmeri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Chaandi Ka Taaziya Sharif Rakha Huwa Hai. Jaaerin Is Kee Ziyaarat Se Faizyaab Hote Hai.
[Deen Mohammadi Aur Taziya Daari]
Hindustan Ka Musalman Do Buzurgon Ka Marhoon-E-Minnat Hai :
(01) Saiyadana Huzoor Madar-ul-Aalamin Sultan-ul-Awliya’ Saiyad Badee’ud-Deen Zinda Shah Madar
(02) Saiyadana Huzoor Sultan-ul-Hind Garib Nawaz Khwaja Saiyad Moin-ud-Deen Hasan Ajmeri RadiyAllahu Ta’ala Anhuma.
Aur In Donon Khaanqaahon Me Nasalan Baada Nasalin Qaranan Baada Qaranin Taaziya Sharif Banta Chala Aa Raha Hai Aur Is Kee Taazim Wa Tauqeer Ziyaarat Wa Sa’adat Ka Prachar To Sadiyon Se Hota Hai.
Goya Ki Bharat Waasiyon Ko Jaha’n Se Islam Mila Hai Waha’n Se Taaziya Sharif Bhi Mila Hai Lihaaza Husaini Mastaane Apne In Jaleel-ul-Qadr Buzurgon Kee Khaanqaahon Se Nashr Hone Waale Paigam Ko Qubool Kare Aur Tash’heer-E-Husaini Ke Liye Taaziya Sharif Banaaein Aur Bara-E-Elaan Dhol Taasha Bhi Bajaaye, Sarbat Kee Sabeele Bhi Lagaaye Aur Niyaaz Wa Faateha Bhi Dilaaye Aur Mahfil-E-Ziqr-E-Shahadat Sajaaein Aur Rooh-E-Husain Ko Khush Karne Ka Jashn Manaayein Yazeediyon Ko Khoob Jalaayein Itana Jalaayein Ki Woh Kabaab Ho Jaaein. Yazeedi Campe Purfareb Tariqe Se Ye Zehan Sadaata Hai Ki Woh To Bhookhe Pyaase Shaheed Huwe Aur Hum Khichada Aur Sharbat Khaa Pee Kar Mauj Masti Maare.
Is Yazeedi Istedalaal Kee Tarz Par To Yah Bhi Kaha Jaa Sakta Hai Ki Pyaare Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam To Faqr Wa Faaqe Kee Zindagi Basar Farmayein Aur Chataayi Par Jalwa Gustar Ho’n Aur Ye Yazeediyat Ke Thekedaar Murg Pulaaw Chicken Tandoori, Udad Kee Fareri Daal, Thandi Kheer, Kakadi Aur Sarada Auyr Soda Water, Pepsi Wagairah Udaaye Aur Baad Marne Ke Bhi Is Kee Farmaaish Kare, Unhien Sharm Aani Chaahiye.
Kya Ye Yazeediyat Ke Thekedaar Log Chicken Aur Chicken Pulaaw Ko Mana Karege, Aue Pyaare Rasool SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Oont Aur Daraaz Gosh Kee Sawaari Farmaayi Hai, Ye Yazeediyat Ke Thekedaar Na Gadhe Par Sawaar Nazar Aate Hai Na Aur Na Ye Yazeedi Oont Par Sawaar Dikhaayi Padte Hain. Ye BeKaar Farsuda Formule Waale Caaron Me Birajmaan Aate Hai, Aaj Agar Koi Kahe Ki Haay Rasool-E-Karim SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam To Itni Mamooli Sawaari Par Jalwa Gustar They Aur Aaj Ke Yazeedi Thekedaar Plane Aur Helicopter Me Ood Rahe Hain, Trainon Me Caron Me Bhaage Jaa Rahe Hai, To Kya Jawaab Denge Ye Bogas Naare Lagaane Waale Ki Qarbala Me Imam-E-Husain Un Ke Rufaqa Bhukhe Pyaase Rahe Aur Hum Khichada Aur Sharbat Khaaein Peeyein.
Khichada Aur Sharbat Is Muqaddas Nazariye Ke Saath Banaaya Aur Khaaya Piya Jaata Hai Jis Ko Islam Me Isal-E-Sawab Kaha Jaata Hai Aur Isaal-E-Sawaab Baharhaal Qur’an-E-Karim Aur Ahadith-E-Karima Kee Muqaddas Taalim Hai. Tafsilaat Ke Liye Dekhiye Faqir-E-Qadiri Kee Qutub :
(01) Suboot Isal-E-Sawab (02) Islam Me Isal-E-Sawab
Aik Chaalaak Yazeedi Ne Taaziye Sharif Ka Rishta Taimoor Lang Badshah Se Jod Kar Taaziye Sharif Se Apani Bhadaas Nikaali Hai Aur Yaha’n Tak Likh Maara Hai Ki Ye Yazeed Ke Mahal Me Qatl-E-Husaini Ka Jash Manaaya Gaya Tha Aur Waha’n Dhol Taashe Baje They Lihaaza Yeh Aashiqa-E-Husaini Yazeede Paleed Kee Sunnat Par Amal Karte Hain. Aur Is Etemaad Se Likha Hai Jaise Ye Bhi Bajm-E-Yazeede Paleed Me Ba-Haisiyat Worker Maujood Tha Aur Langaada Isi Ke Gale Me Latka Huwa Tha.
Kitna Sangin Ilzam Hai Aashiqan-E-Husaini Par Aur Ushshaq-E-Husaini Ko Rah-E-Husaini Se Fisalaane Ka Kya Hee Shaatiraana Andaaz Hai. Agar Yazeed Ke Yaha’n Ye Sab Kuchh Huwa Bhi Tha Khoob Shaadiyaane Baje They Aur Ye Aaj Ke Yazeedi Chashmadeed Gawaah Bhi Hain To Woh Paleed Jaane Ya Us Ke Himaayati.
Hum To Mah-E-Muharram Ka Chaand Nazar Aate Hee Dhol Is Liye Bajaate Hain Ki Poori Duniya Ko Qarbala Ke Julm Kee Daastaan Maloom Ho Jaaye Ki Duniya Me Yahood Wa Nasaara Bhi Rahte Hain Ibn Saba Ke Chamche Bhi Rahte Hain. Kalma-E-Tayyiban Padhne Waale Bhi Aise Hote Hain Ki Jis Ka Kalama Padhte Hain Us Kee Aal Ko Tah-E-Tegh Bhi Karte Hain.
Woh Kalama Goh They Jo Aal-E-Nabi Ko Qatl Kiya
Woh Kalama Go’i Haqiqi Bhi Thi, Sawaal Yah Hai ?
Namaz Me Noomaaish Ke Taur Par Jin Par Durood Sharif Padhte Hain Maidan-E-Qarbala Me Unhin Par Tegh-E-Sitam Bhi Chalaate Hain Aur Bhookh Wa Pyaas Me Tadapa Tadapa Ke Qatl Karne Kee Shaqaawat-E-Do Jaha’n Haasil Karte Hain.
Woh Kounsa Saahib-E-Iman Hai Jo Yazeedi Niyat Se Dhol Bajaata Hai Ki Bahut Achchha Huwa Ki Nabi Ke Laalon Ka Qatle Aam Ho Gaya, Bahut Achchha Huwa Ki Nasl-E-Rasool Tabah Wa Barbaad Ho Gayi, Fatami Shahzade Ko Be-Basi Aur Be-Kasi Aur Dasht-E-Gurbat Nasib Huwa. Sachchaai Ye Hai Ki Husaini Jiyaalon Ka Dhol Ba-Aawaj-E-Buland Elaan Karta Hai Ki Yazeedi Huqoomat Dhol Ka Pol Thi, Yazeedi Mission Dhol Ka Khol Hai.
