sunnat e rasoool

Tuesday, March 27, 2012

hazrat Umer R.A ka Iman Afrooz Waqia

ASSALAM O ALAIKUM...

Khalifa-e-Sani Hazrat Umer Farooq R.A ny 24 Lakh Murabbah Miles per Hakoomat ki.......Raton ko uth uth ker Paira ddetay thay,Aur Logon ki Zarorat ka Khayal rakhtay thay.,,,Kehtay thay ager Furaat k Kinary ek Kutta bhi Payasa Marr gaya to kal Qayamat k Din umer (R.A) sy iss Bary main Pucha Jaye ga.




Ek dafa Aap R.A Darbar ka Waqt Khatem hony k baad gher aye aur kisi Kaam main lagg gaye,,,,Itne main ek Shaks Aya aur kehnay laga......Aye Ameer-Ul-Monineen Aap falan Shaks sy mera Haqq Dilwa Dijiye.Aap(R.A) ko buhat gussa Aya aur Aap R.A ny ek Durra Os Shaks ki Kamar per mara aur Kaha,,Jeb main Darbar lagata hon os waqat tum apnay Mamlaat ly ker nahi aatay.Aur jeb main gher k kaam kaaj main Masrrof hota hon to tum apni Zarootain ly ker aa jaty ho..,,


Baad main Aap(R.A) ko Apni Ghalti ka Ehsas hua toh bohat Preeshan hoye aur os shaks ko (Jisay mara tha) Bulwaya...,,,Aur Os k Hath main Durra diya aur Apni Kamar agay ker k kaha mujhe Maro maine tum sy Zayati ki,,,,,,Waqat ka Badshah,24 Lakh Murabbah miles ka Hukamran ek Aam Aadmi sy kah raha hai maine tum sy Zayati ki mujhe Wohi Saza do,,,,.....


os Shaks ny kaha Maine Aap ko Maaf kiya,,.Aap (R.A) kaha Nahi,Nahi, Kal Qayamat ko mujhe iss ka Jawab dena pary ga Tum mujhe ek Durra Maro tah kah Tuhara Badla Pura ho jaye.



Aap(R.A) Rotay jaty thay aur fermaty thay......Aye Umer tu Kaafir tha,,,,,,,,,Zalim Tha,,,,,,,Bakriyaan Charaata tha.,,,,,,,,,Allah ny Tujhe islam ki Dolat sy Mala Maal kiya aur tujhe Musalmano ka Khalifa banya,,,,,,,Kaya Tu Apny Rabb k Ehsaano ko Bhool gaya.....Aaj ek Aadmi Aa k Tujhe kehta hai kah mujhe mera Haqq Dilao to Tu osay Durra marta hai.....,,,Aye Umer Kaya Tu yah Samjh baitha kah Tu Mary ga nahi????Kal Qayamat k Din Tujhe Allah ko ek ek Amal ka Hisab dena Pary ga.Hazrat Umer Farooq Iss Baat ko Duhraatay rahy aur Bari dair tak Rotay rahy.






Allah Hamain Samjhay ki aur Amal kernay ki Tufeeq aata fermaye.Aur Allah Ham sab sy Razi ho jaye.Aamin                                                             EARLY LIFE
ye kissa ik aise din ka hai jab makka main garmi buhat urooj par thi, sakht chilchilati dhoop main ik shakhs daraz kad, jawan umar jis ka naam Umar tha,seene main badle ki aag liye howe apne maqsad ki takmeel ki khatir shadeed garmi ki parwa kiye bager tezi se kadam uthae rawan dawan tha us k samne sirf ik hi mission tha k kisi tarah insaniyat ko nai zindagi bakhshne wale shakhs Hazarat Muhammad S.A.W ko (nauzbillah) maut ki need sula doon.us no jawan ko ye maloom nahin tha k subah ki Aaaqa he naamdar Hazrat Muhammad Mustafa S.A.W ki Dua "Ae Allah!! ISalm ko Abu jehl bin Hisham ya Umar bin Khitab k Zariye Phehla de" (Tirmizi) Assamano ko cheerti howe arsh tak ponch chuki hai aur dua bare sharaf k sath qabool ho chuki hai.
raste main jb un ki behn ka ghar aaya to wo apni behn k ghar gae kiyon k unhe pata chala tha k un ki behn ne b Isalm Qabool kiya hai.jb Fatima Bint Khitab ne Umar Bin Khgitab ko dekha to Quran ki kuch Surah chupa di.Umar Bin Khitab ne pehle un ko maara jb un ki nazar Surah Tahha ki kuch ayyat par pari to un ka dil mom sa hogaya aur wo Aap S.A.W k pass Gaar-e-Hira gae, Sab sahaba pareshan hogae k aaj kia hona hai, tab Aap S.A.W aae Gaar se bahir aur muskarte howe kaha "Umar tum Baaz nahi aaoge.." Aur IS Tarah Hazrat Umar Bin Khitab Islam ki raah pe aagae.phir unhone ne khule aam Iqrar kiya Islam ka tab kafiron k pairon se Zameen nikal gai k ab hum kia karengy.phir unhone buhat si aziyaten sahi aur jawan mardio k sath un ka dat kar muqabila b kiya, Hijrat e Madina k moqy par aap ki lalkar dushmano k liye haar sabit howi.phir gazwat ka daur shuru howa jis main Aap S.A.W k sath sath Sayyiduna Hazrat Umar R.A Howa karte the.                                  
       .    