Elaan Ke Dhol Bajaana Az Roe Shareeat Jaaiz Hai
Saiyadana Sultan-ul-Hind Garib Nawaz Ajmeri RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Aastana-E-Aaliya Par Yakum Rajab Ko Urs Ka Elaan Ba-Zariye Dhol Taasha Hota Hai Aur Dhol Taasha Hee Bajaaya Jaata Hai. Tamam Duniya Ka Musalman Is Elaan Ki Lagbhag Aath Sou Saal Se Sun Raha Hai Dekh Raha Hai. Saiyadana Huzoor Makhdoom Ala-ud-Deen Sabir-E-Pak Kaliyari RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Yaha’n Bhi Elaan-E-Urs Sharif Dhol Taashe Ke Saath Hee Hota Hai Jo Aaj Bhi Jaari Hai. Aaiye Hawaale Ke Liye Aur Dekhe Ki Elaan Ke Liye Dhol Bajaana Az Roe Shareeat Kaisa Hai.
Hawala : Naubat Bajaana Agar Tafaakhur Ke Liye Ho To Na-Jaaiz Hai Aur Logon Ki Is Se Mutaanabbe Karna Maqsood Ho Nafkhaate Saur Yaad Dilaane Ke Liye Ho To Teen Waqton Me Naubat Bajaane Kee Ijaazat Hai, Baad-E-Asar, Baad-E-Isha Aur Baad Nisf Shab, Ki In Owqaat Me Naubat Ko Nafkh-E-Sor Se Mushaabahat Hai. Ye Niyyat Bahut Achchhi Hai. Agar Naubat Bajaane Waale Ko Bhi Is Ka Dhyaan Ho Aur Kaash Sun’ne Waale Ko Bhi Naubat Kee Aawaaz Sun Kar Nafkaht-E-Sour Yaad Aayein, Magar Is Zamaane Me Aise Log Kaha’n, Yaha’n Naubat Se Maksood Dhoomdhaam Aur Shaadi Byaah Kee Raunak Wa Zeenat Hai.
[Bahar-E-Shariat, Jild-16, Safah-110-111]
Hawaala : Eid Ke Din Aur Shaadiyon Me Daff Bajaana Jaaiz Hai Jab Ke Saade Daf Ho Is Se Jhaajh Na Ho Aur Qawaaid-E-Mausiqi Par Na Bajaaye Yaaein Yaani Dhab Dhab Kee Be-Soori Aawaaz Se Nikaah Ka Elaan Maqsood Ho. Logon Ko Bedaar Karne Aur Khabardaar Karne Ke Iraade Se Bigul Bajaana Jaaiz Hai Jaise Hamam Me Bigul Is Liye Bajaate Hain Ki Logon Ko Ittila’ Ho Jaaye Ki Hamaam Khul Gaya. Ramzan Sharif Me Sehri Khaane Ke Waqt Baaz Shahron Me Naqqaare Bajte Hain Jis Se Ye Maqsood Hota Hai Ki Log Sehri Ke Liye Bedaar Ho Jaayein Aur Unhien Maloom Ho Jaaye Ki Abhi Sehri Ka Waqt Baaqi Hai, Ye Jaaiz Hai Ki Ye Soorat Lehw-O-La’ab Me Daakhil Nahin.
[Bahar-E-Shariat, Jild-16, Safah-111, + Kanoon-E-Shariat, Jild-02, Safah-221]
Yah Fiqah Kee Kitabein Hain In Me Mut’addad Qayood Ke Ba-Wajood Baray-E-Elaan Wa Ittila Naubat Bajaane, Daff Bajaane, Bigul Bajaane, Naqqaara Bajaane Ko Jaaiz Hee Bataaya Hai.
Elan-E-Husaini Me Dhol Ke Istemal Ko Na-Jaaiz Kahne Waale Kaha’n Kaha’n Dhol Bajaane Aur Bajawaane Kee Fiqr Me Hai Is Ko Padhiye.
Azaan Jo Nazam Se Pehle Hoti Hai Is Ke Maayne Elaan Wa Ittela’ Ke Hain Aur Azaan Wa Iqaamat Ke Darmiyaan Jo Tasweeb Hoti Hai Jis Ko Urf-E-Aam Me Salaat Bhi Kahte Hain Is Tasweeb Ke Kya Maana Hain ? Padhiye :
Hawaala : Tasweeb Ke Maana Hai Aik Ittela Ke Baad Doosari Ittela’ Dena. Matlab Ye Ki Aazaan Jo Ba-Zaate Khud Jama’at Kee Ittela’ Hai Is Ke Baad Namaziyon Ko Jama’at Kee Tayyari Kee Ittela Dee Jaa Sakti Hai. Ye Soorat-E-Haal Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala Alayhim Aj’maeen Ke Muqaddas Waqt Me Nahin Thi Magar Kyun Ki Umooman Logon Me Susti Paida Ho Gayi Hai. Is Liye Ye Soorat Jaaiz Qaraar Dee Gayi Hai. Is Ka Haasil Yahi Hai Ki Jama’at Ke Tayyar Hone Ki Ittela’ Munaasib Tareeqe Par De Dee Jaaye.
[Noor-ul-Isabah, Safah-45]
Is Hawaale Ka Maqsad Yahi Hai Ki Azaan Aur Taqbeer Ke Darmiyan Aik Aur Elaan Kar Diya Jaaye Aur Namaziyon Ko Ittela’ De Dee Jaaye Aur Namaziyon Ko Ittela’ De Dee Jaaye, Is Elaan Wa Ittela’ Ko Tasweeb Kahte Hain Aur Jama’at Tayyar Hone Kee Ye Ittela’ Munaasib Tareeqe Se Musalmaon Ko De Dee Jaaye, Woh Munaasib Tareeqe Kya Kya Ho Sakte Hain Is Ko Bhi Gaur Se Padhiye.
Hawaala : Asl Is Baab Me Yeh Hai Ki Azan Aur Namaz Ke Darmiyan Logon Ko Namaz Ke Liye Bulaane Aur Jama Karna (Kisi Mut’aaraf Jariye Se) Masha’ikh Wa A’imma Ne Ba-Zaroorat Balki (01) Mustahasan Qaraar Diya Hai Jis Ko Istelaah Me Tasweeb Kahte Hain Kyun Ki Musalmanon Me Roz Afazoo’n Ghafalat Is Kee Mutaqaazi Hai Ki Baar-Baar Tambeeh Kee Jaayein Aur Is Tambeeh Ke Liye Masaaikh Rahmahum-ul-Allahu Ne Koi Khaas Tareeqa Muqarrar Nahin Farmaya Balki (02) Har Zamaane Aur Har Jagah Ke Urf Par Chhoda Hai Ki Jo Chiz Logon Me Mut’aaraf Ho Jaaye Wohi Har Jagah Aml Me La’i Laaye Aur Ba-Ainehi Aisa Hai Jaise Ramzan-E-Mubarak Me Ibteda Aur Inteha-E-Sahar Ke Liye Har Shahar Wa Kasbe Me Apne Urf Ke Muwaafiq Mukhtalif Sooratein Ikhteyaar Kee Jaati Hai. Kahi Ghanta Bajaate Hain Kahin, Kahin Naqqaara Tabal, Kahin Gola Wa Top Chhodi Jaati Hai Aur Umooman Fuqaha Ne Is Ko Jaaiz Wa Mustahasan Qaraar Diya Hai. Ila Aakhirihi.
[Fatawa-E-Darul Uloom Dewbadn, Jild Awwal Wa Doyam Safah-70]
Tasweeb (Salaat) Ka Tafseeli Mas’ala “Nawafil-E-Intekhab Urf Azaan Wa Aqaamat Ke Darmiyan Tasweeb” Aur “Madari Sharif” Ke Bab-ut-Tasweeb Me Mulaahiza Farmaye. Magar Yaha Ye Jaante Chaliye Ki Mazkoora Ibaarat Me Jama’at Kee Tayyari Kee Ittela Aur Elaan Ke Liye Masjid Me Ghanta Bhi Bajaaya Ja Sakta Hai Aur Naqqaara Wa Tabal Bhi, Ab Is Silsile Me Kisi Bhi Herpher Ko Hum Bardaasht Nahin Kar Sakte, Hum To Dhol Taashe Ke Zariye Pyaare Nabi Ke Pyaare Nawaase Kee Qurbaniyon Aur Un Ke isaar, Deen Nawaazi Ka Elaan Karte Hain, Jo Bila Shuba Jaaiz Hee Nahin Balki Mustahab Aur Kaar-E-Khair Baais-E-Ajar Wa Sawaab Hai. Ab Khud Pyaare Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Farman-E-Aalishan Bhi Mulaahiza Kar Liya Jaaye To Aap Ko Haqiqi Irfaan Milega Ki Elaan Ke Liye Daff Bajaana Hukm-E-Rasool Hai.
Hadith Sharif : Saiyadatuna Ummul Momineen Hazrat Aaysha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki Pyaare Rasool-ul-Allah Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Elaan Karo Tum Is Nikaah Ka Aur Kiya Karo Tum Nikaah Masjdon Me Aur Bajaaon Is Mauqe Par Dafaon Ko.
[Tirmidhi Sharif]
Hadith Sharif : Saiyadana Hazrat Mohammad Bin Haatib RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Unhone Farmaya Ki Farmaya Pyaare Rasool-ul-Allah Nabi SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Ki Farq Nikaah-E-Halaal Aur Nikaah-E-Haraam Ke Darmiyan Daf Bajaane Aur Aawaaz Hai Nikaah Me.
[Nisaai Sharif]
In Donon Ahadith-E-Karima Kee Roshani Me Baat Bilkul Saaf Ho Gayi Ki Elaan Ke Liye Daf Ka Bajaana Hukm-E-Rasool Hai. Daf, Tabla Ye Tamam Ke Tamam Elaan Me Durust Hain. Gulaman-E-Husaini In Ke Zariye Elaan Wa Tash’heer-E-Ziqr-E-Shahadat-E-Husaini Karte Hain, Mahoul Ko Garmaate Hain Jo Bila Shubaah Sawaab Ka Kaam Hai. Mah-E-Muharram-ul-Haram Ke Pahle Ashre Me Dhol Taasha Bajaane Ka Rishta Yazeede Paleed Se Jodana Ye Yazeediyon Kee Sochi Samjhi Scheme Ka Aik Taarik Hissa Hai Aur Mah-E-Muharram-ul-Harma Ke Pahle Ashre Me Dhol Taasha Bajaana Bara-E-Elaan-E-Ziqr-E-Shahadt-E-Husaini Husainiyon Kee Sochi Samjhi Aqidaton Se Aaraasta Deen Wa Sunniyat Ko Doodhiya Chaandani Me Naahyi Scheme Ka Roshan Hissa Hai.
Musalman Gharon Me Ho Aur Jaha’n Ashra-E-Muharram Me Dhol Taashe Kee Aawaaz Aayi Aashiqan-E-Husaini Betaabaana Ishq-O-Aqidat Ka Nazraana Liye Taaziya Dekhne Ko Gharon Se Baahar Aa Jaate Hain Aur Taaziye Sharif Kee Ziyarat Karte Hain Aur Aansunon Ka Khiraz-E-Aqidam Pesh Karte Hain. Chunanche Aashiq-E-Panjatan Saiyadana Huzoor Haafiz Haazi Waaris Ali Shah Dewa Sharif RadiyAllahu Ta’ala Anhu Wa Digar Aqaabirin-E-Millat Ka Yehi Andaz-E-Aashiqana Un Kee Sirat Wa Hayaat Par Mushtamil Kitabon Me Maujood Hai.
Yazeedi Tash’heer-E-Husaini Ko Roke Aur Jitna Zor Hai Sab Laga De Woh Nakaam Wa Na-Muraad Hee Rahege. Guzishta Sou Saal Ka Tajurba Shaahid Hai Ki Yazeedi Soormaaon Ne Ghode Khol Liye Magar Apne Yazeedi Mission Me Qaamyaab Na Ho Sake Ki Gulaman-E-Husiani Fidayan-E-Aal-E-Rasool Apne Husaini Mission Me Lage Huwe Hain Aur Ishq-E-Husaini Ke Chiraag Roshan Kiye Huwe Hain.
Timtimaata Hai Kahin Koi Diya Tera Yazeed
Aur Har Ek Qalb Me Hai Shamm-E-Husaini Roshan
Saiyadana Hazrat Shah Saiyad Abd-ur-Razzaque Baansawi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya :
“Taaziye Ko Koi Ye Na Samjhe Ki Mahaz Kaaghaz Aur Panni Ka Bana Huwa Hai Balki Arwah-E-Muqaddasa Shuhda-E-Qarbala Kee Tawajjo Khaas Hoti Hai.”
[Karamat-E-Razzaquiya, Deen-E-Muhammadi Wa taaziyadaari]
Hazrat Allama Maulana Slamat Ali Dehlwi Tilmiz-E-Rasheed Saiyadana Hazrat Shah Abd-ul-Azeez Muhaddith Dehlwi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya :
“Khuda Ka Shukr Hai Ki Taaziyaadari Aasaar-E-Islam Me Hai Aur Aik Aalam Bahut See Wajhon Se Behraawar Hota Hai Aur Is Se Deeni Faayde Haasil Hote Hain.”
[Tabrirat-ul-Iman, Deen-E-Muhammadi Wa Taziyadari]
Aarif-E-Yagana Saiyadana Hazrat Maulana Shah Niyaaz Ahmad Barelwi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Jo Jaleel-ul-Qadr Buzurgan-E-Deen Me Se Hain Aap Kee Sirat-E-Tayyaba Taaziye Sharif Se Muta’lliq Kya Dars Deti Hai Ise Padhiye Aur Wajd Kijiye :
“Shab-E-Aashoora Me Do Baje Taaziyon Kee Ziyarat Ko Tashrif Le Jaate Aur Paanch Saat Taaziyon Kee Zyarat Kar Ke Waapas Aate, Akhir Umr Me Jab Chalne Kee Taaqat Na Rahi To Hazrat Mustgharaq Baythey They Ki Soorat-E-Noorani Hazrat Fatimah Zahra Saiyada RadiyAllahu Ta’ala Anha Kee Tashrif Aawari Huwi Aur Farmaya Ki Miya Aaj Hamare Bachchon Kee Zyarat Ko Na Uthoge. Hazrat Shah Niyaaz Par Riqqat Taari Ho Gayi. Khudaam Ko Hukm Huwa Ke Hum Ko Le Chalo. Arz Kiya : Huzoor Chaarpaai Par Le Chalein ? Farmaya : Nahin, Paidal Le Chalon. Chunanche Khudaama Ne Donon Jaanib Se Bagalon Me Kandha Diya Aur Hazarat Ne Paanch Taaziyon Kee Zyaarat Kee Aur Akheer Umr Tak Aap Ka Yahi Haal Raha. Aik Martaba Soorat Ke Rahne Waale Aik Aalim-E-Deen Hazrat Shah Niyaaz Barelwi Ke Hamraah Huwe, Hamesha Kee Tarah Hazarat Kee Ye Aadat Thi Ki Taaziye Ke Takht Ko Haath Laga Kar Apne Moonh Aur Qalb Par Phairte They Magar Is Martaba Hazrat Ne Taaziye Ke Takht Ko Bosa Diya. Is Par Maulvi Sahab Ke Dil Par Khayaal Guzara Kee Hazrat Ne Ye Kya Ghazab Kiya, Hazrat Ne Un Ke Khataraat-E-Qalbi Par Aagaah Ho Kar Un Se Taaziya Dekhne Ko Kaha, Maulvi Sahab Ne Dekha Ki Taaziye Kee Donon Jaanib Hazrat Imam-E-Hasan Aur Hazrat Imam-E-Husain Ala Nabiyyena Wa Alaihissalato Was-SalamTashrif Rakhte Hain, Aik Libaas Sabz Aur Doosare Ka Surkh Hai. Maulvi Sahab Ko Taab-E-Mushaahada Na Huwa, Geer Pade Aur Un Par Be-Had Riqqat Taari Ho Gayi, Yaha’n Tak Ki Lautne Lage. Hazrat Waha’n Se Doosare Taaziye Kee Taraf Tashrif Le Gaye.”
[Karamat-E-Nizamiya, Mukhzan-ul-Khaza’in, Safah-336, Deen-E-Muhammadi Aur Taziyadari]
In Jaisi Bahut See Shahadatein Hazarat-E-Ulama-E-Kiram Wa Awliya’-E-Ezaam Kee Maujood Hain Jinhone Khwaab Me Nahin Balki Baidaari Me, Behosi Me Nahin Balki Hosh Wa Hawaas Kee Durustagi Me Dil Kee Aankhon Ke Saath-Saath Maathe Kee Aankhon Se Taaziye Sharif Ko Hazaraat-E-Hasnain Kareemain Ko Kandha Dete Mulahiza Farmaya Hai.
Abhi Yazeediyon Ke Tarqash Me Aik Teer Aur Bhi Baaqi Hai. Woh Ye Ki In Qashf Wa Karaamaat Se Islam Ka Koi Mas’ala Saabit Nahin Kiya Jaa Sakta. To In Tamama Yazeediyon Ko Faqir-E-Qadiri Ka Sujhaaw Hai Ki Bila Shuba Qashf Wa Karaamaat Se Deen Ke Kisi Mas’ale Ka Suboot Nahin Ho Sakta Magar Deen Ke Kisi Mas’ale Kee Ta’eed Wa Tasdiq Jaroor Ho Sakti Hai Aur Is Kee Kisi Ko Majaale Inkaar Na Hogi. Chunanche Qur’an-E-Karim Aur Fuqaha Se Istedalaal Karte Huwe Jab Taaziye Ka Jawaaz Wa Istehbaab Saabit Kar Diya To Is Kee Majeed Tasdeeq Wa Ta’eed Qashf Wa Karaamaat Se Bhi Kar Dee Aur In Khaasaan-E-Khuda Ke Maamoolaat Bhi Khuda Raseeda Hote Hain. Kyon Ki Inhin Maamoolaat Se Inhein Khuda Rasi Milti Hai. Is Haqiqat Ko Bhi Qur’an-E-Karim Kee Roshani Me Mulaahiza Farmaayein. Irshad-E-Rabb-E-Qadir Hai :
“Aur Pairwi Kar Too Raaste Kee Us Ke Jo Pahunch Gaya Mujh Tak.”
[Basirat-ul-Iman, Safah-994]
Qur’an-E-Karim Ke Is Saraahat Ke Baad Kisi Ko Poon Pon Ka Mouqa Nahin Hai, Khaasan-E-Khuda Kee Pairwi Un Kee Itteba Un Ke Nuqoosh-E-Qadam Ko Choomna Allah Ta’ala Tak Pahunchane Ka Khaas Jariya Hai.
Khaasaan-E-Khuda Ne Taaziye Se Kisi Qadar Waanbastagi Ka Muzaahara Farmaya Hai Is Ka Andaaza Is Se Lagaaya Ja Sakta Hai :
“Shaykh-E-Aazam Hazrat Allama Shah Shaiyad Mohammad Izhaar Ashraf Sahab Ashradi Jilaani Sajjadaanashi Kachhouchha Sharif Ne Ashrafi House Muradabad Sharif Me Aik Waaqiya Bayan Farmaya Ki Wali-E-Kamil Hazrat Saiyad Shah Shahbaz Bhagalpoori RadiyAllahu Ta’ala Anhu Taaziye Sharif Ke Khilaaf They Aur Bhagalpoor Me Taaziyedaari Dhoom-Dhaam Se Hoti Thi, Bhaagalpoor Ke Aksar Saakinaan Aap Ke Mureed They. Daswi’n Muharram Thi Aik Mureed Ne Arz Kiya Ki Huzoor Taaziyedaari Aap Ke Mureedeen Hee Karte Hain Aur Aap Us Ke Khilaaaf Hai Is Ko Hukm De Kar Band Kara Deejiye. Aap Ko Jalaal Aa Gaya Aur Apana Lath Le Kar Chal Deeye Ki Aaj Saare Taaziye Ko Tod Daalunga, Magar Jab Taaziye Ke Qareeb Pahunche To Aap Kee Aankhon Ka Saagar Chhalakne Laga Aur Aap Haath Baandh Kar Khade Ho Gaye Aur Aap Ne Bhi Taaziye Ko Kaandha Diya. Jab Taaziye Ka Juloosh Guzar Gaya To Usi Mureed Ne Arz Kiya Ki Aap To Taaziyon Ko Todne Gaye They Magar Aap Paikar-E-Adab Ban Kar Taaziyon Kee Ziyaarat Me Masroof Ho Gaye. To Saiyadana Hazrat Shahbaz Ne Farmaya Ki Main To Apne Programe Hee Se Gaya Tha, Magar Mein Kya Karoo’n Ki Mein Ne Dekha Ki Saiyadana Saiyad-ush-Shuhada Imam-E-Aali Maqaam Shaheed-E-Aazam Huzoor Imam-E-Husain Alayhissalam Juloos-E-Taaziya Ke Saath Khud Chal Rahe Hain. Jab Daada Jaan Kaandha De Rahe They To Pote Ne Bhi Kaandha Diya Aur Mein Ne Faisala Kar Liya Hai Ki Kabhi Taaziyon Kee Mukhaalifat Nahin Karunga.”
[Need-E-Ahl-E-Sunnat Weekly, 21 February 2003]
Bayan-E-Waqie Ke Waqt Faqir-E-Qadiri Ke Alaawa Azizi Sher Beshaae Ahl-E-Sunnat Allama Hafiz Qaari Al-Haj Mufti Saiyad Mohammad Intesaab Husain Qadiri Ashrafi Madari Naazim-E-Aala Markaz-E-Ahl-E-Sunnat Jamea Qadiriya Muradabad Sharif, Mohseen-E-Ahl-E-Sunnat Janab Al-Haaj Haafiz Mohammad Muslim Ashrafi Exporter Wa Deegar Musalamanan-E-Ahl-E-Sunnat Maujood They.
Is Roohaani Silisle Kee Aik Kadi Aur Bhi Mulaahiza Farma Lijiye Ki Khaasaan-E-Khuda Ne Taaziye Sharif Se Kis Qadar Sheftagi Ka Muzzahara Farmaaya Hai Ki Buzurgan-E-Deen Ne Badi Paabandi Ke Saath Taaziyon Kee Zyaarat Ka Ehtamaam Farmaya Hai, Chunanchi :
“Saiyad Taaj-ush-Shurafa Huzoor Qibla-E-Aalam Allama Saiyad Mohammd Abd-ul-Rasheed Miya Nabira-E-Saiyadana Huzoor Allahu Miya Ne Farmaya Ki Saiyadana Taaj-ul-Urafa Gauth-E-Zama’n Allama Shah Saiyad Mohammad Abd-ul-Baseer Miya Urf Allahu Miya RadiyAllahu Ta’ala Anhu Pilibhit Sharif Shab-E-Shahadat (Daswi’n Raat) Ko Baad-E-Namaz-E-Isha Gushl Farmate Aur Naye Kapade Zeb-E-Tan Farmaate Aur Khushboo Istemaal Farmaate Aur Apne Shahzada-E-Waala Shaan Aur Khulafa-E-Kiram Aur Mureedeen Ko Saath Lete Phir Pilibhit Sharif Ke Taaziyon Kee Zyaarat Karte Aur Har Taaziye Ke Paas Faatiha Sharif Padhte, Der Raat Ko Waapas Tashrif Laate, Thoda Aaraam Farmaate Phir Namaz-E-Tahajjud Ada Farmate.”
Saiyadana Sarkar Allahu Miya’n, Saahib-E-Tasnif Jabardast Aalim-E-Deen Aur Aarif-E-Haque Hain, Bahut See Darsi Kitabon Par Aap Ke Qalami Hawaashi Hain. Aap Ko Az AamadNaama Ta Bukhaari Sharif Poora Dars-E-Nizaami May Hawaashi Hifz Tha.
“Saiyadana Taaj-ush-Shurafa Huzoor Qibla Aalam MaddZillaHul Noorani Pilibhit Sharif Me Ba-Zariye Car Mohalla Sher Mohammad Se Guzar Rahe They To Aap Ne Mujh Faqir-E-Qadiri Se Mukhaatib Ho Kar Farmaya Ki Is Masjid Ko Pahchaante Ho ? Mein Ne Arz Kiya Ki Yahi Pahchaanta Hoo’n Ki Ye Masjid Hai. Aap Ne Farmaya Ki Is Masjid Me Das Moharram Sharif Ko Baad Namaz-E-Zuhar Saiyadana Taaj-ul-Awliya’ Huzoor Qutb-E-Zama’n Hazrat Allama Al-Haaj Shaah Saiyad Mohammad Abd-ul-Qadir Miya’n Shehzad-E-Saiyadana Huzoor Allahu Miya RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Is Masjid Kee Faseel Par Raunaq Afroz Hote Aur Hamein Bhi Apne Saath Lete Aur Digar Khulafa Wa Mureedeen Bhi Humraah Hote Aur Aap Faseel Par Baythey Rahte, Isi Masjid Ke Aage Se Taaziyon Ka Juloos Guzarta Tha, Jab Juloos Aata To Aap Khade Ho Jaate Aur Taaziyon Kee Zyarat Farmaate Aur Aankhein Baargah-E-Husaini Me Khiraz-E-Aqidat Pesh Karti. Jab Tak Poora Juloos-E-Taaziya Sharif Na Guzar Jaata Aap Khade Khade Zyaarat Farmaate.”
Saiyadana Taaj-ul-Awliya’ Paikar-E-Elm Wa Irfan Tehy, Aap Ke Saathiyon Me Se Aik Saathi Saiyadana Makhdoom-ul-Ummat Huzoor Muhaddith-E-Aazam-E-Hind Kachhouchhawi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Zaat-E-Giraami Bhi Thi. Huzoor Taaj-ul-Awliya’ Ko Dars-E-Nizami Kee Aksar Wa Beshtar Kitabein Hifz Thi.
Duniya-ERoohaniyat Kee Abqari Shakhsiyat Aalam Panah Saiyadana Huzoor Hafiz Haaji Waaris Ali Shah Dewa Sharif RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Irshad Wa Amal Bhi Mulaahiza Farmayein.
“Khabardaar ! Taaziye Ko Koi Ye Na Samjhe Ki Khaali Kaagaz, Panni Aur Baans Kee Khapachchiyon Ka Dhaancha Hai, Malhooz Rahe Ki Arwah-E-Qudsiya Saiyad-ush-Shuhada Ala Nabiyyina Wa Alayhissalato Was-SalamAur Jumla Shuhda-E-Qarbala Is Taraf Mutawajjeh Hoti Hain. Waris-E-Pak Aalam Panaah Maah-E-Muharram Me Taaziyekhaanon Me Jaate They, Jab Taaziyadar Taaziyon Ko Le Kar Chale Jaate They To Huzoor Waris-E-Paak Hujare Ke Andar Tashrif Le Jaate They, Taaziye Ko Dekhte Waqt Chehra-E-Anwar Kee Ajeeb Haalat Mushaahde Me Aati Thi Aur Der Tak Huzoore Anwar Aalam-E-Sukoot Me Rehte They. Ashara-E-Muharram Aur Chehloom Ke Roz Aastana-E-Aali Par Sabeel Rakhi Jaati Thi, Gharra-E-Muharram Aur Ashara-E-Muharram Tak Aap Aap Marsiye Bhi Sunte They Aur Ahl-E-Bait-E-Kiram Kee Muhabbat Aur Shuja’at Wa Bahaaduri Ke tazkare Sama’at Farmate They.”
[Mishkat-E-haqaniya, Safah-110]
Agar Isi Tarah Waaqiat Tahrir Kiye Jaaein To Safhaat Ke Hisaab Se Tarikh Kee Sab Se Badi Kitab Tayyar Ho Jaaye Magar Qaarein Kee Mazeed Tasalli Wa Tashaffi Ke Liye Aik Riwayat Aur Nakl Kar Dee Jaaye Taaki Bahut Se Sawaalaat Ka Jawaab Ho Jaaye.
“Elm Wa Aagaahi Ke AaftabSaiyadana Huzoor Sadarool Afaazil Imam Saiyad Mohammad Naeem-ud-Deen Muradabadi RadiyAllahu Ta’ala Anhu Taaziya Banaane Me Paabandi Se Chanda Diya Karte They Aur Aap Hee Ke Mureedeen Wa Motaqedeen Wa Mutawasselin Ahl-E-Muhalla Aap Ke Maali Ta’aawun Se Taaziya Sharif Banaate They. Guzishta Saal Aik Taqreeb Ke Mauqe Par Mujh Faqir-E-Qadiri Ne Baqiyyat-us-Salf Hazrat Maulana Saiyad Mohammad Izhar-ud-Deen Sahab Naeemi Urf Hanafi Miya Sajjada Nashin Aastaana-E-Aaliya Naeemiya Wa Mutaawalli Jaamea Naeemiya Wa Khalf-E-Asghar Huzoor Sadarool Afakzil Se Daryaft Kiya Ki Kya Huzoor Sadarool Afaazil Taaziya Banane Me Chanda De Kar Taaziya Saazi Me Shariq Hote They ? To Aap Ne Farmaya Ki Mere Waalid-E-Maajid (Huzoor Sadarool Afaazil) Hamesha Taaziya Banaane Me Chanda Dete They Aur Aap Ne Apani Poori Zindagi Me Kabhi Taaziye Kee Mukhalifat Na Kee.”
[Needa-E-Ahl-E-Sunnat, Weekly, 21 February 2003]
Taaziya Banaane Waalon Kee Raahon Me Aira Gaira Nahin Balki Elm Ka Aaftaab Irfaan Ka Maahtaab Kirnein Aur Shuaaein Bikherta Hai Aur Apne Naqd Amal Se Taaziye Ke Jawaaz Wa Istehbaab Par Muhar-E-Tasdeeq Sabt Kar Raha Hai, Ab Is Taaziye Sharif Ke Haque Hone Me Kya Kasar Baaqi Hai ?
Faqir-E-Qadiri Ne Jaha Tak Mahsoos Kiya Hai Taaziye Sharif Kee Mukhalifat Me Yahood Wa Nasaara Kee Saajish Kaarfarma Hai. Kyon Ki Yahood Wa Nasaaara Kisi Bhi Aise Kaam Ko qubool Wa Pasand Nahin Karte Jis Se Islami Shaan Wa Shauqat Ka Muzaahara Ho Aur Musalmanon Ke Deeni Jazbaat Me Ubhaar Aaye. Jazba-E-Jihaad Me Jawaaani Aur Bedaari Paida Ho. Nabi Aur Aal-E-Nabi Aur As’hab-E-Nabi Ka Waqaar Dilon Me Mazboot Ho. Woh Is Ke Khilaaf Plannig Karte Hee Rahte Hain Aur Apne In Manhoos Mansoobon Ke Liye Ulamae So Ko Aala-E-Kaar Banaate Hain Aur Ye Formule “Saabit Nahin Hai, Shirq Wa Bid’at Hai, Fisq Wa Fajoor Hai.” Ke Zariye Musalmanon Ko Achchhe Kaamon Se Rokte Hain Aur Ye Bhi Bhool Jaate Hain Ki Hamaare Aslaaf-E-Kebaar Ka Kya Kirdaar Hai Aur Unhone Kis Sirat-E-Mustakim Par Chal Kar Manzil-E-Maqsood Ko Paaya Hai.
Makanpoor Sharif, Ajmer Sharif, Kaliyar Sharif, Dehli Sharif, Kachhauchha Sharif, Maarehra Sharif, Dewa Sharif, Pilibhit Sharif Aur Muradabad Sharif Tamam Hee Khanqahon Me Taaziyedaari Poori Aqidat Wa Niyaazmandi Ke Saath Jaari Wa Saari Hai.
Baaz Khanqahe Aisi Bhi Hai Jinhein Yazeedi ‘Loo’ Lag Gayi Hai Aur Woh Taaziyedaari Kee Sa’adat Se Mahroom Hain Aur Kuchh Khanqqahe Hain Jo Taaziye Sharif Kee Mukhalifat Me Sargarme Aml Hain Aur Taaziye Ke Khilaaf Alam-E-Baghaawat Buland Kiye Huwe Hain. Abhi Chand Saal Qabl Faqir-E-Qadiri Ke Halqa-E-Iraadat Wa Beat Se Aik Istifta Aaya. Faqir-E-Qadiri Ne Ujalat Me Aik Jawaab Likha Jo Needa-E-Ahl-E-Sunnat Weekly Me Chhap Chuka Hai. Jis Ko Poore Mulk Me Photo State Kara Kar Laakhon Kee Ta’daad Me Taqseem Kiya Gaya Hai Woh Istifta Aur Fatwa Bhi Nazar-E-Qarein Hai :
“Kya Farmate Hain Ulama-E-Deen Wa Muftiyan-E-Shar-E-Mateen Is Baare Me Ki
(01)Saiyadana Huzoor Aali Maqaam Shaheed-E-Aazam Hazrat Imam-E-Husain Alaihissalam Ke Jashn-E-Shahadat Ke Elaan Wa Tash’heer Ke Liye Taaziya Banana Dhol Bajaana Kaisa Hai ?
(02) Taaziye Sharif Ke Saamne Huzoor Imam-E-Aali Maqam Shaheed-E-Aazam Wa Deegar Hazaraat-E-Ambiya-E-Kirma Wa Awliya’-E-Ezaam Wa Kool Momineen Wa Momenaat Ka Isal-E-Sawab Wa Faateha Karna Kaisa Hai ? Baaz Log Is Ko Mana Karte Hain Aur Kahte Hain Ki Aisa Karne Se Pata Nahin Log Kya Sajhenge ?
(03) Taaziye Ka Ehtaraam Karna Kaisa Hai ?
(04) Taaziyon Ko Dafn Karna Kaisa Hai ?
(05) Yazeede Paleed Ko Kaisa Samajhna Chaahiye ? Is Silsile Me Huzoor Imam-E-Aazam Aboo Hanifa RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ka Kya Maslak Hai ?
Mufassal Jawaab Inaayat Farmaayein Karam Hoga.
Ghulaaman-E-Qadiri, Matayaal Raaj Mahal Jila Saahibganj Jhaarkhand
Al-Jawaab : (01) Aam Taur Par Musalman Apne Jalson, Conference, Shaadi Byaah Ke Mauqe Par Jhandon, Jhaalaron Ka Aik Ehtamaam Karte Hain Aur Mukhtalif Qism Kee Sajaawat Karte Hain Aur Is Ka Maqsad Sirf Tashaheer Hee Hota Hai Taaki Aane Jaane Waale Samajh Jaayein Ki Aaj Koi Taqreeb Hai. Jsi Meyaar Kee Sjaawat Hogi Usi Meyaar Kee Shohrat Bhi Hogi. Ye Sajaawat Dar-Asal Propagande Kee Hee Aik Shaql Hai Aaj Is Tash’heer Par Laakhon Rupiya Kharch Kiya Jaata Hai, Jalsa Gaahon Ko Sajaaya Jaata Hai, Door-Door Tak Gate Lagaaye Jaate Hain. Jab Hum Apne Jalson Kee Shohrat Wa Pulblicity Ke Liye Ye Tareeqa Istemaal Kar Skate Hain To Shehzadgan-E-Mustafa SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Liye In Tareeqon Ka Istemaal Kaise Mana Ho Sakta Hai. Taaziya Saiyadana Hzoor Imam-E-Aali Maqaam Shaheed-E-Aazam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Jashn-E-Shahadat Kee Tash’heer Ka Zarrin Aur Mahboob Tareen Tareeqa Hai Aur Aslaaf-E-Kebaar Se Chala Aa Raha Hai. Aam Taur Par Buzurgan-E-Deen Ne Is Ko Qubool Wa Pasand Farmaya Hai Aur Taaziyon Kee Zyaarat Poore Ehtamaam Wa Ehteraam Ke Saath Farmaayi. Maazi Qareeb Me Saiyadana Huzoor Haaji Waris Ali Shah Dewa Sharif, Saiyadana Huzoor Allahu Miya Pilibhit Sharif, Saiyadana Huzoor Aala Hazrat Ashrafi Miya RadiyAllahu Ta’ala Anhum Ka Taaziyon Kee Zyarat Karna Adab Wa Ehteraam Ke Saath Mankool Hai. Akaabir-E-Marehra Sharif Bhi Taaziyon Kee Ziyarat Ko Jaaya Karte They. Saiyadana Huzoor Qibla-E-Aalam Shyakh-ul-Arabe Wa’i Ajam Murshid-E-Mohtaram Shabeeh-E-Saiyadana Huzoor Gauth-E-Aazam Hazrat Allama Al-Haaj Shah Saiyad Mohammad Abd-ur-Rasheed Miya Qibla Maddajillahun Noorani Sajjada Nashini Pilibhit Sharif Ne Irshad Faarmaya Ki Saiyadi Murshadi Taaj-ul-Awliya’ Qutb-E-Zama’n Hazrat Allam Al-Haaj Shaah Saiyad Mohammad Abd-ul-Qadir Miya Pilibhiti RadiyAllahu Ta’ala Anhu Taaziyon Kee Zyaarat Ko Tashrif Le Jaaya Karte They Aur Aaj Bhi Tamam Khanqahon Me Taaziyon Ka Ehtraam Hota Hai. Siwaaye Un Khaanqaahon Ke Jinhein Yazeediyat Kee “Loo” Lag Gayi Hai.
Taaziye Ka Rishta Ameer Taimoor Lang Se Jodana Ye Bhi Nari Jahaalat Hai Kyon Ki Hindustan Me Umooman Jo Taaziye Banaaye Jaate Hain Woh Saiyadana Huzoor Imam-E-Aali Maqaam Hazrat Imam-E-Husain Ke Roza-E-Paak Kee Shabeeh Nahin Hote.
Duniya Me Shohrat Ke Liye Tarah-Tarah Kee Tarqeebe Istemaal Kee Jaati Hai, Kuchh Log To Apne Jalson Wa Ijtema’at Kee Publicity Ke Liye Dilip Kumaar Ke Naam Tak Ka Istemaal Karte Hain Aur Wohi Log Jashn-E-Shahadat Ke Elaan Ke Liye Dhol Bajaane Ko Na-Jaaiz Kahte Hain. Elaan Ke Liye Dhol Taasha Wagairah Bajaana Bhi Bilashuba Jaaiz Hai. Is Ko Mana Karna, Haraam Bataana Deen Me Khuli Mudaakhalat Hai Aur Yazeedi Jazbe Ka Saamaan-E-Taskeen Hai. Aur Husainiyat Ko Mitaane Kee Aik Sochi Samjhi Scheme Hai. Ahl-E-Sunnat Ke Nazdiq Maatam Na-Jaaiz Wa Haraam Hai. Seena Kobi Ya Dhol Taashe Se Maatam Aur Elaan Me Zameen Wa Aasmaan Ka Farq Hai. Muharram Sharif Ka Jo Dhol Bajaaya Jaata Hai Woh Imam-E-Husain Kee Shahadat Kee Khushi Me Nahin Balki Elan-E-Husainiuyat Hai. Ye Dhol Taasha Na To Maatam Hai Aur Na Shadiyaane Ke Taur Par Bajata Hai Balki Ye To Sirf Elan-E-Jashn-E-Shahadat-E-Husain Hai.
(02) Taaziye Ke Saamne Arwah-E-Momineen Ko Islal-E-Sawaab Karna Durust Hai, Is Me Kisi Qism Kee Qabaahat Nahin Hai. Jaha Tak Is Yazeedi Falsafe Kee Baat Hai Ki Log Kya Samjhenge To Phir Mazaaraat Wa Quboor Par Bhi Faatiha Padhana Chhod De Ki Log Pata Nahin Kya Samjhenge Ki Musalman Marte Hee Khuda Ho Jaata Hai Aur Log Use Safed Kapada Pahna Kar Us Ke Saamne Haath Baandh Kar Khade Ho Jaate Hain. “Log Pata Nahin Kya Samjhenge” Agar Is Yazeedi Falsafein Ko Maan Liya Jaaye To Deen Se Amaan Uth Jaayega. Aamaal Ka Daaromadaar Niyyaton Par Hota Hai, Hamaari Niyyat Sirf Shohda-E-Qarbala Aur Kool Momineen Wa Momenaat Ko Isal-E-Sawaab Kee Hai Aur Is Me Sa’aadat Hee Sa’aadat Hai Kabaahat Ka Kya Sawaal ?
(03) Jis Chiz Ko Allah Waalon Se Nisbat Ho Jaati Hai Wa Muazzam Wa Mahboob Ho Hee Jaati Hai. Taaziye Ko Huzoor Imam-E-Aali Maqam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Nisbat Ho Gayi Hai Ki Ye Un Ka Saamaan-E-Tash’heer Hai To Is Kee Tash’heer Kaerna Imaan Waalon Ke Liye Zaroori Ho Jaata Hai. Jo Darya’n, Chaadarein Mahfil-E-Milad Sharif Me Bichhayi Jaati Hain Un Ka Bhi Adab Kiya Jaata Hai Aur Jo Safein Masjid Me Bichhayi Jaati Hain Un Kee Bhi Taazim Kee Jaati Hai. Lihaaza Taaziye Ko Huzoor Imam-E-Aali Maqam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Nisbat Ho Gayi Hai Is Liye Use Choomna, Aankhon Se Lagaana Ahl-E-Iman Ka Tareeqa Hai, Buzurgan-E-Deen Ne Taaziyon Kee Taazim Kee Hai Aap Bhi Karein Aur Yazeedi Maslak Ko Qubool Na Karein.
(04) Taaziyon Ko Dafn Karna Ye Bhi Taazim Kee Aik Shaql Hai, Jaise Qur’an-E-Karim Ke Auraaq Jab Boshida Ho Jaate Hain To Un Ko Gadhda Khod Kar Ya Phir Pooraani Qabr Me Dafn Kar Diya Jaata Hai Taaki In Auraaq Kee Be-Hurmati Na Ho. Taaziye Ko Chunki Saiyadana Huzoor Imam-E-Aali Maqam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Nisbat Ho Gayi Hai Lihaaza Is Ko Agar Yoon Hee Chhod Dege To Is Kee Be-Hurmati Ho Sakti Hai. Is Liye Is Ko Gadhda Khod Kar Dafn Kar Dete Hain Taaki Nabizaadon Se Nisbat Rakhne Waale In Kaaghaz Aur Khapachchiyon Kee Be-Hurmati Na Ho. Un Maqaamaat Ka Naam Jaha Taaziye Dafn Hote Hai Urf Me Qarbala Kaha Jaata Hai Is Me Bhi Koi Sharai Qabaahat Wa Mumaaneat Nahin Hai.
(05) Yazeede Paleed Pakka Be-Imaan Khabis Aur Shaitaan Tha. Yazeede Palid Ke Silsile Me Hazrat Imam-E-Aazam Aboo Hanifa RadiyAllahu Ta’ala Anhu Kee Koi Tahreer Faqir-E-Qadiri Kee Nazar Se Nahin Guzari Aur Deegar A’imma-E-Kiram RadiyAllahu Ta’ala Anhum Ne Is Kee Takfeer Farmaayi Hai.
Husaini Musalmanon Ko Chaahiye Ki Khoob Jam Kar Dat Kar Taaziya Banaaye Aur Shahadat-E-Husaini Kee Charcha Kare Aur Jagah-Jagah Majaalish-E-Ziqr-E-Shahadat Aur Langar Wa Sabeelon Ka Ihtimaam Karein Aur Dhake Chhupe Tamaam Yazeediyon Ko Un Kee Auqaat Bata De. Saiyadana Huzoor Imam-E-Aali Maqam Hazrat Imam-E-Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Apni Kaamil Waabastagi Aur Waaraftagi Ka Suboot De Aur Jo Bhi Taaziye Kee Mukhaalifat Karta Nazar Aayein Samajh Le Ki Ye Yazeedi Mission Ka Dildaadah Hai.
Mufti Saiyad Mohammad Intekhab Husain Qadiri Naeemi Ashrafi Madari Afa Anaahul Baseer
Faqir-E-Qadiri Ne Kitab “Taziya Sharif Ka Sharai Hukm” Saamaan-E-Tash’heer-E-Husaini Aur Dhol Taasha Bara-E-Elan-E-Ziqr-E-Shahdat-E-Husaini Aur Niyaz Wa Fatiha Kee Ittela’ Ke Ta’alluq Se Likhi Hai. Agar Taaziyadaari Ke Ta’alliuq Se Koi Na-Jaaiz Kaam Kiya Jaaye Jis Par Qur’an-E-Karim, Ahadith-E-Karima, Fiqah-E-Hanafi Ka Sarai Hukm Maujood Ho Us Se Se Mera Daaman Bari Hai Aur Ho Sakta Hai Ki Baaz buzurgan-E-Deen Ne Kisi Muqaam Par Taaziyadari Ke Naam Par Khuraafaat Dekhe Ho Aur Un Khuraafaat Hee Ko Taaziyedaari Khayaal Farma Kar Taaziyedaari Ko Mana Farmaya Ho To Woh Maajoor Hain. Un Par Koi Yazeediyat Ka Hukm Na Lagega. Jaisa Ki Baaz Jagah Taaziyon Me Dul-Dul, Bul-Bul, Ghoda, Kabootar Wagairah Jaandaar Kee Tasweere Ya Murtiya’n Banaayi Ya Lagaayi Jaati Hain, Ya Gujarat Me Log Baagh Yaani Sher Banaate Hain Aur Aadami Behrupiyepan Ka Muzaahera Karta Hai Aur Gharon Me Chhalaag Maar Kar Ghus Jaata Hai Is Qism Kee Na-Jaaiz Harqaat Ka Na To Islam Se Koi Ta’alluq Hai Aur Na Hee Huzoor Imam-E-Aali Maqam Se Koi Rishta Aur Na Hee Kisi Husaini Buzurg Ne Is Kee Ta’eed Wa Himaayat Farmaayi Hai Aur Na Hee Faqir-E-Qadiri Is Qism Kee Taaziyedaari Ko Sahi Kahta Hai. Lekin Naak Par Agar Makkhi Bayth Jaaye To Makkhi Ko Udaana Chaahiye To Makkhi Ki Udaaya Jaayega Na Ki Naak Hee Ko Saaf Kara Diya Jaaye Fazail-E-Husainin Qur’a-E-Karim Wa Ahadith-E-Karima Kee Raushani Me, Waaqia-E-Qarbala Ahadith-E-Karima Kee Raushani Me, Razzail-E-Yazeedi Ahadith-E-Karima Kee Raushani Me, Yazeediyon Ke Aitaraazaat Ka Tehqeeqi Jawaab.
Duaa Ka Talabgar…… .. .

Hazrate Abu Bakr (RaziAllahu Anhu)

☆ Hazrate Abu Bakr (RaziAllahu Anhu) ….
Sahaba-e-Kiram Hazrat Abu Bakr Siddeeq (RaziAllahu Anhu) Ki Zindagi Aur Martaba
# Laqab: Siddeeqe Akbar, Gaare Yaare Nabi, Afzalun Naas Ba’adal Ambiya, Saani Isnain, Khalifatul-Rasool, Ateeq.
# Wiladat:
– Aap Ki Wiladat Mubarak 573 C.A. Me Makka Me Hui. Aap Ke Waalid Ka Naam Usman Abu Quhafa Ibn Amir Aur Waalida Ka Naam Salma Bint Sakhar (Ummul Khair) Hai.
– Aap Quraish Ke Banu Taym Kabeele Se Ta’aaluq Rakhte Hain. Aap Ka Asl Naam Abdullah Hai.
# Deen Ki Daawat :
Aap Ki Daawat Aur Mashware Se Bahut Saare Log Islam Me Dakhil Hue, Jin Me Hazrat Usman-Ibn-Affan, Zubair-Ibn-Awwam, Talha-Ibn-Ubaidullah, Abdur-Rehman-Bin-Awf, Sa’ad-Ibn-Abi-Waqqas, Abu-Ubaidah-Ibn-Jarrah, Abdullah-Bin-Abdul-Asad (Abu Salama), Khalid-Ibn-Sa’id Aur Abu-Huzifah-Ibn-Mughirah (Razi’Allahu Anhuma) Mashhoor Hain.
– Aap Ne 8 Gulamo Ko Aazad Karaya Jo Musalman Ho Gaye They. Jin Me Mardo Me Hazrate Bilal-Habashi-Ibn-Ribah, Abu-Fakih, Ammar-Ibn-Yasir Aur Abu-Fuhaira Aur Aurto Me Lubainah, Nahdiah, Umm Ubais, Harisah Bint Muammil Shamil Hain. Is Ke Liye Aap Ne 40,000 Dinar Kharch Kiye.
– Aap Ke Waalid Ne Kaha ‘Tum Budhe Aur Kamzor Gulamo Ko Aazad Karate Ho Jis Se Hame Koi Faida Nahi Hoga.’
– Aap Ne Farmaya ‘Main Tou Allah Ki Raza Ke Liye Musalmano Ko Aazad Karata Hu.’
# Siddeeqe Akbar Ka Laqab :
12 Nabawi (621 C.A.) Me Me’araj Ke Baad Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ashaba Ko Me’araj Ki Baaten Bayan Kar Rahe They.
– Hazrate Abu Baqr (Razi’Allahu Anhu) Thoda Der Se Aaye.
– Aap Aakar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Qareeb Jaakar Bethe.
– Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Phir Se Shuru Se Pura Bayan Shuru Kiya.
– Aur Hazrate Abu Baqr (Razi’Allahu Anhu) Har Baat Par Farmate ‘Sadaqata Ya Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam).’
*Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Khush Hokar Aap Ko ‘Siddeeqe Akbar’ Ka Laqab Ata Farmaya Yaa’ni Tamam Siddeeq Me Sab Se Bada.
# Aap Ke Baare Me Huzoor Ka Farman :
– Aap Ke Baare Me Pyare Aaqa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Farmate Hain Ke,
(1) Abu Bakr ‘Afzalul Bashar Ba’adal Ambiya’ Hain Ya’ni ‘Ambiya Ke Baad Tamaam Insan Me Sab Se Afzal.’
(2) Agar Abu Bakr Ka Emaan Meri Tamam Ummat Ke Emaan Ke Saath Wazan Me Kiya Jaaye Tou Abu Bakr Ka Emaan Gaalib Aaye.
(3) Hazrate Abu Bakr Ka Ye Martaba Sirf Uski Ibadaat Ki Wajah Se Nahi Hai, Balke Allah Ta’ala Ne Uske Dil Me Jo Khas Rakha Hai Uski Wajah Se Hai.
(4) Abu Bakr Ke Mujh Par Bahut Ehsaan Hain. Uss Ne Islam Ke Liye Apni Jaan Aur Maal Bhi Qurban Kiye Hain Aur Apni Beti Mere Nikah Me Di Hai Aur Abu Bakr Ne Hazrat Bilal Habsi Ko Aazad Karaya Hai.’
# Aap Ashra-e-Mubashara Me Se Hain. :
(1) Ek Baar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aap Se Farmaya ‘Abu Baqr, Jannat Me Dakhil Hone Walo Me Tum Sab Se Pehle Rahoge.’
(2) Ek Baar Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya ‘Jab Allah Ta’ala Kisi Mo’min Ke Liye Bhalai Ka Irada Karta Hai To Uss Me Koi Khaslat Paida Farmata Hai Jis Ke Sabab Wo Jannati Ban Jaata Hai Aur Aisi 360 Khaslate Hain.’ Hazrate Abu Baqr Ne Puchha ‘Ya Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam), Kya Mujh Me Aisi Koi Khaslat Hai?’ Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya – ‘Abu Baqr, Tumhe Mubarak Ho Ke Tum Me Wo Tamam Khaslat Maujood Hai.’
# Ameerul Hujjaj :
9 Hijri Me Jab Hajj Farz Hua To Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Aap Ko Ameerul Hujjaj Banakar Ashaba Ko Aap Ke Saath Hajj Ke Liye Bheja.
# Aap Ki Mohabbat Nabi-e-Paak Ke Liye :
10 Hijri Me Hajjatul Wida Ke Mauqe Par Bhi Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Saath Rahe. Jab Ye Aayat Naazil Hui ‘Aaj Ke Din Ham Ne Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya Aur Tumhare Liye Deene Islam Pasand Kiya.’ Tou Ashaba Khush Hue Ke Allah Ta’ala Ne Deene Islam Ko Mukammal Kar Diya. Magar Aap Gamzada Ho Gaye. Jab Puchha Gaya Tou Farmaya Ke ‘Ye Sahi Hai Ke Deene Islam Ko Allah Ta’ala Ne Mukammal Kar Diya Hai. Magar Deen Mukammal Hone Ke Baad Mumkin Hai Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ham Se Anqareeb Parda(Rukhsat/Wafat) Farmayenge. Main Ye Sochkar Gamzada Hu.’
*Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Wafat Ke Baad Sab Ashaba Gamzada They Aur Hazrate Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ne Tou Farma Diya Tha Ke – ‘Agar Kisi Ne Mere Saamne Ye Kaha Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Inteqal Ho Gaya Hai Aur Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Hamare Darmiyan Me Nahi Hain Tou Mai Talwar Se Uski Gardan Kalam Kar Dunga.’
– Aise Maahol Me Sab Khamosh They Tab Hazrate Abu Baqr Uthkar Aage Aaye Aur Khutba Padhney Ke Baad Ashaba Se Farmaya: ‘Agar Koi Muhmmad (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Parastish Karta Ho Tou Wo Jaan Jaaye Ke Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Inteqal Kar Gaye Hain
Aur Jo Rabbe Muhammad (Yaani Allah) Ki Ibadat Karta Ho Tou Wo Jaan Le Ke Allah Zinda Hai Aur Kabhi Marne Wala Nahi.’
# Aap Islam Ke Pahle Khaifa Rahe :
– Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Parda Farmane Ke Baad Hazrate Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ke Mashware Par Aap Ko Khalifa Banaya Gaya.
– Aap 13 Rabi-Ul-Awwal 11 Hijri (8 June 632 C.A.) Ko Sab Se Pehle Khalifa Hue.
– Aap Ka Daure Khilafat 2 Saal 4 Maah Ka Raha.
# Quraan-e-Kareem Ki Hifazat :
11 Hijri (632 C.A.) Me Jange Yamama Me Taqreeban 70 Ashaba Shaheed Hue Jo Haafize Qur’an They. Hazrate Umar Farooq (Razi’Allahu Anhu) Ne Aap Se Farmaya ‘Iss Tarah Haafize Qur’an Kum Hote Rahe To Qur’an Ki Hifazat Karna Mushkil Hoga. Behtar Hai Ke Ham Qur’an Ko Jama Karke Kitaab Bana Len.’
– Iss Tarah Hazrate Umar Farooq (RaziAllahu Anhu) Ke Mashware Se Qur’an Majeed Ko Jama Karke Kitaab Banane Ka Kaam Shuru Kiya Gaya, Jo Hazrate Usman Ghani Ke Zamane Me Mukammal Hua.
# Aapka Pariwar : Aap Ki 4 Biwiya, 3 Bete Aur 3 Betiya Hain.
(1) Qutaylah Bint Abd-Al-Uzza Se 1 Beta –Abdullah Aur 1 Beti – Asma
(2) Umme Rumman Se 1 Bata – Abdur Rehman Aur 1 Beti – Aaisha
(3) Asma Bint Umays Se 1 Beta – Muhammad
(4) Habibah Bint Kharijah Se 1 Beti – Umme Kulsum
» Sirf Aap Hi Aise Sahabi Hain Jinke Waliden Aur Aulaad Bhi Ashaba Hain.
# Aap Nabi-e-Paak Ke Sabse Qareebi Dost Hai:
– Aap ‘Gare Yaare Nabi’ Hain Yaani Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Sab Se Qareebi Dost.
– Aap Ko Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Har Khaas Mauqe Par Aur Mehfil Me Saath Aur Qareeb Rakha.
– Hijrat Me Bhi Pyare Aaqa (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Sirf Aap Ko Saath Liya.
# Wisaal:
Aap Ka Wisaal 22 Jamaadil Aakhir 13 Hijri 23 August 634 C.A. Ko 63 Baras Ki Umr Me Madina Me Hua. Aap Ki Namaze Janaza Hazrat Umar Farooq (RaziAllah Anhu) Ne Padhai. Aap Ko Roza-e-Rasool Me Huzoor (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Bagal Me Dafn Kiya Gaya Hai.
Allah Rabbul Izzat Se Dua Hai Ke
# Allah Hum Tamam Ko Hidayat Ata Farmaye ,..
# Hume Sirate Mustakim Par Chalaye ,…
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!