Shaan E Farooque E Azam


Sayyiduna Hazrat Umar R.A k jalal ka ye Aalam tha k Hazoor Akram S.A.W ne Farmaya k "kasam Hai Us Zaat ki Jis k hath main meri jaan hai, agar shetan tumhe dekh leta hai to us raste se katra kar dosre raste par chlta hai.(Sahi Bukhari)".
Sayyiduna Hazrat Umar R.A is baat se nawaze gae the k Jo baat wo kehte the wo Quran ki Ayyat ban jati ya Hadees ban jati thi buhat se maqam py.

==>ik Baar Sayyiduna Hazrat Umar R.A ne Aap S.A.W ko kaha k maqam e Ibraheem par 2 raqat namaz parhni chahye,Aap S.A.W ne farmaya k aisa koi farman nahin hai, usi waqt wahi aai aur farman howa "maqam e Ibrahim ko Namaz parhne ki jagah bana lo".

==> Jab rais ul Muhajreen Abdullah bin ubi bin Sulool ka janaza Huzoor Akram S.A.W k samne laya gaya to Sayyiduna Hazrat Umar R.A ne Arz kia k Is Dushman e Islam ka janaza na parhaya jae, so Allah talla na Surah Tauba ki Aayat Nazil farma kar Zabit de diya k "munafiqeen ki jamat ka koi bad bakhat b mar jae to na to us ki janaza nimaz parh jae aur na us ki qabar par khada howa jae".

==>Arab main pehly ihtiyatan parda kiya jata tha, lazim nahi tha.ik din Sayyiduna Hazrat Umar R.A ne arz kia k AAQa (P.B.U.H) ye humari gerat ko ganwara nahin hai k humari aurton k ooper parda lazim na ho, to phir hukam howa aurton k parde ka, (Tirmizi).                                                       


ELECTION


Hazrat Abu Bakar R.A k inteqal k baad Sayyiduna Sayyiduna Hazrat Umar R.A Muslamano k khalefa chune gae, unhone b Hazrat Abu Bakar ki Tarah Quran O Hadess ko Apna Qanoon banaya.
Duar E Khilafat


01.==> Un hone Bait ul Maal Qaim kiye.
02.==> Insaaf ki Adalten poori hukumat main banaegai, jahan py judge aur majistrates case handle karty the.
03.==>Fauji Chonkiyan lagai gai awam k bachao k liye.
04.==>Road aur nehron ki buniyad daali gai.
05.==>Schools/Madarse khole gae, jahan py Imam, Muazzin aur Ustad ko tankhuwah di jati thi.
06.==>Masajid ko Makka aur Madina main behtar banaya gaya hajion ki saholat k liye.
07.==>Thaane aur jail banae gae mujrimon k liye.
08.==>Pehla Islami Calender banaya gaya, Hijrah se le kar tab tak.
09.==>population census shuru ki gai.
10.==>yateem Khaane aur social welfares open howe.
11.==>Ghulami par banne lag gaya aur sahi sazaon ka nizam rakha gaya.                                                 


Life Style


Hazrat Umar Farooq R.A Qalander aise the k jahan thehre kisi darakhat par chadar daal di to usi k saae main let gae, Sikander aise the k Rom ka kesar aur Iran ki shenshaeyat un k naam se mashhoor thi, faqeer aise the k badan par Jo karphy pehnte us main 12 rafo howa karte, sar par phata ammama aur paaon main phati jootiyan hoti theen, ameer aise the k 22 lakh marbah meel par un ki hukmirani ka parcham lehrata tha. Insaf aur hukamat ka ye aalam tha k Kasam Kha kar farmate the k "Agar meri saltanat main Insan to bari baat hai koi kutta b bookh se mar gaya to main Undallah masool hoonga."                                                        
Shahadat


Aik Majoosi Gher Muslim Abu Lulu Feroz ik Din Sayyiduna Hazrat Umar R.A k pass apne malik ki shikayat le kar aae k wo un py tax laga raha hai, Aap R.A ne tehqeeq karwai k kesi tax, jb tahqeeq poori hio to Aap R.A ne Abu lulu Feroz ko kaha k tax haqi lagi hai aur na haqi nahi, to wo gustakh guse me chala gaya, aur dosre din Subah Fajir ki Namaz main us ne Sayyiduna Hazrat Umar R.A ki peeth main 6 bar war py war kiya, aap py be behoshi ki tareki AA rahi thi k aap ne farmaya k mujhy kone main rakha jae pehle namaz poori ki jae, sab ne namaz Ada ki, to Aap R.A ne poocha k kis ne mujhy maara, to kisi ne kaha k kisi majoosi ne aap py war kia, to Sayyiduna Hazrat Umar R.A k Chehre py ronak aai aur hath utha kar Khuda ka shukar kia k aap py kisi muslaman ne war nahin kia, phir aap 3 din tak zakhmi the, phir 23.A.H main Wafat kar gae.
Aap R.A 63 saal ki umer main wafat kar gae, Aap R.A ne 10 Saal, 6 maah, 4 Din Khilafat ki. aur aap 3 din zakhmon ki halat main

                                                                   

No comments: